chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam
bahar-e-bag to yun hi rahi lekin kidhar shabnam​
arq ki bund us ki zulf se rukhsar par tapki
tajub ki hai jage ye pari khurshid par shabnam​
hamain to bag tujh bin khana-e-matam nazar aya
idhar gul pharte the jab, roti thi udhar shabnam​
kare hai kuch na kuch tasir sohbat saf tabon ki
hui atish se gul ke baithate rashq-e-sharar shabnam​
bhala tuk subah hone do ise bhi dekh lewenge
kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam​
nahin asbab kuch lazim subak saron ke uthne ko
gai ur dekhte apne bagair az bal-o-par shabnam​
na paya jo gaya is bag se hargiz surag uska
na palti phir saba idhar, na phir ai nazar shabnam​
na samjha Dard hamne bhed yan ki shadi-o-gam ka
sahar khandan hai kyon roti hai kis ko yak kar shabnam
 
  • Like
Reactions: nrbhayo and jama1
Top