Aaj Kal k Bachay

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Asalamo aliekum friends

yehan main kuch kids k hawalay se discus karna chahoon gi aur aap longo se is k solution k baray main b janna chahoon gi ..

wo hai aaj kal k bachon ki problems jo k bohat common hochuki hai

ye observe kiya gaya hai k aaj k bachay last generation k muqablay main kaafi ziada shararti,,,touchy,,,ziddy,,etc horahay hain..

parents ki advice ko jald accept nahi kartay.{}{5tr

akhir is ki kiya waja hosakti hai..kiya parents ka had se ziada nakhray uthana..{}{76yt

parents ka un har baat ko manna ya phir zamanay k lehaaz se un main ye changes arahi hain..
{(danc2)}
to phir is ko mantain karan b mushkil hota ja raha hai..aap k khayaal main is ka kiya solution hona chaheya{(thinkg)}

ab ye mat keh dena hamain tajarba nahi...lollzzz{}{:p

thanx{(goodpost)}
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Nice topic ss
well i think k ye sab parents per he depend kerta hai k wo apnay bacho ko kis terhan treat kerte hein....jub bacha samjhdar honay lagta hai to from the very 1st day parents ko apnay bachon per thora bharum rakhna chahiyay takay bachay aisi harkat kerne ki jurat tuk na karain kay wo apnay parents ko jawab dein ya unki bat na manain...
so it all depend upon parent;s treatment to their child...
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
hmmmm..good u.s tum nay theek kaha lakin aaj kal k zamanay k lehaaz se kuch is tarha ka envoirment hogaya hai k parents apnay bachon ko khush rakhnay k liya un ki batain b mannay lagay hain jis se un k mind main ye hota hai k hamari baat theek hai..aur agar na manain to ird gird ka envoirnment un ko complex main kar deta hai phir wo apnay parents se khinchnay lagatay hain i think is tarha bohat mushkil hota ja rahja hai

ya phir ye k parents ko un ki kuch adatain bardaasht karna hongi kyn k ab ye wo zamana to nahi raha
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
hmmmm..good u.s tum nay theek kaha lakin aaj kal k zamanay k lehaaz se kuch is tarha ka envoirment hogaya hai k parents apnay bachon ko khush rakhnay k liya un ki batain b mannay lagay hain jis se un k mind main ye hota hai k hamari baat theek hai..aur agar na manain to ird gird ka envoirnment un ko complex main kar deta hai phir wo apnay parents se khinchnay lagatay hain i think is tarha bohat mushkil hota ja rahja hai

ya phir ye k parents ko un ki kuch adatain bardaasht karna hongi kyn k ab ye wo zamana to nahi raha
yup u r right ss but i think k jaiz khuwahishat kay liay her parents khushi khushi apnay bachon ki request kabool kerte hein but jahan bat zid ki ayay to mein aik bar phir yehi kahongi k bachon ki treatment per sab depend kerta hai k ager shuro say he ap acha treat kero gay to aisi nobat he i think nahe aa sakay gi k jub ap kay bachay ksi chez may zid karain...aj kal ka jo bhi environment hai ye ma baap ki la-parwahi he ki waja say hai or yeh un kay lad piyar ka he sila hai werna is say pehle bachon may sir uthanay tuk ki himut nahe hoti thi apnay parents kay samnay....
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
heheheh....goood nice:{(*

but tumhari 1 baat par pata nahi kyun mujhay bari hansi agai
k pehlay k ma baap k samnay kisi ki himmat nahi hoti ti k nazar tak uthye{(moc)}{(moc)}
thanks for liking {()|asf

han sahi bat hai pehle waqai bachon ki himmut nahe hoti thi k apnay maa baap ko sir utha ker bhi dekhain..aj kal dekho sir uthana kia maa baap kamray may dakhil hotey hein to bachay baray aram say bed per arram farma rahay hotey hein bajaye is k kay apnay parents ko aram kerne ko kaha jay wo uthnay ki zehmut bhi nahe kerte
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
haan ye baat to bilkul sahi kahi

ye respect kahan gai...actually jab parents khd bachay thay tub wo b aisay hi hongay isi waja se unhon nay apnay bachon ko nahi seekhaya is liya bachon ko kiya pata k khara b hona chaheya

mera khayaal hai un ko poorani black and white films dekhani chaheya us main acha guid kiya jata tha
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
haan ye baat to bilkul sahi kahi

ye respect kahan gai...actually jab parents khd bachay thay tub wo b aisay hi hongay isi waja se unhon nay apnay bachon ko nahi seekhaya is liya bachon ko kiya pata k khara b hona chaheya

mera khayaal hai un ko poorani black and white films dekhani chaheya us main acha guid kiya jata tha
nahe bhui parents aisay nahe howa kerte thay bas ye un kay lad piyar ka he nateeja hai..wo kehte hein na "APNAY PAIR PER KHUD KHULHARHI MARNA"
to bas samjh lein yehi kam aj kal kay zamanay may ho raha hai
 

Sakina

Newbie
Oct 12, 2007
652
44
0
jab bachon ko apnay confidence mai lay latay hian parentz tab koi galat kaam nahi kar patay bachay ... aj kal to zaroorat ban chuki hai zidein puri karna magar parentz pehlay bachoo ko achay ya buray ka bata dain apnay confidence mai lain un say batein share karein un ki suney to obviously kaha koi galat kaam kar paye gay bachay
 

atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
baccho ki shararat indicates their energy,their potential...if some child is of obeying nature...if parents say sit he sits,if they say standup he stands...that means his potential/energy have been suppressed in the guise of discipline....he will be cause of comfort to his parents but his inner bird who wants to touch sky is dying...
its good that children donot accept what parents say..bcoz they want to learn themselves due to their excess energy...they dont want to be taught fully...they just want direction/support whenever they need...that too should not be binding...but properly guided so that he accept the thing with his own understanding rather than force...
it is good that children dont listen bcoz they learn from what parents are....rather than what they teach...their feeling power,perception power is more...only thinking power is less...
and every parents give their seeds of physical diseases to theit children by heredity...though in every children it may not manifest..but it remains there...we can not understand that in this matter probably parents dont have control....but what about mental disease..every parent/society conditions their children about their religion,nation..and so on..and initially children resists but later he give up...he resists education,school....bcoz he is still natural and near to allah...he resists all patterns which he is not in tune with or unnatural...

CHILD IS THE FATHER OF THE MAN.....PONDER OVER THIS SENTENCE...
 

emo-girl

Newbie
Jul 22, 2008
93
10
0
34
atul bhai aap kitni mushkil baatain kartay hian samjh se bahar plz asaan kiya karain na ta k hum jaisay bachay bhi samjh sakain

aur urdu main kiya karain mujhay english nahi ati
 

atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
ok...aage se dhyan rakhenge....main india se hu...mujhe urdu nahi aati...par main enlish hindi likhne ki koshish karunga...yadi kisi sentence ka meaning samajh me na aya ho to likhe...
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
iss main koi shaak nahi k bohaat faraak hai ajj ki nasaal aur phalai ki nasaal main

phalai k bachai apnay maa baap ki ankhoo say daar jatai tay per ajj kaal k bachai

wakee bohaat shataan aur zidi hai ... yeh zada taar zada laad pyar ki waja say hota

hai main yeh too nahi kahoo ga k laad aur pyar na karoo ... karoo per aik limit main

atnay na karoo k bachaa bigaar jahai
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Asalamo aliekum friends

yehan main kuch kids k hawalay se discus karna chahoon gi aur aap longo se is k solution k baray main b janna chahoon gi ..

wo hai aaj kal k bachon ki problems jo k bohat common hochuki hai

ye observe kiya gaya hai k aaj k bachay last generation k muqablay main kaafi ziada shararti,,,touchy,,,ziddy,,etc horahay hain..

parents ki advice ko jald accept nahi kartay.{}{5tr

akhir is ki kiya waja hosakti hai..kiya parents ka had se ziada nakhray uthana..{}{76yt

parents ka un har baat ko manna ya phir zamanay k lehaaz se un main ye changes arahi hain..
{(danc2)}
to phir is ko mantain karan b mushkil hota ja raha hai..aap k khayaal main is ka kiya solution hona chaheya{(thinkg)}

ab ye mat keh dena hamain tajarba nahi...lollzzz{}{:p

thanx{(goodpost)}

Zabardast question aur her ghar ka masala hai. khuwaah aap kay bhai bahan hon kay apnay buchchay.


Wajoohaat kia hain:

Pehlay ki generaion qadray bewaqoof hoti thi mera mutlub hai meray ilawa sub.

Aaj ki genration ziada zaheen hai.

Mahol ka bhi asar hai

Konowledge ki zidati hai

Ziada opportunies hain.

Mind grow kanray kay ziada mowakay hain tarha tarha kay khilaonon au asaishon ki ki wajah say jub kay pehlay kay buchchon ko yay sub asaishin kum mayassar theen is liaay itnay zaheen naheen thay.

Maan baat ka tareeqa e andaz e palna bhi badal gia hai.

Tameez seekhanay aur seekhanay ka bhi undaz aur mawaqay badal gaay hain

Pehlay ki tarha joint rahaishi system bhi naheen kay sub nain toka ya kisi ki baat ki ahmiat huwi kisi ko pyar ziada karnay ki wajah say ya kisi kay maanay ki wajah say. Sub kay khuloos o mohabbat bhi thay apas main

Ub to sirf parents hotay hai to maan baap kay ziada daant dapat ya bayja roak toak ya ziada jhoot ki wajah say buchchon main itni ahmiat naheen rahi parents ki.

baaz dafa parents say ziada knowledge honay ki wajah say ya khud ko ziada knowledge wala samajhnay ki wajah say.

deeni taleem ki ibtadai dinon main na milnay ki wajah say.

Ghar main husband wife kay darmiaan na chaqi rahnay ki wajah say buchchay dono say buddil ho jatain hain aur kisi ki naheen suntay.

Parents ko her waqt ya baat baat pay lartay jhagartay daikh kar unka aitabar uth jata hai aur bud kahna ho jaatain hain

Parents ki tarbiyat main bhi wo baat naheen rahi.

Parents ziada liberal ho gaay hain.

Parents ki baytwajjahi ya masroorfiaat ya job ki wajah say say bhi

Kai bachchay honay ki sooraat main parents ka kisi ko ziada maana ya ghalat baat main kisi ki tarafdari karna aik ko budtameez bana deta hai.

Naay bachchay kay paidaish ki wajah say parents ka tawaajja naay ko denay say aur pehlay walay ko ignore karnay say.

School main sahi tarbiaat na honay say

Masrhay main daikh kar

Doston ya aros paros say seekh kar


Parents kaisay nimat saktay hain aisi situation main:

Apnay undaaz aur sulook say khud ko mautabar banaain buchchay ki nazar main.

Usko ahsaas dilain kay parents aap say ziada jantay hain. Un pay apni taleem ka roab o bharam barqarar rakhain.

Unko kabhi yay ahsaas na honay dain kay wo kisi bhi qism kay cheez main aap say ziada bahtar hain. khuwah wo buchchon ka game hi kioon na ho maharat hasil na karain to kum uz kum itna seekh lain kay us kay saath participate kar sakhain aur discuss karain.

Us ko time dain Us say pyar ka khoob izhar karain. Agar kai buchchay hain to her aik say tanhai main pyar karain kay doosray ko daikh kar hasad jalan na ho aur na hi yay ahsaas ho ko aap usko ziada pyar karti hain.

Sub say yaksaan pyar karain bayimaani hargiz naheen kay agar aap baytay ko manti hain to beti ko kum ahmiaat dain. Bayshak manain baytay ko per ahmiaat donon ko barabar dain aur insaf har haal main dono kay saath karain.

Her baat main mukummal insaaf karain.

Pyar mohabbat say paish aain laikin jahan zaroorat ho sakhti bhi karain.

Kabhi naaz uthain bhi aur kabhi jaan boojh kar na uthain. Yani kuch mangay to na dain takay hamaysha milnay ki adat ki wajah say baaz buchchay ziddi ho jatay hain.

Jaisay dukanon main parents ko zaleel kar rahay hota hain har dafa kay kai cheezain layni hain rona dhona aur zid pay ar jatain hain. Kabhi do chamat mar kar chup karain. Kabhi kisi say dara kar.

Kisi aik fard say chacha mama say dara kar rakhain jin ka kabhi kabhar ana hota hai takay dhamkaya ja sakay.

Wo ziada zaheen hotay hain so aap ko bhi zahanat say kaam lena chahyay. Unki tasalli unkay sawalon kay jawab say bahtar tor par karain.

Darmiyana rwaiya ikhtiar karain.


AGar aap ka buchcha bohat ziddi aur badmaash hai:

To us say pyar karain ziada. Ahsaas dilaain kay aap us say sub say ziada pyar kartain hain per wo tung kar kay bohat takleef deta hai aap ko.

Us kay achchay ya mamooli kaam ko khoob sarahain, inaam dain ussay kahain kay bohat achcha kaam hai is liaay diwar pay laga dia hai aur ussay dewar pay lagain.

Logon kay samnay us ki tareef karain. jo zara bhi achcha kaam kia hai uski khoob tareef karain aur kahain aap bohat proud feel karti hain kay aap ka budhcha itna achcha hai.

Us kay zid kay waqt bilkul zor zabardasti na karain. bohat pyar say smajhain na manay aur zida zid karaiy to bilkul chor dain khuwah kitna hi ro kioon na raha ho. Apna dil kar'a kar lain.

Phir agar wo a jata hai khud aap kay paas ya narm par jata hai to bohat pyar aur mohabbat say smajhain kay mama aap say kitan pyar karti hain aur aap itna tang kartay hain.

Agar phir bhi akar dikhay to 2 say 4 din bilkul us ko ignore karain khanay peenay ka bhi na poochain. Jub bhook lagay gi to khud shirminda ho kar aap kay paas aay ga. agar phir bhi akar dikhaay ya budtamizi say baat karain to bilkul ignore karain. Khuwah do din bhooka hi kioon na rkhana paray. Jub bhoo lagay gi zor ki to khud 2 din main seedha ho jaay ga.

Rota ziada ho to ronay jub tuk rota hai bilkul chup na karain. Aisay behave karain jaisay us kay ronay ka aap pay koi asar naheen ho raha hai.

Zabardasti sorry na karwain. Ahsaas dilain kay wo khud sorry karay.

Wo jub normal ho jaay to khus hain ussay pyar karain aur samjhain agar ainda naraz huwa to main kabhi pyar naheen karoon gi. kuch treat dain aur kuch tohfa dain kay aap nain budtamizi chor di. Laikin aida kia to wapis lay loon gi.

Aisay buchchon ko pyar ki kami mahsoos hoti hai jo is tarha kartain hain yani jitna lift wo chahtain hain wo naheen milta to tung kartay hain.

Ya phir jub zaheen hotay hain daikh laytay hain kiay unka laad ziada ho raha hai to sir charh jaatain hain.

Yaad rakhain jitna buchcha zaheen hota hai utna hi tung bhi karta hai. Is liaay ussay sanbhalnay aur control karnay kay liaay bohat zahanat say kaam lena chahyay.

Wo jis kaam main ziada interest leta hai ya ziada darta hai us ka istamal karna chahyay yani narazgi main uskay pasandeeda cheez say mahroomi ki soorat main ya budamizi ki soorat main dara kar.

yay baray azmooda nuskhay hain. Aik jagah main nain kaam kia hai aur kai bully buchchon ko aisa garweeda kia hai kay sub hayran rah gaay.


kabhi bohat pyar karain kabhi saakhti bhi karain kabhi thori aur kabhi thori ziada.

Baqia ainda.
 
Top