Ghazal

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Pal pal kiun badalti hey zindagi
Ajjab chaal chalti hey zindagi
Zindagi ke sath sath chalo tu
Phir sath sath chalti hey zindagi
Nimaaz,roza,haj,zakawat
Yeh tu sab hein ibadaat
Jo kissi ke kaam aaein aur
Us mein paain woh raahat
Un ke gale milti hey zindagi
Ziarat karo umra karo ya karo haj
Tum sab apna apna ada karo farz
Beshak ro ro ke girgiraao bewaqt tahujud
Peshani per pad jaein nishane sajood
Humsaaey mein gar bhoka ho aik bhi wajood
Phir ye ibadat yeh wazeefey kiss kaam ke
Zindagi ka yaaro yeh tu nahein maqsood
Bhoke ko koi khana kilaaey
Muflas ko koi qabaa phenaaey
Be ghar ko koi chat dey dey
Kissi ko koi muskaraht dey dey
Iss ko kehtey hein bandagi
Bandagi ko phir milti hey zindagi
 
Top