Cricket

  • Work-from-home

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Nahi taaleem ki ab khudro qeemat khail kay aagay
ho jaisay aik nakara sa injun rail kay aagay

yahan cricket kay mustaqbil ki mujh ko hope kaafi hay
bajay ilm-o-danish khail main scope kaafi hay

rasaiee khail ko hasil hoi saray zamanoon tuk
kitabain ho gaieen mehdood almaaree khay khanon tuk

koi ab in kitaboon say istafaada bhi nahi kerta
koi ab cheen janay ka iraada bhi nahi kerta

khilaree khailnay hockey-o-cricket cheen jaatay hain
khala main jis tarah urhtay hoay shaheen jatay hain

buzurg ab apnay buchoon say nahi kehtay purho beta
yehi kehtay suna hay khail main aagay burho beta

jo hain unpurh khilaree un pau duniya nay nazar ki hay
aur ma pass ki qismat main bilaakhir clerky hay

agar sirsyed-o-haali bhi hotay is zamanay main
to wo bhi aajkul masroof hotay run banany main

wo din bhi aa rahay hain jub madaris kam say kam ho gain
jahan college banay hain us jagha stadium ho gain

wahan perhnay main thuk jao to sustaanay ka waqfa hay
yahan bhi khail kay doraan ik khanay ka waqfa hay

waha bhi dekhtay hain haal-o mustaqbil ko maazee say
yahan bhi run bananay ka taaluq hay riazee say

kahee aisa na ho yeh soorat-e-ahwaal ho jaiy
kitabain gaind bun jain qalum foot ball ho jain
 
Top