Ek baar Phir Hazir e Khidmat :p

  • Work-from-home

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam
:)
masha'Allah superb bro
{(ok)}
keep it up
:-bd
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam u alaikum
wah.. boht khoob...:)

is poetry me to sana udas c larki lg rahi hai..main to unhe boht zinda dil aur shokh c larki smjhati hon.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
wssalam u alaikum
wah.. boht khoob...:)

is poetry me to sana udas c larki lg rahi hai..main to unhe boht zinda dil aur shokh c larki smjhati hon.

hmm jee sahi kaha apne
aur ye zaroori bhi nahi ke jaise hame nazar aate ho wo haqeeqat me bhi aise hi hon
baki isme hamne kitna unke bare me sahi guess kiye hain wo to apko sana hi bata sakte hain :)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113



hmm jee sahi kaha apne
aur ye zaroori bhi nahi ke jaise hame nazar aate ho wo haqeeqat me bhi aise hi hon
baki isme hamne kitna unke bare me sahi guess kiye hain wo to apko sana hi bata sakte hain :)
han g..ye b hota hai..:)
sabhi log jese nazr aate hain andr se us se different b hote hain..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmm acha..wah..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
han..ji..
jo muje smjh aayi is ki woh bata deti hon.
ye avi haya aur parde ko show karti hai..flower khoobsorati ko aur ye lock haya ko..
aur thori afsanwi aur different si b lgti hai..is liye lagai
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
han..ji..
jo muje smjh aayi is ki woh bata deti hon.
ye avi haya aur parde ko show karti hai..flower khoobsorati ko aur ye lock haya ko..
aur thori afsanwi aur different si b lgti hai..is liye lagai

masha Allah :)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalamu Alaykum Wrwb :)

doston kaise hian aap sab inshaAllah theek honge
ye nazm hamne ek saal pehle contest k liye likhe the lekin wo contest ka kuch result aaya hi nahi /:)
bahre haal is contest me hissa lene aur poetry likhne k liye hame sana ne kaafi huasla diya tha aur hamne unhi k liye ye nazm bhi likhe the aur unhi ko dedicate bhi kiye the

to phir se apke samne ye nazm hazir e khidmat hai :)

http://www.tafrehmela.com/tms-contest/130513-your-own-poetry-contest-3.html




Ankhon me kayi khwahishen kayi khwabon ko sameti hai wo
Har Nayee subah nayee hasraten leke uthti hai wo

Apni hi duniya me gumsum khoyee rehti hai
kabhi hasti to kabhi roti to kabhi khush hoti hai wo

dekh kar isko har koi deewana war kehta hai
mere khwabon mere khayalon ki tabeer hai wo

Sheeshe ka dil liye in pattharon ki basti me
Har ek ka zakhm liye chup chaap sehti hai wo

Na kisi ka dard kisi k liye na kisi k liye hai pyar yahan
Deta har koi zakhmon pe zakhm har ek ka tuta sansar yahan

Har koi yahan deta hai yahan taleem e masawat
Hain insano ki shakl me darinde sare,har koi khonkhwar yahan

Na bachon pe shafaqqat na badon ki izzat
Taalim to aala hai lekin aqlaq kahan

Iss bharii duniya me sab paraye hain yahan
Na mera hai koi yehi kehti hai wo

Is basti se door khawabaon ki nagri me
Khwahishon ke shajr tale, Hasraton ke bagiche me

Kisi Ajnabi k intezar mein hai wo umeedwaar
Jo kare khushion ki barsat jo de dher sara pyar

Nasir duago hai uski hasrat ho puri khwab hon sache
Mile jahan ki har khushi jiski taalib hai wo

dil ko choo gai aapki poetry nasir bhai...alfaz hi nahi mere pas tareef ke liye...:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
walaikum assalam
MASHALLAH savior bhai, aap k qalam main tou jaadoo hai:) bohat acchi poem likhi hai

shukran behna :)
lekin ye jaadoo wali baat apko kaise pata chali ?
kisi ko batana nahi /:)
 
Top