Hamesha jaane ki baat karta hai koi
phir azmaane ki baat karta hai koi
baar baar main rokta hu uski raahaien
hawa ban jaane ki baat karta hai koi
main barasta hun roz barish ki tarah
dhoop ho jaane ki baat karta hai koi
main chuta hun uski gheeli palke
ruth jaane ki baat karta hai koi
kehta hai har roz sirf ek baar aa
aa ke na jaane ki baat karta hai koi
sirf ek baar apni awaz suna kar
din guzarne ki baat karta hai koi
apni neende mere sarhane rakh kar
so jaane ki baat karta hai koi
phir azmaane ki baat karta hai koi
baar baar main rokta hu uski raahaien
hawa ban jaane ki baat karta hai koi
main barasta hun roz barish ki tarah
dhoop ho jaane ki baat karta hai koi
main chuta hun uski gheeli palke
ruth jaane ki baat karta hai koi
kehta hai har roz sirf ek baar aa
aa ke na jaane ki baat karta hai koi
sirf ek baar apni awaz suna kar
din guzarne ki baat karta hai koi
apni neende mere sarhane rakh kar
so jaane ki baat karta hai koi