abr-e-bahaar ab ke bhii barsaa parey parey gulshan ujaaR ujaaR haiN, jangal harey har

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
34
abr-e-bahaar ab ke bhii barsaa parey parey
gulshan ujaaR ujaaR haiN, jangal harey harey
jaaney ye tashnagii hai havas hai ke khud’kushii
jaltey haiN shaam hii se jo saagar bharey bharey
hai dil kii maot Eh'd-e-vafaa ki shikastagii
phir bhii jo koii tark-e-mohabbat karey, karey
ab apna dil bhii shah’r-e-khaamoshaaN se kam nahiiN
sun ho gaye haiN kaan sadaa par dharey dharey
rahtey haiN Eh'l-e-shah’r ke saaye se duur duur
ham aahuwaan-e-dasht ki suurat, Darey Darey
gul ban ke phuuttaa hai lahuu shaakh'saar se
zakh'm-e-rag-e-bahaar haiN pattey harey harey
zindaa'dilaan-e-shah’r ko kyaa ho gayaa “Faraz”
aankheiN bujhii bujhii haiN to chehrey marey marey
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top