Love Is Blind

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Love Is Blind

huma university main perti thi aur us ka irada tha k PHD karay zaheen to wo hamesha se hi thi lakin us ki maan ko jaldi thi k jald az jald us ki kahi achi jaga shadi hojye ta k bojh halka ho lakin huma ko bus ye hi tha k wo pehlay apni education complete karay phir kuch aur sochay gi.

in hi dino us ki mulaaqat faraz se hui faraz itna khoobsurat na tha lakin guftugoo ka fun jaanta tha dono ki friendship hogai ye friendship muhabbat main badal gai.

faraz se us ki mulaqaat bus stop par hui thi ..lakin shadeed barish ki waja se buses ki haalat bohat kharab thi har jaga paani jama tha mukhtasar ye k faraz ka waha se guzar hua us ko baarish main kanpti hui aur bheegi hui huma par tars aya us nay lift ki offer ki aur na chahtay huay bhi huma ko bethna para huma ko ghar par pohncha ker faraz dobara apnay office chala gaya.

phir har 2 day baad wo university k bahar khara hota aur huma se muhabbat ka izhaar jatata huma ko bhi faraz acha lagnay laga..........................
phir wo hi hua jo usually hota hai dono shadeed muhabbat main griftaar thay
idhar kisi din faraz ko na chahtay huay bhi huma ko batana para k wo married hai us ki 2 dauters hain...lakin ye sach hai k main to really tum se bohat pyaar kerta hoon aur tumhaaray baghair nahi reh sakta .lakin main zindagi ki akhri saans tak tum se pyaar kerta rahoon ga.aur tum se shaadi kernaa pasand karoon ga.huma kyun k faraz ko chahti thi is liya us nay us ko muaf kerdia phir dono ki muhabbat pehlay ki tarha parwaan charhnay lagi....

na din hoti na raat dono phon par batain kertay,aur khuab dekhtay........
1 din faraz nay kaha k us k yeha beta hua hai.......huma ko bohat khushi hui jaisay k us ki khushi main khush ho..

din guzartay rahay aur 1 din faraz nay apna rang dikha dia us nay kaha main nay tum se kabhi muhabbat nahi ki aur na kerta hoon ye sub to sirf enjoyment k liya kia tha aur tum serious hogai...

wo din huma k liya kisi pahaar se kam na tha usnay to ye socha hi nahi k faraz achanak se is tarha badal jye ga..us nay to muhabbat ka mazaq uraya aur sabit kerdia k is zamanay main aitmaad,khuloos ,sincerity bohat kam hai......

aur huma jo k muhabbat main andhi ho chuki thi itna bhi na socha k wo 1 married shaks ko chah rahi hai..

us ki aankho main aansoo thay lakin aankho par bandhi hui muhabbat ki patti utar chuki thi

ab har taraf haqeeqat ki roshnian dekhai day rahi thi.
kyun k us k ankhon par lagay huay colorfull glasses utar chukay thay

ye meri friend ki true story hai us ka naam bhi farzi likha hai lakin ye un tamam behno k liya ibrat hai jo har kisi par sochay samjhay baghair bharosa kerlaiti hain jaisa k huma k case main hua ye theek hai muhabbat ki nahi jaati ho jaati hai lakin is honay par thora bohat to control kia jasakta hai .

in baaton ko note karain k::

khuamakhua har kisi main involve na hon
creative activities ko apnyen
khaali dimagh na honay dain
namaz ki pabandi karain kyun k namaz buraion se rokti hai
specially net par har kisi se chat na karain..etc

aur agar phir bhi ye beemari lag jye aur koi faraz jaisa mil jye to ye baat dil main betha lain k wo aap k kabil hi nahi tha aur Allah jo kerta hai behtar kerta hai kyun k

hadees-e-qudsi hai k

Allah paak farmatay hain

"1 teri chahat hai 1 meri chahat hai hoga wohi jo meri chahat hai
agar razi kerliya tu nay us main khud ko jo meri chahat hai to day
doonga main tujh ko jo teri chahat hai warna thaka doonga us main tuj ko jo teri chahat hai aur phir hoga wohi jo meri chahat hai"

hamesha zahan main rakhain

ishqnakaam sahi zindagi nakaam nahi

kyun k

aur bhi ghum hain zamanay main muhabbat k siwa.............
 

farooqrashid

Newbie
Aug 25, 2007
118
22
0
39
Agar maiN apney rab sey yioN baat karoN:
"Ya Allah de dey mujhey jo meri chahat hey..........bas maiN nahi pora karoN jo teri chahat hey.......na thaka mujh ko oss maiN jo meri chahat hey....hota wohi hey jo teri chahat hey magar badal dey apni chahat ko oss maiN jo meri chahat hey.........tera banda kia itna haq bhi nahi rakhta k tujh sey mangey apni chahat ko jab-k oss ney pora na kia ho jo teri chahat hey?"
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
farooqrashid said:
Agar maiN apney rab sey yioN baat karoN:
"Ya Allah de dey mujhey jo meri chahat hey..........bas maiN nahi pora karoN jo teri chahat hey.......na thaka mujh ko oss maiN jo meri chahat hey....hota wohi hey jo teri chahat hey magar badal dey apni chahat ko oss maiN jo meri chahat hey.........tera banda kia itna haq bhi nahi rakhta k tujh sey mangey apni chahat ko jab-k oss ney pora na kia ho jo teri chahat hey?"
ok...lakin ye aap ki dua hai aur dua k baray main ye shair hai

dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
par nahi taqatay parwaaz magar rakhti hai

is liya aap ki duaon ko Allah bilkul qubool kar sakta hai

lakin had-se-qudsi apni jaga hai....
 

HaRrIz

Newbie
Nov 20, 2007
346
59
0
38
Haan Tumhara kaam pata hai mujey kya haai .. apni stories dosron par fit kar k post karna lolzzz
 
Top