Ek waa'da hai kissi ka jo wafa nahi hota

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
ek waa'da hai kissi ka jo wafa nahi hota
warna in taroon bhari raat'on main kya nahi hota

jee main aata hai ulat dain un ke chehre se naqab
hoosla kartain hain laikin hoosla hota nahi

sham'ah jis ki aabro par jaan de, de jhom kar
woh patanga jal to jata hai fana hota nahi

ab to mudat se rah o rasm nazara band hain
ab to un ka tuur par bhi saamna hota nahi

har shanawar ko nahi milta talatam se khiraj
har safee'ne ka mahaz na khuda hota nahi

har bhikari paa nahi sakta maqam e khwaj'gi
har kas o nakas ko tera gham ata hota nahi

hai yeh beeganagi apni nahi mujh ko khabar
hai yeh aalam keh to dil se juda hota nahi
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top