Hamara Ikhlaqi Zawal Jaari Hai ...

  • Work-from-home

Marah

TM Star
Mar 19, 2015
1,098
461
83






TM Family !!


BBMC Contest ka 3rd and Final round k liye My Thread ...
Muje jis topic pr Essy share krna hai wo ye hai !!

Hamara ikhlaqi zawal jaari hai ...

bora akhlaq boray rawaye aur buray adaat , AUR achhy akhlaq achhi adaat ko akhlaq ka nam dia gay ahi kaha jata hai. Humara wajood do haisiaton mein taqseem hai. Aik to humara tabia haiwani wajood aur dosra hamara akhlaqi wajood. Haiwani hasiyat say hum par bhi wahi qawaneen nafiz hotay hain. Jo degar hawanat par hotay hain. yani humain bhi bhook lagti hai, neend ka ghalba hota hai aur dosri tamaam tar zarooriyat lahaq hoti hain balkay humari zarooriyat to degar haiwanaat say ziada hain. Humay to rehnay kay lia alishan maqanaat chahiye, pehannay kay lia umda say umda labaas chahiye yani hamari bunyadi haiwani zarooriat degar haiwanaat say bohot ziada bari hoye haiyehi wajah hai k aaj insan thokaren khata pheerta hai
akhla kay kharb hony ki bahot si wajo hat hain jis man sab se pehly humri zarooriya ka wasi hona hai
duan ki har chez humen apny hath man chahiy hoti hai jo kay namumkin hai ,jab humri zaroriyat pori nahin hoti to hum usy porakrny kay liy harhad tak jana cahty hin or jaty bhi hin tab hum apny dil ki khuwahish ko prany krny man atny gun hojaty hin kay akhlaqiyad k daery asy hi nakal jaty hin or is ka ka ahsas b nahin rehta hum ny kahn kia kiya hai ..
akhlaq ka daman chhorny par kitni bahri qimat chokani parti hai us ka bhi ahsas nahi hota .
Na sirf inshan balkay Qaumo kay urooj woh zawal ka inhasar bhi akhlaq quat par hi hai.
Jab tak koye qaum alla akhlaqi asoolon par kamil rehti hai iss ka urooj hota rehta hai aur jub woh akhlaqi burayun mein mubtala hojati hai to pasti mein ja girti hai yahaan tak kay bilkul hi mitjati hai ya zaleel o khuwar ho kar ghulami ki halat mein zinda rehti hai.Quran Pak mein qadeem qaumo ka zikar hai, in ki bhi Allah Taa’la nay yahi sunnat bataye hai kay jabtaq akhlaqi khubiyaan burayun par ghalib rehti hain wo qaum zinda rehti hai aur jab burayan ghalib ajati hain to Allah Taa’la iss qaum ko mita dayta hai.ya dosri qaumo ko iss par musalat kardayta hai. Lehaza aam inshani ikhlaq ki parwarish karnay say koye bhi qaum kamyabi pasakti hai.
apny nafs or khuwahishat par control ki kami ki wajah se akhlaki burayan brhti hin ..
or ab si man sab say bada hath huarymedia ka hai jis ne pehly bad akhlaq topic mutarif krway dosy alaa say aala chzeen introduce kr wakar kay lodon ki shaksiyat man tazad or imtiyaz peda kia hai jis ki wajah se hum akhlaqi zawal ki traf musalsal bad rahy hin



 
  • Like
Reactions: HangOver
Top