Aitbaar tootay tou

  • Work-from-home

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
aitbaar tootay tou
aitbaar tootay tou
wo bhi aisay logon par
jin ko apna ham janain
jab bhi gham say bhojhal hon
un ko mahraba'n manain
aitbaar totay tou
aisay zakhm miltay hain
jo kabhi nahi bhartay
mahraban sayee jab ham say rooth jayen to
aisii dhoop miltii hay
jis main rooh jalti hay
aitbaar tootay tou
dil k aainay jo hain
wo bhi toot jatay hain
wo jo aks apnay hon
wo bhi rooth jatay hain
aitbaar tootay tou
aisay zakhm miltay hain
aisee dhoop milti hay
aisay aks khotay hain
loog hans bhi lain shayad
dil hamaisha rotay hain
aitbaar tootay tou............

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top