Hijab

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
salam...
i ve a question for u guyz..especially girlz...
ap ne idhar dekha hi hooga ke kuch larkia or ortoon..woh hijab nhi pehanti....nd kuch larkia pehanti hai..tu mera question yeh hai ke woh larkia jo hijaab nhi pehanti..woh q nhi pehanti?...mujhe nhi pata idhar kon kon nhi pehanta...lakin jitni mujhe knwledge hai...mujhe lagta hai larkio ko hijaab pehanna chahiye...{(thinkg)}
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Walaikumasalam
mera khayal hai larkio ko hijab lena chahiyay coz Islam ney bhi humain yehi hukum dia hai or na lene per azab bhi hai
per aj kal larkio k hijab na lene ki waja aik ye hai k koch girls hijab ka ghalat use ker rahi hein jiski waja say dosri girls ney usay pehnna chor dia hai k log aj kal hijab walio ko he kharab samjhtay hein
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Osama

Newbie
Jul 6, 2008
286
68
0
Sky
salam



mjhai be lagtahai larkuon ko hijab pana chah yai kuon ki larki hera jai se hote hai her koi osai dekna shahtei hai ager vo hijab nahei pane to her koi osai dhek sakta hai koi be ose yai sojhega ki vo something hai jo her koi osai dhek sakta hai or mel saktahai laken ager larki hijab mai rahi to her koi ose abna bnana chaheiga osai melnai kai lyai dua karega or yeh samjega kai vo hera hai jo her kesai kei bass nahe hota hai ok ..
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

anmol

Newbie
May 19, 2008
472
154
0
37
waslam

nice topic waqas

Islam mae hijab leny ka hukam hr larki-ourat ko hae
pr afsoos ajkal es hukam tu kia bhat sae hukmo pr amal nhi ker rhy
ju hijab pehnti hae wo stand krti hae against society ko kahs kr bahir k mumalik mae-apni taleem-culture-religion ko sath lae kr chalti hae--Im Proud of them and They make every1 of us proud.

esy hee kuch larkia esi b hae ju islamic teachings ko follow nhi kerti-hijab pehnana unhy bura lgta hae k es sae un k religion ka pta chalta hae--wo nhi chahti kesi ko pta chaly wo Muslim hae :(
they r week datz y they don't observe pardha- lAj Muslims k barey mae ju sari dunia mae galt batien phelien hoi hae-un ki waja sae buhat log kamzor hu rhy hae :(

or esi b larkia hae ju hijab tu pehnti hae lakin sirf dekhaway k liye-apny ghar walo ko satisfy krny k liye
or phr unki harkton ki waja sae dosri Muslim larkia pershani uthati hae

Allah esy larkio ko hedayet dae or sedha rasta dekhaye
Ameen
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
salam...
i ve a question for u guyz..especially girlz...
ap ne idhar dekha hi hooga ke kuch larkia or ortoon..woh hijab nhi pehanti....nd kuch larkia pehanti hai..tu mera question yeh hai ke woh larkia jo hijaab nhi pehanti..woh q nhi pehanti?...mujhe nhi pata idhar kon kon nhi pehanta...lakin jitni mujhe knwledge hai...mujhe lagta hai larkio ko hijaab pehanna chahiye...{(thinkg)}

Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatahu.

Sub say pahlay to Prince aap ki tasveeer to kisi bhoot ki lugti hai prince ki to kaheen say naheen lugti k dar kar khauf ata hai.yay to sirf aap ko batana tha aap k naam aur avatar main difference ka azrah e mazaq.


Aap ka sawal bohat achcha hai. Bilkul har larki ko jis tarha parday ka hukm hai quran o hadees main us tarha parda karna chahyay. Jo naheen karteen ghalat karti hain. Hamari dua hai Allah unhain hidayat day Ameen Summa Ameen.

Jub hum koi kaam ghalat ya sahi kartay hain to uskay liaay khud ko ya doosron ko satisfy karnay k liaay mukhtalif jawaz o bahanay kar letay hain. Khuwah wo ghalat hon k sahi. Agar aap ghalat kuch kar raheen hain to admit karain k main yay kar rahi hoon yay ghalat hai na k jawaz ultay seedhay paish karain jo bohat ghalat hai jo sahi rastay pay hain unko aap ka jawaz kisi ghalat kaam k liaay ghalat lagay ga aur Allah to bohat hi naraz ho ga.

Agar aap koi kaam ghalat kartay hain to ussay manay k aap aisa naheen karteen ya kartay hain laikin yay ghalat hai to Allah aap say is baat pay khush ho ga k aap is baat ko k yay ghalat hai tasleem kia phir kabhi na kabhi Allah aapko hidayat zaroor day ga.

Ghalat baat ko ghalat manna ya tasleem karna bhi Imaan ki nishani hai.

Aik apni misaal day rahi hoon.

Aik meri jannay wali say jub sawal kia (kuch kafiron nain. Jaisa k main Canada main rah rahi hoon. Hum donon aik jagah course kar rahay thay) k tum kioon scarf naheen pahanti ho aur yay kioon pahanti hai, tum kia musalman naheen ho? to us nain jal sar kar kaha yay aisay hi pehti hai Islam main kuch naheen kaha gia scarf pahannay par.

Mujhay ghussa to bohat aya aur bura bhi laga per main nain sabr kia kay ub main kuch kahoon gi to yay phir kuch aur baat bana day gi aur mujhay batain banana naheen ati phir yay kafir hasain gay. Wo aik jhooti qism ki larki hai aur mujh say waisay hi jali bhuni hai k uskay rishtay ki bohat koshish ki uski walida nain hamaray ghar main kabhi mama say to kabhi bhai say. Wo batain bhi karti thi mujhay say to hamaisha jali kati hi sunati thi aur baytahash jhoot bolti thi.

Main bhi us waqt itni confident naheen thi k kisi say bahas o mubahisa karti. Main us waqt aik kumgo aur kisi ko kuch naheen kahnay wali thi.

Ub to kisi sahi baat main koi mujh say jeet kar to daikhay. Misaalon aur daleelon k tabar tor hamlay kar doon gi. Mazak kar rahi hoon. Us waqt main khud parday k baray main na itna janti thi aur na hi kisi ko kuch kahti thi.

Ub kafi bari ho gai hoon, Confidence bhi kafi aa gaya hai. Thori bohat koshish karti hoon Islami taleemat hasil karoon.

Ub main bohat achchi tarha samjhti hoon parda kioon karna chahyay? Kis tarha karna chahyay? Is k fawaid kia hain?

Aur nuqsanat kia hotay hain in kafiron k mulk main rah kar?

Meri bhi sub larkion say guzarish hai k aap parda ba mutabiq e quran o hadees kia karain is main apna hi faida hai. Jo thora bohat agar uski wajah say nuqsaan bhi ponhchay ga to Allah k yahan uska bohat bara ajar milaay ga jo bilashuba bila sood sawab ka business hai.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
bohot khoob precious....thnkz for sharing ......
Thanks bahna for understanding.

Hazrat Muhammad S.A.W ka farmaan hai k joo auraat hijaab na karahai

woh kabhi kasey ki behan beti ya maa nahi hoo sakti
Thanks bhai for sharing. I didn't read this hadees before. Jazak Allah Khair.

Bayshak bhan ya beti to mardon ki shaan hoti hai aur unki izzat ki parday daar so parday kar kay wo izzaton ko mahfooz karteen hain na sirf apni balkay apnay bhai, baap, betay aur shohar ki.
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
thankx bhai mere baat ko passand aur iss say agree karnay k leyai

Idhar udar daikhing hain kon sa bhai kaisa bhai yahan par to sirf aik hi meray bhai hain wo hain waqar bhai aur main unki bahan.

Shayad main nain sari zindagi karti bola hai karta naheen.

Precious larkiyaan hoteen hain larkay naheen.
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
ahaam ahaam ahaam sorry dear my mistake ...
Koi baat naheen aap to ghaltion kay putlay hain. kabhi mobile bathroom layjanay ki ghalti to kabhi larki ko larka samjhnay ki ghalti.

Naheen maaf kartay murgha bano aur 10 dafa utha baithi karain. Ghalti ki saza buchchon ko milni chahyay warna baar baar kartay hain ghalti.
 
Jun 17, 2009
25
15
3
Salam:

Farry:: Waisay aap ka sawal larkion say tha but main bhi is kay baray main kuch kehna chahoon ga.. actualy Her muslim Mard or orat ko yeh samaj laina chaiay keh allah taala nay insaan ky liay aik nizaam wazah kia hay. jaisay agar aaj kal koi bhi Machine EEJAAD hoti hay tao us kay liay koi na koi Key Book hoti hay isi tarah Duniya main rehnay kay liay Allah taala nay aik Key Book de hay jisay QURAAN kehtay hain. Aur Kisi Machine kay mutaaliq tao key book main thori bahot khaami reh sakti hay magar kion keh isay likhnay wala insaan hota hay but Wo Allah jis nay Quran ko nabion ko mukhtalif kitabain deen or Hamaray Akhri nabi Hazrat Muhammad (PBUH) per Nazil kia us main KHaami kaisay ho sakti hay.

Ab Jahan tak main aik Larka Honay kay naatay samajhta hoon wo main aap ko bata deta hoon..
Dekhain Jab bhi kabhi koi Larki Hijaab kay Baghair Kahin Nazar aati hay tao Mard main Fitri taur per aik Attrection Paida hoti hay or Phir Shaitan Haavi ho jata hay.
Is say Muashray main Bahot see Burayan Janam lay sakti hain jo ke phir mustakil say mustakil hoti chali jaati hain..
main mukhtalif Offices main Jobs waghaira kar chuka hoon but main nay aaj tak kisi office main koi mard aisa nahi dekha jis nay kisi bay hijaab larki kay baray main koi na koi shaitaani baat krtay na suna ho.. but main nay aksar Hijaab wali Larkion kay baray main Larkoon ko Thora bahot Sharif Paya. hay.

So Jahan tak Mumkin ho sakay Hijaab Larki kay liay Zaroori hay. Kion keh Yeh Allah Taala nay bhi Farmaa diya Quran main...
or aik baat bahot zaroori..
Agar aap duniya ki koi cheez Hasil karna chaho tao aap kuch na kuch Zaroor kho kar wo cheez Hasil kartay hain ya phir bahot mehnat kar kay wo cheez Hasil kartay hai..
Tao kia aap jannat ko itna sasta samajhtay hain keh wo baghair Amaaal kay mil jay gi.
Bhai Jannat kay agay is jaisi karoroon Dunyaain bhi aa jain tao Jannat ka muqabil nahi ho sakti..
So agar aaj ki orat sahi ho jay tao i think Islam ka bol baala ho sakta hay. kion keh orat kay husn or khoobsoorti itni purkashish hoti hay keh Hamaray nabi nay bhi IS ko aik Azeem Fitna Qarar dia hay.l..
I think mairay Views ka aap log bura nahi manain gay ...
Thanks
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~
Feb 12, 2009
30
27
0
Hazrat Muhammad S.A.W ka farmaan hai k joo auraat hijaab na karahai

woh kabhi kasey ki behan beti ya maa nahi hoo sakti

---------- Post added at 11:35 PM ---------- Previous post was at 11:33 PM ----------

hijab lena chahe hai
 
Top