Allah Ke Nabi Zinda Hain

  • Work-from-home
Aug 18, 2010
40
24
0

میں اپنی اس پوسٹ سے فورم کے ایڈمن اور تمام موڈریٹر صاحبان کو جج بناتا ہوں کہ وہ اس معاملے کی تحقیق کرکے قارئین کرام کے سامنے حق بات واضح کرے تاکہ پتا چل جائے کہ جھوٹا کون ہے اور خیانت کا راستہ کس نے اپنایا ہے




 

king geee

Newbie
Feb 24, 2010
118
14
0
37
tumenn parna nen atta koyoin kay tum jahill hoo upar paroo kay anwar nay joo pm tm don ko beja ha us ko tm don nay kha ha whan post karoo baat hayat ul nabi par hoo rhy thy post huyat ul nabi par thy phir keyon haziar o nazir par behas karty hoo mujay too aup kehty ho kay aagy pechy key lagaty hoo magar koch too gehart khaoo sharrm karoo jahillon
yeh post karny thy samjay aboo jahillo
:-q
Thread Hayat-unabi

علی بھائی السلام علیکم
ایک مسلہ کی طرف آپ کی خصوصی توجہ چاہتا ہوں
ہمارے درمیان جو اختلاف ہے وہ ہماری دنیاوی زندگی میں حضور صلی اللہ علیہ وسلم کا ہر جگہ حاضر و ناظر کے مسلہ پر ہے
حیات النبی صلی اللہ علیہ وسلم ایک ایسا عقیدہ ہے جس پر ہم دونوں متفق ہیں کہ اللہ کے نبی صلی اللہ علیہ وسلم اپنے روضہ اطہر میں حیات ہیں
مماتی حضرات جو ایک فرقہ ہے اور وہ حیات النبی کا منکر ہے بلکہ حیات النبی کو ہی تمام خرابیوں اور فساد کی جڑ سمجھتا ہے العیاذباللہ
ضرب فاروقی کے ذہن میں یہ بات آئی کہ ہم جس ٹھریڈ میں بحث کرنے جارہے ہیں وہ ٹھریڈ حیات النبی صلی اللہ علیہ وسلم پر بناہوا ہے لیکن موضوع اب حاضر و ناظر کی طرف تبدیل ہوچکا ہے اگر ہم حیات النبی کے ٹھریڈ میں حاضر و ناظر کی بحث کرینگے تو یقینا اس کی ضرب مسلہ حیات النبی پر پرے گی جو ہم دونوں فریق کا مشترقہ عقیدہ ہے جس پر کوئی اختلاف نہیں ہے اور مماتی اس سے فائدہ اٹھائینگے کہ دیکھو ہم کہتے ہیں کہ ھیات النبی کا عقیدہ یہ فساد کی جڑ ہے اس کی مثال سامنے ہیں جو اس کے قائل ہیں وہ دونوں اختلاف کررہے ہیں اس طرح مماتی فرقہ لوگوں کو گمراہ کرینگے اور مناسب بھی نہیں کہ حاضر و ناظر کی بحث ھیات النبی والے ٹھریڈ میں ہو
لہذا ہمارا مشواہ ہے کہ اس بحث لے لئے الگ ٹھریڈ بناتے ہیں مسلہ حاضر و ناظر کے نام سے اور اسی میں بحث ہونی چاہئے
علی بھائی اگر آپ ہماری بات سے متفق ہیں تو موڈریٹر سے گذارش کرتے ہیں الگ ٹھریڈ کی اگر آپ متفق نہیں تو اسی ٹھریڈ میں ہم بحث کرینگے لیکن ہم اللہ کی پناہ چاہتے ہیں کہ ہماری بحث سے حیات النبی کے عقیدے کو نقصان پہنچے اس کی ذمہ داری آپ پر ہوگی
جہاں تک آپ نے غیر موضوع اخباری تراشے جاری کئے ہیں اس پر بھی بحث ہوگی اس کو بھی الگ ٹھریڈ مین منتقل کیا جائے تاکہ ہر موضو ع الگ رہے
امید ہے آپ مثبت جواب دینگے
Copy: Bint e aisha,Tariq saeed, Don


---------- Post added at 06:23 AM ---------- Previous post was at 06:13 AM ----------

http://www.tafrehmela.com/islam/14958-allah-ke-nabi-zinda-hain-4.html

---------- Post added at 06:26 AM ---------- Previous post was at 06:23 AM ----------

(Hadees-e-pak Mafhum)
Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam) Ki badi Maroof aur Mashhoor Hadees-e-Pak hai Jisme Sarkar (Alaihisalam) ne Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta’ala alaihim ajmaeen) se Farmaya:
“ Meri Ummat me 73 firke Honge..! 72 Jahannam me Jayenge..! Sirf ek Jannat me Jayega..!” Sahaba Ikram ne Jab Arz kiya “ Ya Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam), Vo Jannati firka Kaun hai, Uski Pehchan kya hai ” Huzoor(alaihisalam) ne Farmaya: “Jis par main hun Aur mere Sahabi hain” (Subhan Allah).

Huzoor (Salllalaho Alaihiwasallam) Ka ye Mubarak Javaab Kaabil-e-gaur hai, Aur Isme Beshumar Hikmate bhari hui hai. Aur Agar Koi shaks Is Hadees-e-Pak Ko Muhabbat Aur Sachhe Dilse Se Samajh le to Zarur Haq Aur Batil Ko Pehchaan lega..(Insha allah)

Jab Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta’ala alaihim ajmaeen) ne Savaal Kiya to Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) Ka itna farma dena hi Kaafi tha ke “Jo Mere Raste Par chale,Vo Jannati hai” Lekin Huzoor(Alaihisalam) ne Ye kyu Farmaya “ Jis Par Main hun Aur mere Sahabi hai”.
Isse Saaf Zahir Hogaya ke Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Apni Deen-e-Haq ki Pehchaan ke Liye Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya..Tamam duniya walon ko Zehen Diya Ae Logon, Mere Parda Farmane ke Baad agar Deen-e-haq Sikhna Ho to Mere Sahaba se Sikhna Aur Jo unke Khilaf ho to Vohi Gumraah aur Badmazhab hai.
Isse Pata Chalta hai ke Deen e Haq ki Pehchan ke Liye Allah Ta’ala Aur Uske Pyare Habeeb ne Har Daur me Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya.

Jab Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Hamari Ankho se Parda farmaya
“to Jannatiyon ki Pehchaan Sahaba Ikraam hue,
Ek Daur Aya Jab Kalma Padne walon ne Zakat ka Inkaar karna shuru kiya” To Haq ki Pehchan Abu Bakr Siddiq hue”, Farooque Azam Hue, Usman-e-Zunnurain Hue, Maula Ali Hue(Ridwanullahi ta’ala alaihim ajmaeen)

Yahi Nahi Jab Karbala Ka wakiya Pesh Aaya Yazidi Bhi Usi Nabi ka kalma Padte the,Bazahir Hukumat bhi Yazid ki thi, Tadaad Yazid ke Paas thi “
Lekin Haq ki Pehchaan Husain-e-Azam Aur unke 72 Afraad ke lashkar se hui”

Jab Sahaba Ikram ne Is Duniya-e-fani se Parda Farmaya
to Jannatiyon ki Pehchaan “Tabaeen Hue” ( Yani Jinhone Sahaba Ikram se Deen Ko sikha)

Isi Tarah Se Kabhi Ek Daur me Deen –e-Haq ki Pehchan Sarkar Gaus-e-Azam Huey, Kabhi Sarkar Gareeb Nawaz Huey, Kabhi Sarkar Mujaddid Alf-e-Saani Huey.
Allah Ta’ala ne apne Fazl se Zarurat ke Waqt me Apne Deen ki Hifazat ke liye Apne Mehboob Bando ko Paida Farmaya Aur unhi ke Naam Se us Daur Me Deen-e-Haq ki Pehchaan Hoti Rahi…





14vi Sadi me Jab Hind me Kuch gustakh firqon ne Rasool-e-Azam ,Tamam Nabiyon ke Sardar Muhammadur Rasool allah(Sallalaho Alaihiwasallam) Ki Shaan me Gustakhiyan karna Shuru kiya,
Aur Logon ko Ye Napak Zehen Dena Shuru Kiya
ke Nabi ka khayal Namaz me aaye To Vo Namaz me Zina ke Khayal se bhi Badtar hai(Ma’azallah).

Aur Un Gustakhon ne yahan tak kaha ke Nabi Marke Mitti me Mil gaye, Aur Nabi ka ILM-e-Ghaib to Aisa hai Jaise Pagalon, Janwaro Ka hai..(Ma’az Allah)
Logon ko Ye zehen diya ke sirf Allah Ta’ala ko mano Rasooallah(Sallalaho Alaihiwasallam) ki Tazeem ki koi Zarurat nahi!”(Ma’azallah)


Jabke Sach to ye hai ke Sahaba Ikram ka to Ye Amal tha Jab vo Namaz me Hote Aur Huzoor(alaihisalaam) Unhe Bulate to Namaz Chor Kar Huzoor Ki Bargah me Hazir Hote, Aur Phir Lautne Par vahin se Rakat Padte jahan se vo gaye the, Aur Unhe Aisa karne Ka Hukum Khud Allah Ta’ala ne Quran Sharif me Diya hai”


Jabke Hadees –e-Pak me Hai Huzoor(sallalaho Alaihiwasallam) Ne Farmaya:
“Allah Ta’ala Ne Mitti Par ye Haram kar diya hai ke vo Nabiyon ke Jism ko khaye, Allah ke Nabi Zinda Hai Aur Rizq Diye Jate Hain.”



Aur Aisi Beshumar Gustakhiyan Jo Koi khula Kafir bhi na kare, Vo Bazahir Kalma Padne Wale Wahabi/Deobandi ne kiya.
Aisa Badtar Mahol Paida hogaya tha, koi (Ma’azallah) Allah Ta’ala ko Jhoot bolne par qadir keh kar Allah Subhanwata’ala ki Shaan me gustakhi kar raha tha…
Koi shia Bankar Sahaba Ikraam Ki shaan me gustakhi kar raha tha, Koi Wahabi/Deobandi kehlakar Ahle Bait Ki shaan me gustakhi Kar raha tha, Koi Nabiyon aur waliyon ke Ikthiyarat ka Inkaar kar raha tha,
Jab Aise Jhoote Kalme Padne Wale, Jhooti Namaz Padne Wale…Logon ka Imaan Barbaad Kar rahe the Aur Allah ke mehboob bandon Ki Azmat Aur Muhabbat Logon ke dilon se Nikal rahe the…
To Allah Tabarak wa Ta’ala ne Phir Hum Par Karam Farmaya Aur Apni Nabi Ki Azmat ka Parcham Buland Farmane k Liye, Bareilly Shareef ki Sar-Zameen Se
IMAM AHMED RAZA
Ko Paida Farmaya”(Subhan Allah)

Vo
IMAM AHMED RAZA Jisne Tamam Gustakhon Ko ,Tamam Munkiron ko Quran Sharif Aur Hadees-e-Pak
Se Unke Jhoote Aqeede ka Muh tod Javaab Diya, Aur Rasoolallah (Sallalaho Alaihi Wasallam) ki shaan me Gustakhi ki bina par Unka Kufr Saabit kiya.Aur Sunniyat ki Haqqaniyat ka parcham lehrayaa. Aur Rasoolallah (Sallalaho Alaihi Wasallam) ki Azmate Bayan Karte Hue Ilm ka Darya Baha Diya…..

Aur Apne Aqa ki Bargah me Yu Arz Kiya :

“Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla,
“Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla,
Meri Chasme Alam Se chup Jaane Wale”


Aur Farmaya:
Ya RasoolAllah(Sallalaho Alaihiwasallam)
“Aur Koi Gaib kya,Tumse Niha ho Bhala
Jab na khuda hi chupa..Tum Pe Karodon Durood”

Aur Hum Jaise Karodon Musalamano Ke Imaan o Aqeede Ki Hifazat ki Aur Unki Is Khidmat aur Baatil ko Benaqaab Karne par, Arab-o-Ajam Yani Saari duniya ke Ulma-e-Karam Ne aapko 14vi Sadi Ka Mujaddid Karar Diya Aur Aapko “ALAHAZRAT”
Ke Mubarak Alqab se Nawaza.

Ye us waqt ke Arab ke Ulma-e-Kiram the Jab 1200 saal se Harmain Sharifain me Sunniyon ki Hukumat thi,
Aj kal ke Najdi/wahabi ki zalim hukumat jo zabardasti kabza karliya hai usko sirf 200 saal hue hain. Jab In gustakho ki Asliyat samne Agayee to ab ye Gustaakh bhi Apne Aapko sunni kehne lage the , Ahle Sunnat Wal Jamaat kehne lage the….


Zaroorat thi ke Sachhe Sunni Aur Jhoote Naam ke Sunni Ko Pehchanne ke liye koi tarika mukarar kiya jaye: Us waqt ke Ulama Farmate the Ke
‘Hind Se Jab koi Musalmaan Ata Hai to hum Usse Ahmed Raza Ke Bare Me Poochte hai, Agar Vo Unki Taarif Karta tha to Hum Samajh Jate the ke Ye Sunni Imaan Wala hai, Aur Agar Hind se Aanewala Ahmed Raza Ki Burai karta tha to hum samajh lete the ke ye Ahle-Biddat hai, Gustakh hai’

Us waqt se Sari Duniya Me Imaan Wale Sunniyon ki Pehchaan IMAM AHMED RAZA
ban gaye.

Isliye Ulma-e-Arab-o-Ajam ne Imaan wale aur gustakhon ki Pehchan ke Liye
MASLAK-E-ALAHAZRAT
kehna shuru kiya. Aur Allah ta’ala aur Uske Pyare Habeeb (sallalahoalaihiwasallam) ki Raza bhi Isi me thi warna Aaj duniya ke Har kone me Maslak-e-Alahazrat ki gunj na hoti…Ye Sabse bada saboot hai Ke Allah ta’ala jise chahta hai Izzat bakshta hai.

Isliye shaayar ne kya khub kaha

Sab Unse Jalne walon ke gul hogaye charaag
Ahmed Raza ki shamma faroza hai aaj bhi.


Aur Ab Is Daur Me
“MASLAK-E-ALAHAZRAT “ hi Deen-e-Haq ki Pehchaan Hai.
MASLAK-E-ALAHAZRAT hi vo Maslak hai Jo Is Hadees-e-pak Par Sahi mana me Amal Kar raha hai
“Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tarike Par ho”(Hadees-e-Pak)


Aaj agar koi Banaam Sunni Is “Maslak-e-Alahazrat” ke Naare Par Aitraz karta hai to Use Sochna Chahiye Ke Allah Ta’ala aur Uske Pyare Habeeb ne Har Daur me Kisi na Kisi Ko Apne Deen Ki Pehchaan Ke liye Chuna, Is Daur me ALAHAZRAT Ko Is Khidmat se Nawaza, Lihaza Isme kisi ko koi Hasad Ya Jalan Nahi Rakhna Chahiye. Balke Hume ALAHAZRAT ka Shukr Manna Chahiye ke Agar Vo Hamare Imaan Ki Hifazat Na karte aur In Wahabi, Deobandi, Ahle Hadas!
ke Kalma Aur Namaz ke Piche Chupe hue Kufr Ko Benaqab na karte, To Kya Hota?

Yaad Rakho Jisne Allah Ta’la ke Bando Ka Shukr Na Mana, Goya Usne AllahTa’ala ka Shukr Na mana..!



---------- Post added at 06:27 AM ---------- Previous post was at 06:26 AM ----------

MASLAKE ALAHAZRAT QURAN SHAREEF AUR AHADEES SHARIF KI ROSHNI ME:






Alhumdulillah Sunniyat yani Maslak-e-Alahazrat hi wo mazhab e haq hai jo Apne har ek Aqaid aur Amal ko Quran O Hadees Sharif ki Roshni me Sabit Karta hua Nazar Aata hai. Is Section me Mukhtasar se kuch Daleelein Pesh ki jayengi Jo Agar ek Aam Shaks Samajh kar Yaad karle to Bohot Se Fitno se Insha allah bach sakta hai.Aur Batil ka muh tod Javab de sakta hai.

Aqeeda 1.Rasoolallah(sallalaho alaihiwasallam) Noor hai, Noorul bashar hai.
Quran Sharif: Beshak tumahare paas Allah ki taraf se ek Noor aaya Aur roshan kitab. (Surah Maida verse 15)

Is Ayat me “Noor” se muraad Huzoor (Sallalahoalaihiwasallam) ki Zaat-e-paak hai. [Tafseer ibn Abbas Pg.72 - Published Egypt]

Hadees sharif :
Hazrate Jabir Radiallaho ta’ala ne Huzoor (alaihisallaam) se jab poocha ke Allah Ta’ala ne sabse pehle kis cheez ko paida farmaya Ispar Rasoolallah (Sallalaho alaihiwasallam) ne Irshad farmaya “Ae jabir! Beshak Allah ta’ala ne Sabse pehle Apne noor se Tere nabi ke Noor ko paida farmaya”
[Mawahibul Laduniyah Shareef Pg.9 Vol.1 - Zurqaani Shareef Pg.46 Vol.1 – Seerat-e-Halbia Pg.37 Vol.1 - Sharah Dalailul Kheyraat Pg.210 – Hujatul’laahi alal Alameen Pg.28 - Anwaarul Muhammadiya Pg.9 - Fatawa Hadeethia Pg.51]

Hazrat Ali (Radiallaho ta’ala anho) farmate hain “jab Huzoor (sallalahoalaihiwasallam) kuch Irshaad farmate the to unke mubarak daanton ke bich me se Noor ki kirne Phut ti dikhai deti thi” [Mawahibul Laduniyah Pg. 270 Vol.1 - Anwaarul Muhammadiya Pg.132 - Zurqaani Shareef]

Ummul mumineen Hazrate Aisha Siddiqa Radiallahota’ala anha farmati hain “Main Andheri raaton me bhi sui me dhaage puro leti thi, Huzoor alaihisalaam ke Noor ki roshni se”
[Shara Shifa Hashia Naseemur Riyaz Pg.328 Vol.1]

Isliye Sayyedi Sarkar Alahazrat Farmate hain:
Teri Nasle Paak me hai Bacha Bacha Noor ka..
Tu hai Aine Noor Tera sab gharana Noor ka...!


Aqeeda 2. Rasoolallah (sallalahoalaihiwasallam) Afzalul bashar hai, bemisl-o-bemisal hain.
Hadees Sharif:

Hazrat Abdullah ibn Umar(radiallaho ta’ala anh farmate hain ke Rasoolallah Sallalaho alaihiwasallam ne farmaya: “Main tum me se kisi ki tarah nahi hun.”
[Jaam’e Tirmizi Pg.97 Vol.1 - Sahih Bukhari Pg.246 Vol.1]

Hazrate Ali (Radiallaho ta’ala ) farmate hain “Maine Huzoor (alaihisallaam) ke Jaisa kisi ko na paaya. Na unke pehle na unke baad”
[Taareekh-e-Kabeer Pg.8 Vol.1 - Khasaais ul Kubra Pg.181 Vol.1 - Tirmizi Shareef Pg.204 Vol.2]

Isi liye Sayyedi Sarkar Alahazrat farmate hai:

Yahi bole Sidra Waale chamane jahan ke thaale
Sabhi maine chaan daale tere paye ka na paaya
Tuje Yak na Yak banaya Tuje Yak na yak banaya
Tujhe Humd he khuda ya tujhe humd he khuda ya..


Aqeeda 3.Wasila Jaiz hai…Wasile ka munkir Quran Sharif ka munkir hai Aur Quran ka munkir Beshak Khula Kafir hai!
Quran sharif :
“Ae Imaan walo Allah se Daro aur uski taraf Wasila dhundo [Surah Maa’idah Verse.35]”

“Aur Agar Jab vo Apni Jano par zulm kare, To Ae Mehboob tumhare Huzoor hazir hon aur phir Allah se maafi chahein Aur Rasool unki shafa’at farmae to Zarur Allah ko bohot Tauba kabul karne wala Meherbaan Paaein” [Surah Nisa Verse.64]

Isiliye shahzada-e-Alahazrat Huzoor Mufti-e-Azam-e-Hind(Radiallaho ta’ala anho) farmate hain:
Wasle Maula chahte ho, to wasila dhundlo..
Bewasila Najdiyon hargiz khuda milta nahi…!


Aqeeda 4. Hamare Nabi Hayatun nabi hai..Zinda hai. Yahan tak ke Allah ta’ala ke tamam nek bande Zinda hain.
Quran Sharif:
“Aur jo khuda ki raah me Maare jaye unhe Murda na kaho balke wo zinda hain, han tumhe khabar nahi”[Surah Baqara Verse.154]

Hadees sharif:
“Allah Ta’ala ne mitti par Haraam kar diya hai ke wo Nabiyon ke Jismon ko khaye, Allah ke Saare Nabi Zinda hai aur Rizq diye jate hain”
[Ibn Majah Pg.119 - Jaame Sagheer Pg.54 Vol.1 - Mishkaat Shareef Pg.112 Vol.2]

Huzoor (alaihisalaam) ne farmaya: “Shabe meraj ki raat maine Moosa (alaihissalaam) ko unki Qabr me Lal rang ke Pathar ke paas khade hokar Namaz Padte Dekha”

Tu Zinda hai vallah, Tu zinda hai Vallah… Meri Chasme Alam se chup Jane Wale…!(Sarkar Alahazrat)

Isi tarah se Tamam Sunni Aqaid-e-Ahle Sunnat Quran o Hadees Sharif Se Saaf Zahir hai…
Tamaam Sunni Aqaid Aur Amaal ki Quran Sharif o Hadees sharif se Tafseeli daleeel ke liye Aap Hamare English ya Urdu Books Sections se Books Download kar sakte hain. Ya Phir Ulma-e-haq ki Taqreerein Bayan section se bhi download kar sakte hain.


 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)

dono membaran se guzarish hai k aap dono adab k daire me rehte huye guftugu karen mobahasa karen tu tu main main karne se mahol kharab hoga aur isse kuch nateeja nahi niklega

aap dono dalail ki roshni me aur ikhlaas k sath jo bhi haq wazeh hoga usko qabool karne ki niyyat se baat karen isse ilm me izafa aur amal me sudhar hoga

umeed hai aap hamari baton par amal karenge :)

Allah hame haq janne aur uspar amal karne ki taufeeq de Aameen
 

6sman

Newbie
Jun 12, 2010
139
65
0
38
Lahore
salamu alaikum!

I don't believe this discussion has produced much beneficial fruit. Judging of what I've read herein the person most glad out of this discussion will be Satan. And why not? Muslims belittling Muslims, creating rift amongst themselves. There's vast space between the commendable religious pondering and disputation for the sake of defeating your opponent, difference lays in the manner in which we conduct discussion and debates; if done with purity, seeking rectification (Islah) purely for the sake of Allaah then nothing could be better. On the other hand, if discussions are carried out to gain fame and victory just because your ego isn't satisfied with second best, or because you hate the other guy so much that accepting the other point of view will seem derogatory; then such discussions and debates are profitable not but in harm to yourself and your brother. If your intention (niyah) is anything but seeking Allaah's Face, obedience to His Messenger and rectification both of yourself and your brother then know there's something not right, and it would be recommended such debates be abandoned. So take a step back and re-check your intention.

I have commented earlier on this issue, not much else do I have to say except read out Allaah's guidance with regards to such cases where things are beyond human comprehension such as life in the barrier between life and death (barzakh). Such cases pertain to knowledge of the unseen of which very little is given to man, so however much we try we can ne'er grasp fully it's underlying realities, as Allaah says: And say not of those who are slain in the way of Allah: "They are dead." Nay, they are living, though ye perceive (it) not. [Al-Qur'an, 2:154] So this something imperceivable and concerning Allaah guides us: He it is Who has sent down to thee the Book: In it are verses basic or fundamental (of established meaning); they are the foundation of the Book: others are allegorical (mutashaabihaat). But those in whose hearts is perversity follow the part thereof that is allegorical, seeking discord, and searching for its hidden meanings, but no one knows its hidden meanings except Allah. And those who are firmly grounded in knowledge say: "We believe in the Book; the whole of it is from our Lord:" and none will grasp the Message except men of understanding. [Al-Qur'an, 3:7]

When you see a debate like this one where end seems no where in sight then know that such debates carry no benefit. So stop embarking on such ventures of no return. It can also be that end is in fact sightable but those aboard are too incompetent to take her home. In this case, we need a change of air, we nee to kook into our character, our ikhlas and ask ourselves: Are we really doing this for Allaah an His Rasool? Do I from the bottom of my heart seek rectification of my fellow brethren? Our have I been lead astray inasmuch as despite superficially acting to serve God, I satisfy none but Satan?

Thank you for a kind consideration, Allaah! guide us all, Allaahummahdinaa feeman hadayt!
 
Top