Khaka-e- Shehr-e- Tanhayi

  • Work-from-home

Seemab_khan

ღ ƮɨƮŁɨɨɨ ღ
Moderator
Dec 7, 2012
6,424
4,483
1,313
✮hმΓἶρυΓ, ρმκἶჰནმῆ✮

Ik dafaa ka ziker hey k ik insan numa Female Bulbul bhatakti hoe sarsabz-o-shadaab Tafreehmela ki waadiyun me kisi khaas darakht ki talash mey aa pohonchi. Ae tu mukhtasir wakt k liye thi per waadi ki jaadue quwat ney unhen apna banalia...aur woh waapis louTnay ki bajaaey yaheeN ki ho kar reh gayeeN.Iss Waadi kay makeenoN ko bhi un ki aadat ho chali hai aur unn ki chehkaar se yahan ki rounaq qaayem rakhna chahtay hain.


Hum baat kar rahay haiN shehr-e-tanhayi ki... jin kay nick ka aadha hissa tanha hai aur aadha shehr... parhne waalay bhalay hi samjhtay hoN k kitna udaas saa nick hai ya iss ko rakhne waali bahot afsurda tabiyat ki maalik ho gi. Lakin mousoofa ka zaati khyaal yeh hai kay jab SHEHR lafz bhi saath mein hai to tanhayi ka kiya sawaal? Waise yeh naam rakhne ki un kay nazdeek koyi khaas waja nae thi, pasand aaya, rakh liya. Unhen Piar sey Bulbul kehte or waqae hen b Bulbul...Aaey din kuch na kuch apnay haathon se bnaya kaam share kkarti rehti hai. Achi khaasi sughaR lagti haiN.Apni isi creativity sey waadi k logo ko bht hi kam arse me apna aadi banadia....Fitrat se bahot lagaao hai aur khoobsorat nazaaroN se mohabbat karti hain.RangoN se aankhon me basay nazaaron ko canvas par utaarti hen.. jee sahi samjhay PAINTINGS bhi inn ki Hobby hai jis ki aik jhalak CRAFT ROOM mein dekhi ja sakti hai. Knitting, Stitching, Painting, Reading, Writting, Cooking,Gardening kay ilaava aur na janay kitnay INGS Hobby kay tor par paal rakhay hain. Travelling ki bahot shoqeen haiN aur har waqat travell karne kay liay tiyaar rehti haiN. Ghar se hospital tak janay ko bhi TRAVEL ka hi naam deti hain.Kuch din pehle tak to bunaayi ka kaam sikhati nazar aa rahi theen lakin ab achanak janavaroN se humdardi jaag uThi hai aur Mukhtalif qisam kay janavaron ki pics ikathi kar kay sab ko zabardast aik do ya teen janvar sounp kar unkay ehsasaat aur jazbaat ki tarjumani karne kay liay keh rahi hen. Waqayi bahot rehmdil hen k insaan to insaan, janvaroN k liay bhi kuch karna chahti hain.Social work, Khidmat-e-Khalaq bhi inn ka mashghala hai. MASHA'ALLAAH bahot hi saada or hassaas tabiat ki malik hein.



Tu g sub larko ko in k bare me ye b batatey chalen k in k MASHA'ALLAAH 4 barey barey or chourey bhai hein(w8 lifting) 5th bhai ki bachpan mey death hogae aur yeh bas ikloti hi behn haiN.. bulke issey b mazey ki baat yeh hai k khandan mey b inko pehli laRki hone ka sharf hasil hey or yahi waja hey k sub ki laadli b thi or hein b. Anokhi baat ye hey k ladli ya ladla ka naam jab aata hey tu amoman bigarhne k ajza b us mey shamil hote hein.. lakin ye bilkul ussey alag hein...aur uss se bhi alag baat yeh hai k baaz-oqaat Tafreeh mela mein aisay kho jati haiN jaise koyi bacha melay ki rounaq mein mein gum ho jata hai. Phir chaahay daal galay ya ubal kar choolhay par girti rahay, inn ki balaa se.Koyi awaaz bhi deta rahay, inn kay kaanon par jooN tak nae reengti.




Inn k Walden is dunya sey inteqal kergaey hen. Allah pak unki qabar ko noor or jannat ki khushboun sey bhar dey or Jannatul firdous mey Aala maqam naseeb farmaeyn aameen. Walid sahab ka kuc saal pehle inteqal hogaya tha or walida 3 saal pehle inteqal kergaen.Aisi sorat mey apne ap ko sambhalna kafi mushkil hota hey lakin larki hote hoey khud ko aisa sambhala MASHA'ALLAAH k apni misaal aap wali baat nazar ati hey.



waadi ki anokhi insan numa bulbul urf shehr-e-tanhae ko khane mey bajra nae bulke paalak koftay, kaRhi pakora, kaalay chanay chawaloN k sath pasand hein. Halka na lein is bulbul ko 4 saal pehle cricket b khel lia kerti then lakin dosrooN kay maamlay me taang arane wali aadat ne jab inki taang ko zakhmi kiya to khelna chordia(ba waja taklif) . Badminton tu game hey hi bulbul(on) ka, so wo b inhen pasand hey... =)) Black color kafi pasand kerti hein.aur as ki waja yeh btaati hen k yeh rang unhen is liay nahi pasand kay yeh udaasi ki nishani hai balkay iss liay kay yeh rang unn par jachta hai.(maloom nahi k mazaq k mood mein kaha ya sach).. kisi k pas kaala jora dekhlen tu bila jhijhak gift ki request bhejdeti hein... in me Aasra Makawa(Pashtu word hey means 'makawa=nae karo') waala maadda(element) inmey bhaari aksaryat mey paaya jaata hey :s



In ki shakhsiat MASHA'ALLAAH bht khush mizaaj, hassaas or creative hey or q na hu, akhir inki Pasandeeda Shakhsiat Hazrat Amma Aisha R.A jo hen MASHA'ALLAAH... In me aik khoobi b hey k bht sulah pasand hen aur sab ko jorey rakhnay ki khvahish rakhti hen. Khandaan ki apas ki uljhanu ko sudharne or apas mey sulha karane mey kafi aagay agay rehti hein. or yahi waja hey k jis tarah tafreehmela ki waadi waley inse bht khush or impress hein isi tarah in k khandan wale b insey kafi khush rehte hein MASHA'ALLAAH. In ki shakhsiat dekher insaan ko yahi smjh ata hey k her kisi k dilon ko ik dosre sey saaf kerwana in ka maqsad hu. Zindagi mey ehsas ki ziadti (doosroN k liay ehsaas rakhna) ki bht ziada qa'il hein... jis ki Misaal Tafreehmela ka ik ik banda in k ikhlaq sey behad mutassir hone ki soorat mey deta hey. Allaah pak inki umar mey barkat den or inhen apne Deen k liye istemal karen jisme inhen kamiabi hu wid aafiat aameen.



Ye tu tha inki shakhsiat ka ik pehlo, dosra pehlo inka sha'iraana mizaj. or urdu mey MASHA'ALLAH heran kun maharat rakhna. Urdu behtareen hone ka raaz yeh hai k in k dada jaan ka ye dastoor raha k khandan mey jo akhri piece dunya mey ata tha yani bacha tu wo unki shagirdi mey hota tha. jab ye piece mera matlab bulbul urf shehr-e-tanhae dunya me tapki tu dada ne jese qabza jama liya hu.. tu choti umar me hi dada inko Hazrat Yousuf A.S or mukhtalif kissey sunaya kerte thay jis se inn mein bhi parhne ka shouq hota gaya or 7 8 sal ki umar se dada ko akhbar parhker sunana inn ki zimadaari ban gaya. MASHA'ALLAAH. Yeh sab inki urdu ko gaarha banagaey. Baki Sher-o-Sha'iri se kafi lagao hey inhen. or in ka pasandeeda shair jis me in ko sha'ir ka drd bhara lehja pasand hey =)) arz kia hey:




AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam

Uss ko bhi kho diya jisay paaya tha khvaab meiN





or in ki apni likhi Ghazal k ashaar hain:



muqadar kay likhay ki kiya khabar ho

lakeeroN mein bhala kiya khojta hai!!

azaala ghum ka ho zabt-e-junooN se

nahi mumkin to phir kyun sochta hai!!

labb-e-izhaar pe bandish agar ho

dil-e-wehshi girebaaN nouchta hai!!



inhi ka apna likha ik or shair jo in ka pasandeeda b hey arz kia hey,



Kyun uss ki ek nigaah se hotay haiN dil aseer?

koyi to baat uss kay fareb-e-nazar meiN hai



wah wah kia baat hey inki... MASHA'ALLAAH... inse kisi ne sawal kia k aap future mey kia iraada rakhti hen tu kehne lagi k "Thora bara honay kay baad sochtay haiN k kiya karna chahtay hain.... abhi to zindagi bahot masroof..."

Apnay watan se meeloN duur hain, lakin watan ki mohabbat dil mein kooT koT kar bhari hai. Pasandeeda libaas shalwar qameez hai. Apni mulki riwayaat ko pardes mein bhi apnaaey huvay haiN kyunay iss baat ki qaayel hen k aisa maamla na hone paaey


Kawwa chala hans ki chaal, apni bhi bhool gaya


Make up se kosoon dour bhagti hen k chehron ko paint karne ki bajaey kisi canvas par naqsh o nigaar bana lena zyada behtar hai.

umeed hey aap sub ko in k baare mey parhker acha laga hoga.. na bhi acha laga ho to bta dijiay inhen, woh aap ki tanqeed ko positively lein gi aur apni islaah kar lein gi albata in ko apni dua mey zaror yaad rakhiyega...

Khatamshud!

____



Urdu Fonts





View attachment 105922



@Don @RedRose64 @saviou @Pari @Aks_ @Star24 @Shiraz-Khan @AishLyn @Bird-Of-Paradise @Parisa_ @Zahabia @Guriya_Rani
@Abidi @Ahmad-Hasan @Aayat @aishagull @AR @Akaaaash @Aina_ @Armaghankhan @Angel_A @Ajnabhi @-Anna- @*Arshia*
@amerzish_malik @Arz0o @Arzoomehak @Aqsh_Arch @Asheer @attiya @Atif-adi @Awadiya @Aaylaaaaa @Ayesha-Ali @Afnan_ @A7if @Ajnabee_Hoon
@Adorable_Pari @Aaidah @Awesome_Sunny @Aizaa
@Barkat_ @Babar-Azam @Blue-Black @Bela @Baarish @Brilliant_Boy @Binte_Hawwa @bilal_ishaq_786 @badsha_
@Chief @chai-mein-biscuit @CuTe_HiNa @Cheeky @Charming_Deep @colgatepak
@Danee @Dard-e-Dil @Dua001 @DevilJin @Dua_ @Dreamy Boy @dur-e-shawar @diya. @errorsss @Dil_A_Nadan @DeMon- @Diya_noor
@Faiz4lyf @Flower_Flora @Fizaali @fahadhassan @furkaan @Fatima- @FatimaJee @France-Boy @Fd
@genuine @gullubat @Gul-e-lala @gulfishan @Ghazal_Ka_Chiragh @GoldenPerson
@huny @H@!der @H0mer @H!N@ @Hoorain @hania7012 @Hoorainn @HWJ @hariya @Haider_Mk
@Iceage-TM @i love sahabah @italianVirus @illusionist @Island_Jewel @ijazamin @imama
@junaid_ak47 @Justin_ @Jahanger @Just_Like_Roze @jimmyz @kaskar @Kavi @khalid_khan
@lovely_eyes @LaDDan @Lost Passenger @Lightman @LUBABA @LostSea
@Mano_Doll @Mahen @Meerab_ @maanu115 @Mantasha_Zawaar @Manxil @Marah @Mas00m-DeVil @marib @Menaz @minaahil @Mehar_G786
@Meekaeel @MSC @Minal @mrX @MukarramRana @MumS @Muhammad_Rehman_Sabir @Mawaa_Khan @muttalib
@Nadaan_Shazie @Naila_Rubab @namaal @NamaL @Nikka_Raja @nighatnaseem21 @Noor_Afridi @Noorjee @nizamuddin @Noman-
@Ocean-of-love @onemanarmy @p3arl @Pari_Qrakh @Poetry_Lover @Prince-Farry @Princess_Nisa @Princess_E @pyaridua @pakhtun
@Raat ki Rani @raaz the secret @Rahath @Ramsha_Cat @raji35 @Ramiz @RaPuNzLe @reality @REHAN_UK @Robina_Rainbow
@seemab_khan @Sameer_Khan @Syeda-Hilya @sweet-c-chori @ShehrYaar @shailina @Shahzii_1 @Shoaib_Nasir @Salman_ @S_M_Muneeb
@shineday11 @Sabeen_27 @shzd @S_Me3R @Sunny_ @Silent_tear_hurt @sweet bhoot @sona_monda @silent_heart @shehr-e-tanhayi @SairaRizwan
@soul_of_silence. @Stylo_Princess @Shona619 @SUMAIKA @soul_snatcher @sweet_lily @sweet_c_kuri @Sweeta @Shayana
@Toobi @Twinkle Queen @Tanha_Dil @Tariq Saeed @ujalaa @Umeed_Ki_Kiran @Umm-e-ahmad @umeedz @unpredictable2
@Vasim @Wafa_Khan @wajahat_ahmad @X_w @yoursks @Yuxra @Zia_Hayderi @zaryaab @Ziddi_anGel @zonii @Z-4-Zahid @zealous @Zaad @Zypher
walaikum assalam wrwb...
Mashaa'Allah likhty tou buht e acha hyn aap bhi..
Allah kary zor e qalam or ziada ...
@shehr-e-tanhayi sis kch kch khasooosiyaat tou hm sy milti hyn aapki :p
khyr buht c info mili aapky baary meinn... bs ek kami reh gaii... wo mein aap sy e poochu gii Inshaa'Allah...
 
  • Like
Reactions: Shiraz-Khan

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
walaikum assalam wrwb...
Mashaa'Allah likhty tou buht e acha hyn aap bhi..
Allah kary zor e qalam or ziada ...
@shehr-e-tanhayi sis kch kch khasooosiyaat tou hm sy milti hyn aapki :p
khyr buht c info mili aapky baary meinn... bs ek kami reh gaii... wo mein aap sy e poochu gii Inshaa'Allah...
aameen
shukria shukria... :)
 
  • Like
Reactions: Seemab_khan

arzi_zeest

Senior Member
Jul 2, 2018
940
554
93
Wahhh
Bahut he acha likha howa lug raha hai
Aur jin k bare mein likha hai wo tuo etni achi malom hoti hain k tareef k alfaz kum(heart)

Thoda perha mukamal bad mein perho gi
 
Top