chalo choroo

  • Work-from-home

tahir

Newbie
Jul 28, 2007
18
25
0
39
chalo choroo
muhabbat jhoot hai
ahd-e-wafa ik shugal hai bekar logon ka
"talab" sukhey hue paton ka beronaq jazeera hai,
"khalish" deemak zada uraaq per boseeda satron ka zakheera hai,
"khumar-e-wasal" tapti dhoop key senay pe urtey badalon ki raegan bakshish
"ghubar-e-hijr" sehra mein sarabon se attey mousam ka khamyaza!!!

chalo choroo,
ke abb tak mein andheron ki damakh mein sans ki manzil pe
chahat ki bina rakh ker safar kerta rahun ga,
mujhey ahsaas he kab tha
ke tum bhi mousamon ke sath apnay pearhan ke rang badlo gi!!

chalo choro,
woh saray khuwab kachi bhurbhuri matti ke beqimaat gharouday the,
woh saray zaiqay meri zuban per zakhum ban ker jam gaye hon ge
tumhari ungaliyoon ki naram poorain pathron per naam likhtein theen mera,
lekin
tumhari ungalian tu adaatan yeh jurm kerti thein!!!

chalo choro,
safar mein ajnabi logon se aisay hadsay sar zard hua kertay hain 'sadion se,

chalo choro,
mera hona na hona ik barabar hai
tum apnay khadokhl ko ainey mein phir nikharney do'
tum apni ankh ki basti mein phir se ik naya mousaam utarney do!!
"meray khuwaboun ko marney do"
nayi tasveer dekho
phir naya maktoob likho
phir naye mousam' naye lafzon se apna silsila joro'
meray mazi ki chahat raigaan samjhoo
meri yadon se kachey rabtey toro__!!

chalo choro!!
mohabbat jhoot hai'
ahd-e-wafa ik shugal hai bekar logon ka......!!!
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top