Aaj Ka Intekhab
Hamain Tum Sath Pao Ge
mujhay bas itna kehna hai
kabhi me yad aon to
kabhe tanhayi ki ratain
tumhain ziada satayin to
kabhi titli na bolay to
aur jugno laut jaye to
kabhi jab dil bhi bhar jaye
koi jab sun na paye to
agar sub dost sathi bhe
jo tum say roth jayin to
kabhi jab khud say lar lar kar
thakan say chour hojao
kabhi chahtay huay bhi khud akailay
ro na pao to
apni ankhon ko bund karna
mujhay awaz dedna
aur phir mere tasawwar say
jo chaho batain keh dena
mere kandhay pe sir rakh kar
tum jitna chaho ro lena
jab khud me laut jaon to
ussi dunya me chali jana
magar bass itna kehna hai
k jab bhe dukh ya khushion me
hamain dil say pukaro gay
HAMAIN TUM SATH PAO GE..........