3 Ghazalz

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
DOST BAN KAR BHI NAHIN SAATH NIBHAANE WAALA

DOST BAN KAR BHI NAHIN SAATH NIBHAANE WAALA,
WOHI ANDAAZ HAI ZAALIM KA ZAMAANE WAALA,
KIYA KAHEN KITNE MARAASIM THAY HUMAARE US SE,
WOH JO EK SHAKHS HAI MUNH PHHER K JAANE WAALA,
KIYA KHABAR THI K MERI JAAN ME GHHULA REHTA HAI,
HAI WO HI MUJH KO SARE DAAR BHI LAANE WAALA,
MAINE DEKHA HAI BAHAARON ME CHAMAN KO JALTE,
HAI KOI KHUAB KI TAABEER BATAANE WAALA,
TUM TAKKALLUF KO BHI IKHLAAS SAMAJHTE HO RUFI,
DOST HOTA NAHIN HAR HAATH MILAANE WAALA.



DEKHA HAI ZINDAGI KO

DEKHA HAI ZINDAGI KO KUCH ITNA KAREEB SE
CHEHRE TAMAAM LAGNE LAGE HAIN KUCH AJEEB SE
KAHENE KO DIL KI BAAT JINHE DHOODHTE THAY HUM
MEHFIL ME AAGAYE HAIN WOH APNE NASEEB SE
NILAAM HO RAHA THA KISI NAAZNEEN KA PYAR
KEEMAT NAHIN CHUKAAYI GAYI EK GHAREEB SE
TERI WAFA KI LAASH PE LA MAIN HI DAAL DOON
RESHAM KA YEH KAFAN JO MILA HAI RAQEEB SE



APNE JEEVAN KI ULJHHAN
APNE JEEVAN KI ULJHAN KO KAISE MAIN SULJHAON
APNO NE JO DARD DIYE HAIN KAISE MAIN BATLAAON
PYAR K WAADE HO GAYE JHOOTHE WAFA K BANDHAN TOOTE
BAN K JEEVAN SAATHI KOI CHAIN MERA KION LOOTE
AISE JEEVAN SAATHI SE MAIN KAISE SAATH NIBHAAON
KAISE KAISE KHEL CHHUPAYEN HAATHON KI LAKEEREN
KOI NA JAANE IS JEEVAN KO YEH KIS AOR LE JAAYEN
PARH NA PAAON LEKH KISI KA PAL PAL MAIN GHABRAAON.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

pakigirl

Newbie
Jun 3, 2007
815
12
0
37
Mujhe Dewaana samjhte hain tere Shehar k log
Q mere daman se ulajhte hain tere Shehar k log


Main aagaya waqt hon wapis nahi aane wala
Q mera rasta takte hain tere shehar k log


Jab bhi aata hai tera naam mere naam k sath
Najane Q jal jatay hain tere shehar k log


Or Q dun main tujhe apni wafaOn ka saboot
Ab mere haal par hanste hain tere shehar k log
 

pakigirl

Newbie
Jun 3, 2007
815
12
0
37
Ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa

kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhen kyaa maaluum
raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa

kitne betaab the rim jhim mein piiyenge lekin
aa ii barsaat to barsaat pe ronaa aayaa

kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa

ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
pakigirl said:
Ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa

kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhen kyaa maaluum
raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa

kitne betaab the rim jhim mein piiyenge lekin
aa ii barsaat to barsaat pe ronaa aayaa

kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa

ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa
Hey pakigirl it would be fine if u post all these ghazals in a seperate thread
Thxz
 

pakigirl

Newbie
Jun 3, 2007
815
12
0
37
Main nahi khud k liye, Hoon main zamane k liye
Khud ko zakhm de de kar AurOn ko hansane k liye

humne kya kya na kiya tere chalay jaane k baad
tujhe hi yaad kiya tujhko bhulaane ke liye

ye khiza, ye andhere, ye veerana sa safar
hum to nikle thay, kahin Or hi jaane k liye

Aaina dekh k hairaan sa ho jaata hoon
khud ko hi bhool gaya aap ko paane k liye

U rakeebOn se hans hans k Q milte ho Asim
teri berukhi hi bahut thi, dil ko jalaane k liye

ye jo chalakta hai aankhOn se, Issay paani na kaho
ye to moti hain mere pyaar ko sajaane k liye
 
Top