A step before posting Islamic Posts

  • Work-from-home

Hiba_samya

Newbie
Oct 1, 2012
39
17
58
30
RWp
Nice
A step before posting Islamic Posts
Assalamu Alaykum Wrwb
Ye ek suggestion ek nasihat ek guzarish aur ek tambeeh bhi hai

Staff aur sare TM members isko bagaur padhen aur is par amal ki koshish Karen :)

Hamne kaafi aise threads dekhe hain Islamic section me jis me jo information post hoti hai uska ki koi haqeeqat nahi hoti islam se aur nahi koi refference hota hai aur to aur kuch threads aise hain jisme islam k khilaf baten hain aur padhne wale gumrah bhi hosakte hain
Iski kya wajhe hai wo ye k post karne wale khud kabhi usko padhte nahi bas kahin se mil gaya ya koi dusri sites se copy kar liye ya phir kisi ne mail kardiya wo lake yahan post kardiye isme galti kuch nahi balke acha hai aap ko jo bhi jaankari mile islam ki usko phailayen lekin pehle khud usko padh liye Karen tahqeeq karlen ki ye sahi hai ya nahi phir aap usko post karen
Aur dusri guzarish aap tamam se ye hai k agar koi bhi apko Islamic thread ki link vm karta hai to ap usme reply dene se pehle padh liya karen warna reply na den hamne dekha hai bohot se dost bas Jazakallah ya nice sharing likh dete hain sahi hai par padhne k baad kahen ye isliye keh rahe hain ki jab koi apko vm karta hai to iska ye matlab hota hai ki isme kuch aham baat hai jiska padhna janna sab k liye zaroori hai khaas kar ham jo bhi links vm karte hain wo aaj k muashre ki halat aur Islamic nuqte nazar se bohot aham hote hain
Hamare kayi dost hamse alag alag maslon k mutabik sawal karte rehte hain Alhamdulillah achi baat hai hame acha lagta hai kisi k masle ka hal agar hamare zariye ho lekin aksar unke sawal k jawab ham pehle se yahan kisi na kisi thread me dechuke hote hain aur wo khud wahan jazakalllah keh kar hausla afzayi bhi kiye hote hain par jab aise sawal hamse puchte hain to tajjub hota hai aur baat samne aati hi k Islamic threads ko koi itna ahmiat hi nahi dete
Umeed hai Aap sab hamari baton ko posstive lenge
1. Islamic information post karne se pehle khud padhen
2. Koi Islamic thread ka link vm kare to koshish Karen padh kar jawab den
3. Agar koi islamic thread bana rahe hain to daleel k sath banaye

Umeed hai hamare is kadam par aap sab muttafiq honge aur is par amal bhi Karenge Insha Allah

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen

Assalamu Alaykum Wrwb

ek baar phir ham aap sab ko mutanabbeh karna chahte hain ki islamic section jo bhi thread banega usme Quran aur sahi ahdees se daleel honi chahiye aur phir jo usme posting karenge kisi masale se related to wo bhi daleel k sath post karen aur bahes se bachen

agar hamne koi thread me reference nahi diya ho ya hamari koi post par ham daleel dena bhul gaye hon ya apko kisi bhi baat par aiteraz hai to aap hamse khul kar puchen insha Allah hamari kahi huyi baat par ham puri imandari k sath apko daleel peshkarne ki koshisha karenge ye deen ka mamla hai aur hame Allah k yahan jawab deh hona hai

kisi bhi qism ka ta'ssub na rakhen aur nahi ana ko beech me aane den isse sirf iqtelaf badhega aur dilon me mohabbat kam hogi deen se doori badhegi

Allah se dua hai hame deen ki sahi samajh aata farmaye ittehad o ittefaq se milkar deen ka kaam karne ki taufeeq aata farmaye Aameen

sallellahu nabiana Mohammad wa aala aalihi wa ashabihi ajamyeen

birahmatika ya arhamar raheemeen
{(jccoffe)}[DOUBLEPOST=1349113526][/DOUBLEPOST]Nice

{(jccoffe)}
 
Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
Waalikumaslam

bilkul theek kaha aap ny...

super thread stay bless:)
 
Top