Eid-e-Milad Un Nabi (sallalahu alaihe wassalam) Quran-o-Hadith ki Roshni main Jaiz!

  • Work-from-home

naveed736

Newbie
Jul 15, 2008
3
1
0
56
Sirf Quran aour hadeeth say sabit karain. Eid sirf do (2) hain. Aour us abu lahab ka kiya hashar huwa gaya to woh dozikh main hai.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-Alikum,

is topic pr ek article apki khidmat main pesh hy pls zaroor read kijiey ga

chand Lafzon mian apko batatey hain:

Jab kabhi ap apny gher main kissi ki khishi manatey hain to kesey manatey hain ?

kia ap us shakhas ki khushi k mutabiq manatey hain ?

ya jo tareeqey usko na pasand hoon or wo tareeqa apko pasnd ho

to ap phir khushi maney gey to wo sirif khushi mananey ka dikhawa nahi hoga ?

kio k jis ki khushi manai jarahi hai wo is tareeqey ko napasand karta hai

suchhi or haqiqi khushi us waqat hoti hai jab wo bhi us tareeqeysy khush ho

kio k dunia main khushi manay key bey shumar tareeqey hain

khushi to sabit hoi mager tareeqa nahi sochay gey k kesey khushi manani hai ?????????

is liyain article zaroor perhain

Nasir Noman
 

Attachments

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Noman bhai app ka kam hai apna aur dosron ka time waste karna please Quran o Hadith say aghar Eid-e-Milad ka Mumaniat sabit kar sakty ho tu karo wagarna app ki post edit kar di jai gi
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
agree wid Midtown

yeh islami section hai yahan Quran N Hadith ki roshni may he baat ki jay to behtar hai..youn articles to kahin say bhi hum paste kar skatay hain..lakin islamic section may Quran N Hadis ki roshni may baat karna zaroori hai

ap ko jo koch kehna hai Quran n Hadis ki roshni may boliyay
 

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-Alikum Midtown bhai and Red Rose,

ap ney shayd post sahi sy nahi perhi sirif itna bata dain k is post main kia ghalat baat hai jo Quraan Or Sunnat k khilaf hai humain Intezar rahy ga ???

dosri Baat Waseela Zaroori hai main pge no 04 pr Midtown bhai humain apkey jawab ka intezar rahy ga topic to close hogaya hai magr ap humain PM kersaktay hain.

or Red Rose sahiba ap ney Shayad page no 04 pr humari post ko nahi perha hum ney Quraan Pak sy hi jawab dia tha ap ney thread hi close kerdia

pls ab doobara perh lain agr ap key pas jawab hai to pls aap dey dain humain Intezar hai.

or koi bhi Islami forum hoti hai to koi kissi baat pr agree hota hai to koi Ikhtalaf karta hai
magr ek Admin ko gher janibdar hoker koi bhi faisla karna chahiey

Duaon ka Talbgar

Nasir Noman
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
dekhain nasir noman may threads ko shruu say parhti hon tub he may end may aa k reply karti hoon..or mughe baki members say ziyada carefull rehna hota hai reply kartay howay coz may is site ki Co Admin hon..waseelay walay topic may bilawaja ki behs chalti ja rahi thi..or ap ko jo bhio reply dia jata ap us ko mannanay k bajayay new batain karne lag jatay thay..so tubhe wo topic close kiya gaya hai..well i think ab jo ho gaya hai so ho gaya..wo topic close he sahi hai..agar waseelay k topic say related ap koch kehna chahtya hain to ap apni own thread create kar k us may apnay concepts share kar skatay hain..n i think itz better k ap apnay own topic may apnay saray concepts likhain

Thankz
 

haririhariri

Newbie
Feb 1, 2010
2
1
0
milad ki asliet aur us ka jeshan aur us ki ahmiyet
slamun 3la mnit tb3 al huda
ps ALLAH la'net krey us pr jo inkar krey sachi baat ka,
milad kahan se aaya?
1. christains marry christ miss (essa ki milad ka din)
2.aqiqa<means the shaving of hairs and the slaughter is for ALLAH's sake that thanks be to ALLAH as for the first scrifice to know who is poise
milad kion mnaya jaiye?
kya mohammed sel ALLAH alaiha wasellem ko nahin pta tha ke un ki padaish 9 rab-ul-awal ko hai? to manaye kion nahin ager ap unhain aalam-e-gaib bhi kehte ho, chalo choro merne ke baa'd ures bhi manatey ho? ures bi mohammed sel ALLAH alaiha wasellem ne mananey ka hukam nahin dya.
milad mana kion hai aur kya mana kya gya?
ager christainon ko dhekho gey to tum bhi christain bno gey ko wo bi apne nabi ka milad mnatey hain aur ALLAH ne un ki cheezoon ko apnane se mna fermaya hai
aur jashen wo bhi milad ka?
kya kahin mohamed sel ALLAH alaiha wasellem ne ftah(fateh hona) ka jashen manaya hai
bilkul nahin
aur ap loog bs khayal per chalto ho aur khayal haqiqet ke barey main kam nahin deta aur ALLAH sach ko jhooth per marta hai aur sach jhoooth ka sir phor(tor) deta hai
aur ay ALLAH ke bando ALLAH ki tref ao aur firq firqa met ho kya tum ne nahin dekha ke bani israiel ke 3 firqeh the phir ALLAH ne un main se 2 ko azab dya ke wo(aik burai ka hukem krne wala aur dosra ke met glet kaho dosrron ko aur apna kam kertey raho...) achai ka hukam nahin detey the na hi burey kam se roktey the.
ps tum log ALLAH ke ho jao na ke immam shafi ke na ke hanafi ke.....be shek immam ne ye baat nahin kahi ke tum firqa bn jao aur sirf meri pairwi kro belke hadith lain ke tum sunnat pr amel kro, mgher tum ne zulem kya apni jan pr aur kel ko pachtao gey...
ay ALLAH ke bando usi ki tref rujoo kro aur ALLAH hadiyet nahin deta us ko jo hadayet na chahe aur ALLAH us ko aur gumrah krey jo gumrah hona chahey take usey ALLAH sekht se sekht azab de amen<>(JIHAD){hariri}<email address:no[email protected] >[email protected]<
koi baat ho to ALLAH se hadayet manga kro ager tumhain khayal ho ke ferqeh bnain ge to mohammed sel ALLAH alaiha wasellem ne mna kya ke tum firqa firqa met ho jana aur aik dosrey ko qatel met kerna wana tum zalim ho jao gey aur jhanum hi garoor kerney walon ka kya khoob thikana nahin......الحمد الله

---------- Post added at 08:28 PM ---------- Previous post was at 08:17 PM ----------

aur milab ki 12 reb al awel calender utha ker dekho kya 12 reb al awel ko samwar aati hai jeb mohammed sel ALLAH alaiha waselllem paida hwey <>bilkul nahin
to phir dekho jo pir abdul qadir jelani ne kaha "bunya tut talibeen " main ke mohammed sel ALLAH alaiha wasellem ki paidish 10 moharrem ko hai,
ay logon ye galtian hai pichlon ki pr tumharey pas sach aa gya hai ab ALLAH ke deen ki pairwi kro
aur rafa-al-yadain ka rukoo ke sath kerney ki 4oo ke qreeb ahadeth(bukhari,muslim,juzz rafa yadain by bukhari and many) hain, aur pir abdul qader jilani ne issey kerney ka kaha hai aur sunnet main likha hai aur wo bhi kertey the ager ap ko nahin pta to un ki kitab "bunya tut talibeen" utha ker daikh lo
 
  • Like
Reactions: i love sahabah

lo0p0

Newbie
Feb 20, 2010
1
0
0
35
Milad un nabi

Assalam-o-Alikum,NOMAN MIYA KA TOPIC DEEMAAK K GHODE(HORSE) CHALA KER LIKHA GAYA HAI ISLAM DEEMAAK K GHODO PER NAHI QURAN AUR HADEES PER CHALTA HAI AUR MERE BHAI HUM SUNAT WA JAMAT K LOG SUNNAT PER CHALTE HAI ALHAMDULILLAH AAKA E KAINAT ROZA RAKH KER MILAD BANATE RAHE HAI TAAKI HUME IS DIN KI AHMIYAT PATA CHALE APP S.A.W APNI UMMAT KO SIKHAYA HAI MUJSE MUHABBAT KERNE WALA HI ALLAH KI MUHABBAT PAA SAKTA HAI AUR ALHAMDULLILAH SAHABA R.A MILAD KI MEHFILE B KERTE RAHE HAI AUR ZIKR B KERTE RAHE HAI AAJ KI AABADI KO CONTROL KERNA HAI AUR DEEN PEHLANA HAI TO MEHFIL K SAATH SAATH NAARA E TAKBEER AUR NARA E ISALAT KA NARA LAGA NA ZARURI HAI CHAHE WO GHAR PER YAA ROAD PER CHRISTIAN JAB CHRITSMAS BANA TE HAI TO 90% LOG YE NAHI JAANTE K WO KYA KER RAHE HAI WO PARTY JAATE HAI ZEENA KERTE HAI AUR AAKER SOJATE BUS ALHAMDULLILAH HUMARE IS MILAD K ZARIYE BACHCHA BACHCHA JAHIL UNPER ILLITRATE BHI JANTE HAI MILAD UN NABI KYA HAI SO I REQUEST U DEEMAAK K GHODE NA CHALAYE

---------- Post added at 09:03 AM ---------- Previous post was at 08:45 AM ----------

Afsos hai tumper jo jaan ker bhi anjaan bante hai jahil ismail dehlvi aur ahsraf ali thanvi jaise jahilo k saath utna betna karega to deen ko kabi nahi jaan sake ga aa sunat ul jamaat me aa tujhe imaan kya hai batadu agar tu sachaai jaanne ki talab rakhta hai to iam from hyderabad
 

hashamahmed

Newbie
Jan 30, 2012
1
0
0
Ager 12 rabi ur awal eid ka nid hota to hozor s.a.w kabhi apni pedaish k din roza nahi rakhty kyo k eid k din roza nahi hota or aap s.a.w ny roza rakh kar yeh bataya k is din koi eid nahi aap s.a.w ny peer k din roza rakha or tum log har sal eid manaty ho kya yeh din sahaba ny banaya tabaeen ny jolos nikaly kya hozor s.a.w ny is ke taleem di jo 12 rabi ul awal manata hy wo haqekatan yeh kehna chahta hy k mujhay is sawab ka pata chal gaya hy jo naozo billa hozor s.a.w ko nahi pata tha azrat abo bakar r.a ko nahi pata chala usman r.a ko nahi pata laga zara socheay ager yeh deen hota to sab sy pehly mukka or madina sajta jaha deen utra jo ye do donya k tokrdy janat sy ja mily gy kya waha yeh eid miladun nabi nahi manaya jata or dosri bat milad ka matlab viladat or viladat k matlab ma ki kok sy janam lena aik insan bashar he ma ki kok sy janam leta hy or aap log to hozor s.a.w ko bashar manty nahi or viladat manaty ho
or quran or hadees main herpher or ghalat matlab nikalty ho musalmano ko gumrah kar rahy ho
 

debator

Regular Member
Mar 20, 2011
103
80
728
UAE
AssalamuAlaikum,

Aik baat samajhna tamam Musalmano ko buhat zaroori hai woh yeh ka asal ma Deen kis cheez ka naam hai aur iska seedha and short answer hai ITTBA-E-NABI S.A.W .

Yani Jis Amul ma Ittab-e-Nabi S.A.W na ho woh deen ka hissa nahi ho sakti woh aik infaradi amul ho sakta hai.

kisi bhi amul jo analyse karna ka seedha tareeqa hai jo Allah ka Nabi S.A.W na diya yani QURAN and SUNNAT aur uski tafseer dekhni ho tu Sahaba Kiram R.A ki zindagi ma dekh lein. agar koi amul aap ko yaha sa na milay tu woh siray sa deen hai hi nahi .

yeh baat buhat ajeeb lagti hai ka Sunnat sa hut kar amul karnay wala sirf apnay amul ko sabit karnay ka liya yeh kehta hai k Quran and Hadith sa iski Mumanat lakar dikhao. agar woh thori si aqal istimal karay aur sirf apnay firqay ko support karnay ka bajae Sunnat-e-Nabi S.A.W sa muhabbat ka muzahira karay tu baat aasani sa samajh aajaigi ka jo amul Allah ka Nabi S.A.W na kiya nahi na hi uska hukum diya aur na hi sahaba ki zindagi ma mila tu woh cheez automatically apni haisyat kho deti hai.

Example ka tor per samjhata ho : Jis tarah Allah ka Nabi S.A.W na Fajar kay 2 farz parhay aur parhnay ka hukum diya aur Aap S.A.W and Sahaba na Amul kiya pura Quran and Ahadith ki kitabain chaan lein aap ko kahi bhi is cheez ki mumanat nahi mila gi jis ma Fajar ki 3 ya 4 Rakat parhnay ki Mumanat ho :). Tu Jub Allah ka Nabi na Amul nahi kiya tu Mumanat Automatically aagae ab koi shaks agar apnay jawaz ka tor per yeh dawa karay ka mujh ko Fajar ki 3 ya 4 rakat ki mumanat lakar dikhao and Fajar ki 3 rakat parhna start ho jai tu ma aur aap sub jantay hain k uska haal kiya hoga.

Halankay Aqli daleel ka tor per woh tu ibadat zyada kar raha hai 2 sajday bhi zyada kar raha hai usko tu zyada sawab milna chahya per meray bhai jesay ma na pehlay arz kiya ka Deen Ittaba-e-Nabi S.A.W ka naam hai kyunkay us amul ma Ittaba-e-Nabi S.A.W shamil nahi is lya woh amul/Namaz moo per maar di jaigi and sawab ka bajai gunah ka murtaqib hokar Jahannum ka haqdar tehray ga kyunka usnay Deen ma nae baat ijaad ki jiski daleel Sunnat-e-Rasool ma nahi milti.

tu baat buhat simple hai aur samajhnay ki hai ka jis Amul ma Ittaba-e-Sunnat S.A.W na ho woh amul infiradi amul tu ho sakta hai deen-e-Islam nahi kyunkay Deen-e-Islam wahi hai jiska hukum Allah ka nabi S.A.W na diya aur woh hamaray paas sahih halath ka Quran and Ahadith ki shakal ma mojood hai jisper Sahaba Kiram r.A ka amul ki mohar hai.

hamara Iman hai Allah ka Nabi S.A.W pura ka pura deen hum ko dekar aur sikha kar gae aur hamay Deen ma kisi new tareeqa ki zaroorat nahi hai tu agar koi Wiladat manana chahay tu Sunnat-e-Rasool S.A.W sa ruju karay aur dekhain ka aap ka tareeqa Nabi S.A.W ka tareeqa ha ya uska anti.

Allah paak hum sub ko deen samajhnay aur usper amul karnay ki tofeeq aata farmae

Aameen
 
Feb 4, 2012
1
0
0
34
Tujhse or jannat se kya matlab wahaabi door ho,hum hain jannat k or jannat rasool allah ki

---------- Post added at 01:49 PM ---------- Previous post was at 01:46 PM ----------

Jhande lagate hain wahi, dhoomein machaate hain wahi,jin par hua unka saaya
gausul waraa or daata ne ,mere raza or khwaja ne sabne hi din yeh manaya,
aaqa ka milaad aaya...............

---------- Post added at 02:03 PM ---------- Previous post was at 01:49 PM ----------

Gausul waraa or daata ne, mere razaa or khwaja ne,sabne hi din yeh manaya
 

lovelyalltime

I LOVE ALLAH
TM Star
Feb 4, 2012
1,656
1,533
913


عیدمیلاد منانے والوں سے چند سوالات!


۱) عید میلاد فرض (واجب) ہے، سنت ہے یا مستحب؟
۲) جو جشن میلاد نہیں مناتا، اس کے بارے میں کیا حکم ہے؟
۳) اللہ کے رسولؐ، صحابہ کرامؓ، تابعین عظامؒ، ائمہ کرام نے یہ جشن کیوں نہ منایا؟ (ضرورت نہ سمجھی یا کوئی رکاوٹ تھی یاسستی اور لاپرواہی کی یا خلافِ شرع سمجھا یا علم نہ تھا یا ترغیب نہیں دی گئی، یا دل حب ِرسول سے خالی تھا ؟ نعوذ باللہ)
۴) گذشتہ چودہ صدیوں میں صحابہ و تابعین سمیت جن مسلمانوں نے یہ جشن نہیں منایا، ان کے بارے میں کیا حکم ہے؟
۵) بارہ ربیع الاول یوم وفات بھی ہے جہاں پیدائش اور وفات (یعنی خوشی اور غم) جمع ہوجائیں، وہاں خوشی کو ترجیح دی جاتی ہے یا غم کو؟
۶) یومِ ولادت کی خوشی منانا ضروری ہے تو یومِ وفات کا رنج و غم منانا کیوں ضروری نہیں؟ جبکہ بقولِ دونوں کی تاریخ بھی ایک ہی ہے؟
۷) اگر آنحضرتؐ کے یومِ ولادت کی خوشی میں جلوس نکالنا جائز ہے تو شیعوں کا اہل بیت کے رنج و غم میں ماتم نکالنا کیوں جائز نہیں؟
۸) اللہ کے رسولؐ نے دو عیدیں مقرر فرمائی تھیں مگر یہ تیسری 'عید' کہاں سے آئی؟
۹) اگر یہ عید ہے تو اس دن اللہ کے رسولؐ روزہ کیوں رکھتے تھے؟ عید کے روز تو روزہ رکھنا حرام ہے؟
۱۰) اگر یہ عید ہے تو باقی دو عیدوں کی طرح اس روز نمازِ عید کا اہتمام کیوں نہیں کیاجاتا؟


---------- Post added at 03:46 PM ---------- Previous post was at 03:45 PM ----------




ان سوالات کا جواب دینے کے لیے قیامت تک کا وقت ہے
 

debator

Regular Member
Mar 20, 2011
103
80
728
UAE
apko Bidatio sa koi aqalmandana jawab nahi milay ga bus yahi milay ga jo uper Raza sahab na likha hai.

inko Allah ka Nabi S.A.W ki sunnat sa zyada apnay Mujadideen ki bidatain zyada motabar lagti hain is liya insay Sunnat ki baat na keejia kyunkay Sunnat sa woh muhabbat kartay hain jo Sunnat ki qadar kartay hain :)

---------- Post added at 09:47 PM ---------- Previous post was at 08:44 PM ----------

Yeh Biddati Ummat ka yeh haal karna chahtay hai

video dekhiya yeh Allah ka Nabi aur uski Sunnat ka mazak nahi tu aur kiya hai .......... naaam Nabi S.A.W ka aur usper dance aur istarah ki behooda harkatay... kiya yeh ISLAM hai kia yeh Sahaba ka tareeqa hai kiya yeh Nabi S.A.W ki taleemat hai

Nahi bhai nahi yeh Allah ka Nabi S.A.W ki taleemat nahi bulkay halwa khoro ka deen aur unka mujadideen ka tareeqa hai

Allah hum sub ko in bidatio sa mehfooz rakhay Aameen

 
Top