Gosha ~e~ Tanhai

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Baat ulfat ki kabhi thi hi nahin. Baat itni si thi keh humain apney Gosha~e~Tanhai mein koi naam koi soorat dikhai nahin daiti thi. Jaane kahan sey tum aa gaye aur hum nein khamosh udas lamhon mein thori si halchal mehsoos ki. Dil ne chaha ke yeh saath kayam rahe, aur hum yunhi besakhta sey rishtey mein bandhey chaltey rahein. Mager tum ne rafakat kayam rakhne mein mohabbat ko shart rakkha. Hum jantey thai keh humarey liye ab fakat mohabbat kaafi nahin, humain zeest ke liye aur bhi naimatein darkaar hain, jo tumhari dastaras sey bahir hain. Barha, hum tum sey issi khayal mein duur jaatey rahe keh tumhari yeh shart hum poori nahin kar payein gey. Tum humain lakh azeez ho mager apni zindagi dow par lagana humare liye mumkin nahin. Hum do mukhtalif dunyayon mein rehtey hain. Mujhe tumhari dunya duur hi sey acchi lag sakti hai, mager uss mein rehne ki sakat na mujh mein hai aur na ho sakti hai. Phir wohi tayer aur mahi ki kahani yaad aa jaati hai. Tum meray roz o shab mein jee nahin poayo gey aur mein tumharey tareekay sey zindagi nahin guzaar sakti. Besakhta si udas muskurahat honton pe khil uthi. Dekho na zindagi ki besabati, kal jis cheez ke liye humaree munajaat na mukhtatam theen, aaj woh mayasser bhi aaye to humaree khwahishaat badal chuke thein. Sitam zareefi nahin yeh khudaii ki to aur kya sheh hai.

Aaj mein tumhain jee bhar ke soch rahe hun, mehsoos kar rahe hun. Aur dekho, uss bekhayali aur nashey ke bawajood mujh mein haath khainch laine ki sakat baaki hai. Aaj inteha e junoon mein bhi mujhe itna hosh hai ke mein tumharey saath sey inkaar kar rahe hun. Kal jab yeh toofan guzar chuka ho ga, to kon sey jazbe ke tehat zindagi guzarein gey hum. Uss morr par sawaee hasrat o pashaimani ke humarey pass kuch aur na ho ga. Tumhara chehra kitna pur noor aur khoobsoorat hai. Besakhta nazar tham jaati hai tumhari soorat pe. Baatein bhi khoob kartey ho. Hansi mazaak, sharartein aur phir woh sanjeeda sey tabsarey. Pehle mulakaat mein koi nahin bata sakta keh tum parwarish aur tarbeeyat mein kisi tarha mukhtalif ho. Mager jab tum sey kuch manooseeyat hone lagti hai to andaaza hota hai keh tum fakat chand batoun ko barha dohratey ho. Na koi ilm ka khazana hai aur na hi koi fan e takreer. Hum thehrey ilfaaz ke ghazi, kitaboun mein jeene waale...humaarey liye aisey log na kabil e kabool hain jin ki kutab aur sukhan sey manoosiyat nahin. Kon maane ga keh tum ne zindagi mein koi acchi kitaab nahin parhi sawaii school aur college ki kutab ke. Koi hunar seekha hi nahin. Nisf zindagi tum ne kuch na karne mein kaisey guzaree? Hum umer mein tum sey kaafi manazil peechay hain, phir bhi hazaar hunar seekhay aur beshumaar kaam kiye. Zeest pe hum ne itni mehnat ki hai keh har wark rangeen hai humare khoon e dil sey. Aur tumhari kitaab itni kori, itni khaali. Khamosh lamhon mein tum sey kon si baat karein, tum na sitaroun sey wakif ho, na Rang~o~Bu sey, na shairee sey wakif aur na falsafey sey. Hum apni soch ki parwaz ko kahan lai kar jayein gey. Kehne ko humare pass kitni batein hain, mager tum kisi sheh ko jaante hi nahin. Wohi char batein tum ne seekh rakkhi hain aur uske siwa kuch nahin. Theek kehtey ho keh hum aur logon sey mukhtalif hain, kyunke dunya mein tumhain pehle khud mein kisi kammi ka ehsaas nahin hua. Mager, baat to waheen aa kar theherti hai na, keh humara saathi humari tarh ka to hona chahiye. Humaree dunya ka, humaree tarha uthney baithney sochney wala. Eik umer guzarne ke liye mohabbat sey barh kar aur kaafi kuch chahiye hota hai. Tum mein woh batein zaroor hain jo humain humare mehboob ke wajood mein darkaar thein, lekin, tum woh shaks nahin jis ke sapurd hum apne tamaam maumlaat karein. Shakal~o~Suurat mein, mizaaj mein kitni hi manooseeyat ho, bina eik jaisey khayalaat aur raston ke koi safar mumkin nahin. Zindagi ke liye zameen aur aasman eik jaisey hona bohot lazim hain.


Aaj pehle sey siwa hai dil ki gudazi, keh hum apne samajhdari ke hathoon katal ho rahe hain. Faqat accha lagna kisi bhi sheh ke acche honey ka saboot nahin. Accha hona iss sey zayada lazim hai. Behrhaal, wakt ke saath pasand badal sakti hai, mager koi khoobi kabhi zayah nahin hoti. Kash keh tum mein dilkashi ke siwa koi aur khoobi bhi hoti. Keh jab moazna karne baithain to hum apni akal sey pashaimaan na ho jayein. Mager nahin, tum mein sirf zahiri chamak hai, jo kaanch aur heeray donon mein hoiti hai, mager parakhney par tumhari dilkashi gum ho jaati hai aur hath mein eik mamooli sheeshay ka tukra reh jaata hai. Hum ne zeest pe itni mehnat ki hai keh yeh matay e hasti hum kisi kharrey aur keemti insaan ko dain gey, kisi bhi rah chaltey shaks ko nahin. Hum tum sirf acchey dost ho saktey hain, mager zindagi ke saathi nahin.

 

innocentt

Newbie
Aug 1, 2008
31
7
0
Amazing!!!!!
i have no words to describe, i reallyy like it alot really really touchyyyy
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
bohat bohat zbrdast

~~~shukriya~~~

hamarey saath share krney k liye. . . . .


umeed krtey hain k aap aisay hi hamrey saath share krte rahain gey . . .. . InshaAllah







{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}
{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}
{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}​
 

dard bus dard

Newbie
Jul 30, 2009
13
23
0
36
ye jo sub kuch likha gaya hai agr ye sub kuch such hai tou ye sub ik acha bahana hai kisi ki muhabat aur sache pyar ko thukrane ka....bus itna hi kahun ga.
 
Top