Aafaaq aur Bahaar ki guftugoo

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Aafaq aur Bahaar ki shab e baraat per guftugoo

Darwaze pe hota dastak use pareshan to karta hai per Bahaar apni namaz nahin chhodti aur junhi salam pheirti hai
darwaza kholne chali jaati hai daryaaft karne per use pata chalta hai ke uska dost aafaaq hai gate per gate kholte
aafaaq ko Bahaar salam deti hai andar bula kar paani dene aur haal chaal poochhnek e baad Bahaar use kehti hai
mene kuch uar nafal namazon ki niyat ki huwi hai namazein mukammal kar ke aati hoon phir baat karengein aafaaq kehta
hai tum bhi bi.....itne mein khud ke alfaz rok leta hai ke pehle bahaar bhale hi farigh ho jaye phir usse baat karega
to lagh bhag 20 mins ke waqfe ke baad Bahaar wapas aa kar kehti ab kahiye jikya kehne wale the aap humare jaane se
pehle?? to aafaaq kehta hai ke tum bhi biddat karti hai shabaan ki raat ko khaas raat samajhti ho is raat biddati nawafal
parhti ho baghair hadees o hukm e qur'an is hi raat tilawatein karti ho au... uske is aur se qabal uski baat kaat'te huwe
Bahaar:chhodo in sab baaton ko per kya tum us raat ko mubarak raat nahin samajhte jis mein caroron musalmaan apne
ALLAH ke raza ke liye dua goh hote hain sajdeh karte hain aur bhai mere liye to har owh raat badi raat hai jab koi bhi
musalmaan apne gunahon ki tuabah karta hai aur aaj ki raat to dunya ke taqreeban musalmaan yunhi karte hain kya tum
keh sakte koi aisi hadees peish kar sakte ho jis mein likha ho ke pandharvein shab'an ko nawafal parhne ki ijazat nahin
aafaaq nawal parhna to aashiq e baari taa'ala aur aashiq e rasool saw ki pehchan hoti hai ALI r.a ke muta'aliq hi kitabon parh lo
woh bhi apni zindagi mein raat bhar jaag kar nawafal parhte rehte the aur tum ho ke logon ko ibadat e ALLAH se rokte ho tum....
aafaaq baat ko kaat'te huwe to har raat ar waqt parha karo naa is hi raat kyun tumein pata hai kisi raat ko bina farmane Rasool saw
makhsoos banana uar maanna biddat hai muazrat per tum to apne ibaadat ke sabab hi dozakh mein jalogi
Bahaar: Dost hum agar apne Rab ki narazgi ke liye T.V dekh sakte hain haraam maal se eish kar sakte hain Rasool saw ke rokne ke bawajood
kitne haraam kaam kar sakte hain tum ne kisi din aa kar mujhe yeh nahin kaha ke TV na dekho haraam hai per tum namaz se mujhe
rok rahe ho mein apne ALLAH pak ke raza ke liye namaz parhti hoon is raat aur koi farq nahin parta mujhe ke is hsab ALLAH pak meri
aarzoo pehli aasmaan se sunengein ke jahan hain wahin se mujhe koi farq nahin parhta ke is raat ke baare mein pukhta hadees hai ke nahin
mujhe yeh pata hai ke ALLAH apne bande ko bakhsh deta hai jab bhi woh sache sadq e dil se maghfirat maange ALLAH use halaal rizq ata
karta hai jab bhi woh sadq e dil se ALLAH se maange ALLAH har jaayez dua qabool karta hai agar banda sache dil se maange to aur mere
niyat ke mutabiq har musalmaan sache dil se hi faryaad karta hai RAB pak se to is raat ALLAH ke baargaah mein mere aimaal peish hon na hon
magar meri taqdeer likhi jaa rahi ho ke nahin magar humari taqdeer badalti hai zaroor is raat ko jab hum sache dil se ALLAH se muafi maangte hain
aafaaq: bhai mujhe to nahin pata tumhein taareekion se nikaalna ab to mere liye mushkil hai bohot wahi karo jo tumhair marzi filhaal
mein khaas kar yeh kehne aaya tha parson ke din aa jaana humare ghar mein qur'an khuani hai
Bahaar: theek hai bhai mein aa jaungi ALLAH HAFIZ apna khayal rakhna
Aafaaq: tum bhi apna khayal rakhna ALLAH HAFIZ

 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Hmmm...........
Acchi koshish hai sabko samjhane ki bhayi..par jab koi dalayel aur ahadees ko bhi radd karde to isse barhkar koi aur badnaseeb nahi k itni mubarak raat ko thukra deta hai...
Khair Allah taufeeq jabtak na de insan aise hi bhatakta rahega..
 
Status
Not open for further replies.
Top