~bazm-e-sukhan Anaaya Ali K Sath~ *saviou*

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
g to saviou baya maira sawal ye hay kkk

koi aisa shaer jo aapko lagta ho k sirf aap hi k liye bna hay :p

i mean k jisse parh k ya sun k lagta ho k wo shaer aapki zindagi ya kissi waqea k bohat qareeb hay?

jee apka ye sawal to sidhe dil me war kiya hai /:)

waise apki baat par ek ghazal yaad agaye faraz ahmed ki jisko jab bhi padhte hain lagta hai iska hamari zindagi se ya purani yadon se kuch lena hai

Guazre hue taveel zamane k baad bhi,,
Dil mei raha wo chod k jaane k baad bhi,,

Pehlu mei reh k dil ne diya he bahut fareb,,
Rakha he yaad usko bhulane k baad bhi,,

Go tu yaha nahi he magar tu yahi pe he,,
Teri hee hasrat he tere jaane k baad bhi,,

Lagta he kuch kaha hee nahi he use kabhi,,
Dil ka tamaam haal sunane k baad bhi,,

He yakee dil ko hamare to samajh lo itna,,
Laut kar aayega ek roz wo jaane k baad bhi..!!
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK


Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

1. shayari me to hame school ke dino se dilchaspi thi lekin utna samajh nahi pate the hamare yahan har mahine ya phir do ya teen mahino me ek baar mushaira hua karta tha wahan jate aur khaas kar mazahiya mushairey me bohot maza aata tha, to yahin se shuruat huyi :)

2. waise to bohot sher rehte hain lekin aksar jo sher se hame hausla milta hai aur phir se umeed jagti hai wo ye share hai

Dekhne Wale Meri Tooti Huyi Kashti Ko Na Dekh
Hausla Abb Bhi Hai Toofano Se Takrane Kaa

3. ye sawal samjhe nahi kya shayari sach bolti hai
ye to shayar ke upar hai ke wo apne ashar me kya kehna chahta hai
haan ham ek baat keh sakte hain jo muqarreer kayi ghante apne taqreer me kahe wo shayar do line me keh sakta hai yane samundar ko surayee me sametna ye shayar karsakta hai :)

4. jee aise badalte mausam aur aise thar tharati shamen to bada pareshan karti hain :p
har umar wala apne hisab se aise mausam ka lutf utha ta hai
aise mausam me ham chahte hain ke akele na rahen koi sath ho jisse ye mausam ke maze sath lesaken sath me garma garam chai bhi honi chahiye aur kya wagairah wagairah /:)

5. jee do teen dost hain jo hame yaad hain jinhone us mauqe ke hisab se hamare bare me share kaha

ek hindi shayar hain jo ek ghazal likh rahe the aur uska matla unhone hame dedicate kiya wo is tarah se hai
इक शख्स क्या बतायें कि कैसा दिखाई दे?
जो देख ले, उसी को वो अपना दिखाई दे...


Ek Shaqs Kya Batayen Ke Kaise Dikhayi De?
JO Dekh Le, Ussi Ko Wo Apna Dikhayi De...

aur ek hamare bohot ache dost hain wo bhi shayari karte hain unhone bhi apne alfazon se hame nawaza tha

tareef me teri mein likhun kya naseer???
qalam ki roshnai ke tere sub hain aseer....

shaad rahe abaad rahe tu is hunar ke saath
jaani hai humne duniya padhkar teri tehreer

soncha na tha ek ajnabi ban jaega rafeeq
samjha hamesha dosti ko hum ne sirf zanjeer

Khuda de aur zoq aur hunar-e-shaeri.....
kalaam tera lage subko pyar ki tasweer

***Salaam***



bas ye abhi yaad hain

6. jee haan lekin abhi to yaad nahi hame

7. haan hamne yahin TM par bohot se nazm aur ghazal bhi post kiye hain jinme se hamne sana aur sabah ko dedicate kiye aur ek khud hamne apni ahlia k liye likhe the wo bhi yehin par post kiye aap dekh sakte hain :)

http://www.tafrehmela.com/tms-contest/130513-your-own-poetry-contest-3.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/140007-phir-dil-mein-ek-hasrath-si-hone-lagi.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/137774-khuda-ka-nayaab-tohfa-hai-wo.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/141396-dedicate-marina.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/141100-bhula-chuka-hun-main-ab-wo-din-purane.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/138133-aye-musalmaan-tujhe-kya-ho-gaya-hai.html

http://www.tafrehmela.com/muhabbat-shayari/103482-mere-mehboob.html

http://www.tafrehmela.com/muhabbat-shayari/106924-mujhe-tum-se-mohabbat-hai.html

http://www.tafrehmela.com/religious-shayari/107185-taqdeer-me-likha-barhaq-hai-ye-juz-e-imaan-hai.html

http://www.tafrehmela.com/greeting-congras-sorrow/128275-nazm-dedicating-tm.html


bas itne mile :p
jo yahan share kiye hosakta ho aur bhi hon
aur bohot se hamne yahan share nahi kiye aur kuch likh bhi rahe hain :)

8. pasandeeda share ghazl nazm to bohot hain aur khaas kar Allama Iqbal ka likha har kalam hame pasand hai to unhi ki ek nazm jo ke ek dua hai wo sab jante bhi hain wohi share karte hain :)

Lab pe aati hai dua banke tamanna meri
Zindagi shama ki surat ho khudaya meri

Door duniya ka mere dam andhera no jaaye
Har jagah mere chamakane se ujaala ho jaaye

Ho mere dam se yoon hi mere watan ki zeenat
Jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab
Ilm ki shama se ho mujhko mohabbat ya rab

Ho mera kaam garibon ki himaayat karna
Dard-mandon se zaiifon se mohabbat karna

Mere allaah buraai se bachaanaa mujhko
Nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhko


9. Allama Iqbal :)

10. jee zaroor

Tumhari Kamiyabi Rahe Hazar Baras
Har Baras Ke Hon Din Pachas Hazar :)


umeed hai ye sab padh kar aap sab bore nahi huye honge
bohot bohot shukriya ap sab ka aur khaas kar hamari bahen mohtarma Anaaya ka :)
Jazakallah khair :)
waah kya khoobsurati se
jawabaat diye aap ne GREAT
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113




4. jee aise badalte mausam aur aise thar tharati shamen to bada pareshan karti hain :p
har umar wala apne hisab se aise mausam ka lutf utha ta hai
aise mausam me ham chahte hain ke akele na rahen koi sath ho jisse ye mausam ke maze sath lesaken sath me garma garam chai bhi honi chahiye aur kya wagairah wagairah /:)

hahhah..{(haha})or chai k sath pakore b hone chaheye..{(thinkg)}
wese yahan apko shairy ki zuban me jawab dena tha..{(thinkg)}


5. jee do teen dost hain jo hame yaad hain jinhone us mauqe ke hisab se hamare bare me share kaha

ek hindi shayar hain jo ek ghazal likh rahe the aur uska matla unhone hame dedicate kiya wo is tarah se hai
इक शख्स क्या बतायें कि कैसा दिखाई दे?
जो देख ले, उसी को वो अपना दिखाई दे...


Ek Shaqs Kya Batayen Ke Kaise Dikhayi De?
JO Dekh Le, Ussi Ko Wo Apna Dikhayi De...
ap k to dost b shayer hain..wahhh..boht pyara shair kaha ap k dost ne ap k lye..{(ok)}

aur ek hamare bohot ache dost hain wo bhi shayari karte hain unhone bhi apne alfazon se hame nawaza tha

tareef me teri mein likhun kya naseer???
qalam ki roshnai ke tere sub hain aseer....

shaad rahe abaad rahe tu is hunar ke saath
jaani hai humne duniya padhkar teri tehreer

soncha na tha ek ajnabi ban jaega rafeeq
samjha hamesha dosti ko hum ne sirf zanjeer

Khuda de aur zoq aur hunar-e-shaeri.....
kalaam tera lage subko pyar ki tasweer

***Salaam***

umdah..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
shairy me mazah ka rang ho to or b maza aata hai..
koi maze ka funny sa shair sunaye:)
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar



bohot bohot shukriya mohtarma :)
waise to ham bas toota phoota likh lete hain
ye sab to aap sab ka pyar hai jo hame itni izzat aur hausla afzai milti hai
apke itne ache alfazon k ham mashkoor hain
jazakallah khair
Affwan :)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
4. jee aise badalte mausam aur aise thar tharati shamen to bada pareshan karti hain :p
har umar wala apne hisab se aise mausam ka lutf utha ta hai
aise mausam me ham chahte hain ke akele na rahen koi sath ho jisse ye mausam ke maze sath lesaken sath me garma garam chai bhi honi chahiye aur kya wagairah wagairah /:)

hahhah..{(haha})or chai k sath pakore b hone chaheye..{(thinkg)}
wese yahan apko shairy ki zuban me jawab dena tha..{(thinkg)}


5. jee do teen dost hain jo hame yaad hain jinhone us mauqe ke hisab se hamare bare me share kaha

ek hindi shayar hain jo ek ghazal likh rahe the aur uska matla unhone hame dedicate kiya wo is tarah se hai
इक शख्स क्या बतायें कि कैसा दिखाई दे?
जो देख ले, उसी को वो अपना दिखाई दे...


Ek Shaqs Kya Batayen Ke Kaise Dikhayi De?
JO Dekh Le, Ussi Ko Wo Apna Dikhayi De...
ap k to dost b shayer hain..wahhh..boht pyara shair kaha ap k dost ne ap k lye..{(ok)}

aur ek hamare bohot ache dost hain wo bhi shayari karte hain unhone bhi apne alfazon se hame nawaza tha

tareef me teri mein likhun kya naseer???
qalam ki roshnai ke tere sub hain aseer....

shaad rahe abaad rahe tu is hunar ke saath
jaani hai humne duniya padhkar teri tehreer

soncha na tha ek ajnabi ban jaega rafeeq
samjha hamesha dosti ko hum ne sirf zanjeer

Khuda de aur zoq aur hunar-e-shaeri.....
kalaam tera lage subko pyar ki tasweer

***Salaam***

umdah..

hahhah..{(haha})or chai k sath pakore b hone chaheye..{(thinkg)}
wese yahan apko shairy ki zuban me jawab dena tha..{(thinkg)}


haan ji sahi kaha pakore bhi :p
kahin hoor na padhle warna gayab hojayenge pakore
waise shayarana andaz me bohot kuch kehsakte hain lekin khud se likh kar abhi to itna time nahi lekin december par ek kalaam jo hame acha laga kuch yaad agaya wo apko sunate hain :)

Abhi Lamhe Nahin Bikhre
Abhi Mosam Nahi Bichre
Mere Kamry Ki Thandak Me
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hay
Meri Diary K Kuch Safhay
Abhi Kuch Keh Nahin Paye
Mere Angan K Sab Poday
Abhi Bhi Gungunate Hain
Mere Be-Jaan Honton Per
Abhi Muskaan Waisi Hay
Kisi K Laot Aanay Ka
Abhi Imkaan Baqi Hay
December Baat Botoon Main,
Agar Tum Maan Jao
December
Tehar Jao….!!!
Tehar Jao…

ap k to dost b shayer hain..wahhh..boht pyara shair kaha ap k dost ne ap k lye..{(ok)}

shukran :)
haan ji kuch dost hain jo shayari karlete hain

umdah..

bohot bohot shukriya behna :)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
han g..hoor sis se to har khane wali cheez bacha k hi rkhni chaheye:p

wah..booooht khoobsorat nazm hai:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113




6. jee haan lekin abhi to yaad nahi hame
abi boht waqat hai bhai..jb yaad aaye to bata dijiye ga..{(popcorn)}

7. haan hamne yahin TM par bohot se nazm aur ghazal bhi post kiye hain jinme se hamne sana aur sabah ko dedicate kiye aur ek khud hamne apni ahlia k liye likhe the wo bhi yehin par post kiye aap dekh sakte hain :)

http://www.tafrehmela.com/tms-contest/130513-your-own-poetry-contest-3.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/140007-phir-dil-mein-ek-hasrath-si-hone-lagi.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/137774-khuda-ka-nayaab-tohfa-hai-wo.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/141396-dedicate-marina.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/141100-bhula-chuka-hun-main-ab-wo-din-purane.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/138133-aye-musalmaan-tujhe-kya-ho-gaya-hai.html

http://www.tafrehmela.com/muhabbat-shayari/103482-mere-mehboob.html

http://www.tafrehmela.com/muhabbat-shayari/106924-mujhe-tum-se-mohabbat-hai.html

http://www.tafrehmela.com/religious-shayari/107185-taqdeer-me-likha-barhaq-hai-ye-juz-e-imaan-hai.html

http://www.tafrehmela.com/greeting-congras-sorrow/128275-nazm-dedicating-tm.html


bas itne mile :p
jo yahan share kiye hosakta ho aur bhi hon
aur bohot se hamne yahan share nahi kiye aur kuch likh bhi rahe hain :)
wahhh..mashAllah..ap to shayer hain{(ok)}
hayeeeeeeee la main kis duniya me rehti hon..{(doh)}
ap ne itni sari poetry share ki hai..jb k main ne to 2 hi dekhi hain bs..baki abi dekh rhi hon:)
boht umdah..
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
ahan
ooppss
my bad
:-ss
abhi kerti hoon
hmmmm
tu ya poetry ka section hai so welcome bhi shairana andaaz mai krna hoga

so







 
  • Like
Reactions: ~Zeest~
Top