Baachpan Ke Dukh

  • Work-from-home

anmol

Newbie
May 19, 2008
472
154
0
37
Bachpan Ke Dukh Bhi Kitne Achay Hotay Thay
Tab To Sirf Khilonay Toota Karte Thay

Woh Khushiyaan Bhi Na Jaanay Kaisi Khushiyaan Thin
Titli Ke Par Noch Ke Uchhla Karte Thay

Paaon Maar Ke Khud Baarish Ke Paani Mein
Apni Naaoo Aap Daboyaa Karte Thay

Ab Sochain Tau Chott Sii Parrti Hai Dil Par
Aap Banaa Kar Aap Gharonday Torra Karte Thay

Chottay Thay Tau Makr O Fareb Bhi Chottay Thay
Daana Daal Kar Chirriyaan Pakrra Karte Thay

Apne Jal Jaanay Ka Ehsaas Bhi Na Tha
Jalte Sholon Ko Cherra Karte Thay

Khushbu Ke Urrtay Hi Kiun Murjhaaya Phool
Kitne Bholay Pan Se Poocha Karte Thay

Aaj Bhi Woh Taabeeren Lahoo Rulaati Hain
Bachpan Main Jo Ham Ne Sapne Dekhay Thay

Ab Tau Ik Aansuu Bhi Ruswa Kar Jaata Hay
Bachpan Mein Gii Bhar Ki Roya Karte Thay


 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top