Do ashq meri yaad mein bahaa jaate to kya jaata
Chand kaliyaan laash par bichaa jaate to kya jaata
Aaye ho mayyat par sanam uordh kar naqaab tum
Agr ye chaand ka tukda dikhaa jaate to kya jaata
Poochte the log tumse kis ka hai janaazaa yeh
Marne waala kaun tha bataa jaate to kya jaata
Sabke saamne meri ulfat ko ruswaa kar diyaa
Nazar ki talkhian ,chupaa jaate to kya jaata
Har zakhm ne mere tumhe deen hain duain umr bhar
Ha,ay ik baar seene se lagaa jaate to kya jaata
Tumko yaad karte-karte jaan de di arsh ne
Ek chiraag hi mazaar par jalaa jaate to kya jaata !