Dosti - A Collection dedicated to Friendship

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Jab dosti ki dastan waqt sunaye ga,
Humko bhi ek shaks yaad aaye ga,
Tab bhool jayenge zindagi ke ghumo ko,
Jab aap ke saat guzara waqt yaad aaye ga.

Yeh haste muskarate mausam jaha honge,
Aey dost jaan lo ki hum waha honge,
Ek pal me aao hum yeh zindagi jee lein,
Kal jane tum kaha aur hum kaha honge.

Yuhi Aankho Se Aansoo Behte Nahi,
Kisi Aur Ko Hum Apna Kehte Nahi,
Ek Tum Hi Ho Jo Zindagi Mein Ruk Se Gaye Ho Dost,
Warna Rukne Ke Liye Hum Kisi Ko Kehte Nahi.

Dost har kisi ko banaya na karo,
Dosti har kisi se jataya na karo,
Dosti mein aksar log dhoka de jaate hain,
Zindagi aise dost ke naam karo,
jiske bina tum muskara na sako.

Khushnaseeb hain hum ki mile aap mujhe,
Tanha zindagi ki safar mein mila saathi anmol mujhe,
Gum ke badalon ne kabhi gher rakha tha mujhe,
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe,
Ae dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi,
Aap ne saath humara deke dard ko bhulana sikha diya mujhe,
Hum to rote the uski yaad mein,
Dost aap ne aansuon ko peena sikha diya mujhe,
Uss dhokebaaz ne to maar hi dala tha humein,
Dosti ki taqat se jeena sikhaya aap ne mujhe.

Darr to zindagi ka hai, Maut se kaun darta hai,
Yakeen-e-mohabbat, Umeed-wafa kis per karein,
Darr to doston ka hai, Dushmano se kaun darta hai

Doston ki Dosti pe marta hoon main,
Pee Sakta hoon Zehar,
sharab se darta hoon main,
Dushmanon ki Bewafayi ki parva nahi,
Doston ki Wafayee se darta hoon main.

apni pasand per aitbar karte hai,
apni tanhaiyoon se pyar karte hai,
dosti to sabhi kar lete hai humse,
per hum nibane ka intazar karte hai,
tumko dil mein jagah di hai hamne bari muskil se,
tum nayab dost ho hamare is baat ka ikrar karte hai,
takaluf na karna kisi bhi jajabat se,
sirf tumhi to ho jiski baatoon ka khayal karte hai,
waqt ka kya bharosa kab ruth jaye,
sanse rukne se pahle tumhare nam ane ka ehtaram karte hai.

Dosti pehli baarish ki boondon mein hai,
Dosti khilte phool ki khushbu mein hai,
Dosti ugte suraj ki kirno mein hai,
Dosti har naye rishte ki umeed hai,
Dosti khwaab hai, dosti ek jeet hai,
Dosti pyaar hai, dosti geet hai,
Dosti do jahan ka sangeet hai,
Dosti har khushi, dosti zindagi hai,
Dosti roshni, dosti bandagi hai,
Dosti sang chalti hawaaon mein hai,
Dosti in barasti ghataaon mein hai,
Dosti doston ki wafaaon mein hai,
Haat utha kar jo maangi hai dua,
Dosti ka asar in duaaon mein hai.

Duri se fark padta nahi,
baat to dilon ki nazdikiyon se hoti hai,
Dosti to kuch khaas aap jaiso se hai warna,
mulakat na jane kitno se hoti hai.

Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena,
jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena,
zinda rahe to milenge dost,
nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena.

Kuch Dost aise hote hain,
Jo dil main bas jate hain,
Jo zindagi ki rahon main ,
hum se bichar jate hain,
kuch dost aise hote hain,
jo raat main yaad aate hain,
aur raaton ki tanhaai me rulaate hain ,
kuch dost aise hote hain,
jo phoolon ki tarah hote hain,
jo khud to chale jate hain,
per apni mahek chor jate hain,
kuch dost aise hote hain,
jo zindagi tor dete hain,
per zindagi ki raahon me tanha chor detey hain,
kuch dost aise hote hain,
jo chaand ki tarah hote hain ,
jo daag to bahut rakhte hain per,
khubsurat nazar ate hain,
kuch dost aise hote hain,
jo patthar ka dil rakhte hain,
jo shisha-e-dil tor jate hai.

Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
na jane kis umeed pe dil thahra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
ye dosti ka rishta mahobbat se gahra hai.

teri dosti me khud ko mehfuj mante hai,
hum dosto me tujhe sabse ajij mante hai,
teri dosti ke saye me ab tak jinda hai,
hum to tujhe khuda ka diya hua tabij mante hai.

Apke saath rahte rahte hume chahat si ho gayi,
Apse baat karte karte hume aadat si ho gayi,
Ek pal na milo to bechaini si lagti hai,
Dosti nibhate nibhate hume to mohabbat ho gayi.

Ehsas-e-aarzu ko dil se mita na sko gay,
Bhoolna chaho hame bhula na sko gay,
Ye chirag-e-dosti dil se jalaya hay hm nay,
Jal jao gay magr bhuja na sako gay.

Dosti mausim nahi,
apni mudat poori kare aur rukhsat hoo jae,
Dosti sawan nahi,
tut k barse aur tham jae,
Dosti aag nahi,
sulge bharke aur bujh jae,
Dosti aaftab nahi,
chamke aur dob jae,
Dosti phool nahi,
khely aur murjha jae,
Dosti to SANS hai jo chale to sab kuch hai,
jo ruke to kuch b NAHI.

Yeh Dosti ke rishte bhi ajeeb hote hai,
Sab ke apne apne naseeb hote hai,
Rehte hai jo nigahon se door,
Wohi yaadon ke sabse kareeb hote hai.

Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Asma lakh uncha ho magar jhuk jata hai,
Dosti me duniya lakh bane rukawat,
Agar dost sacha ho to khuda bi jhuk jata hai.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top