Ibadat-o-Wazaif

  • Work-from-home

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Ibadaat o wazaif
A salam-o-Alaykum

Socha Ramdan ki Aamad hai so kuch Ramdan sze related Share ekrien

Ramdan Sharif Rehmaton 'Barkaton Aur Magfirat Ka Maheena

Allah K pyara Nabi {S..A.W.} ne Raamdan ul Mubarak Ki Fazeelat K baray mein Irshad Farmaya

Jis ne Aiman k Sath Aur Sawab Samjhte hue Ramdan ul mubarak k Rozay Rakhe Us K guzashta gunnah muwaf ekr diye jayein gay

Aur jis ne Aiman k sath sawab samjhte hue Ramdan ul mubarak mein Qyam Tarweeh Wagairah Parhi To us k pechlay Gunnah muwaf ekr diye jayein gay Aur jis ne "SHAB-E-QADAR " mein qyam kiya aiman k sath sawab smajh ker us k ab tak k Gunnah muwaf ker diyejayein gay

Bukhari o Muslim An Abi Hareerah Ne Farmaya Fakharo DoAlam Ne K Rozay Aur Quran Banday K Liye Safarish Karein Gay'Rozay Kahein gay "Aye Rab Hum ne Is Ko Din mein Khanay Aur Deegar Khwahishat Se Rok Diya Lihaza Is K Haq Mein Hamari Safarish Qabool Farma Lijiye'Quran Arz Kare Ga K"Main ne Raat Ko Ise Sone Na Diya Is K Haq Mein Meri Dua qabool Karein Chunacha Dono Ki Sifarshein qaboool Ker Li Jayein Gin


ham Shab-e-Qadar k hawalay se Aur pehle dusre aur teesre Ashray k Mutaliq Bhi Biyan Karein Gay mean k in Days mein kaun Se Ibadat Ki Jaye Plz vist kerte rahiye ga

Sehri K mutaliq Rasool Allah {S.A.W.} Ka Irshad e Garami Hai K sehri Mein barkat Hai Ise Hargiz Mt Choro,Agar Kuch nahi To Us waqt Pani ka Aik Ghunt He Pee Liya Kero,Kun k sehri mein khanay peenay walon epr Allah rehmat farmata hai,Aur farishtay us k liye Duaye Khair karte hain


Iftaar k baray mein Hadrat Abu hareerah Se ruwaiyat hai K Rasul Allah {S.A.W.} Ne Farmaya k Allah Tala ka Irshad Hai K Apnay abndon main mujhe woh banda zyada mehboob hai jo rozay k iftaar mein jaldi kare {Yani yani garoob e aftaab k baad bilkul der na kare


1.Subh Aankh Khulte He Teen Dafa Daroord Shareef Parhein Aur Apni Hatheliyon Per Phunkein,Phir Yeh hatheliyan Munh Per Pher Lein,

2.Roza Rakhne Ki Niyat K Baad 21 Martba "AL MULK"Parhein Aur Seenay per hath Pher Lwin,

3.Apna Kaam Shuru Karne Se Pehle 21 Martba Al GAFAAR" Parhein Aur phir Kaam shuru karein,

4.Dupehr Ki Nimaz K Baad 21 Martba "Al Qahar" Parhein Aur Dil Ki Dhrakan Ki Jagha Phoonkein.

5.Dupehr ke Baad Thori Der Aram ki Gharz Se Sonay Lagein To 21 Martba "Al KHABEER" Parhein

6.Neend Se Utne K Baad "21 Martba "Al KABEER"Parhein Aur Phir Dil Ki Jagha per Phunkein

7,Agar Kisi waqt Jhanjhalat YaGussa Aaye To Fauran"Al HAFEEZ"Parhein Gussa Du Ho jaye ga.

8.Agar Roza Mein Quwat Bardasht Khatam Ho rahi Ho To 21 Martba "Al MUQEET "Parhein Aur Ungliyon per Phunk ker Sungh Lein Ungliyan,Bhhoook Aur pyas khatam ho jaye gi

9.Roza Kholne Se Pehle Daster Khwan per Bethein Aur 21 Martba "Al wASIAA" Parhein Aur yeh sochein k Sari naimatein aap k smanay hain Lekin Allah k Hukam Ki wajha Se Aap ne Sab kuch Apnay Uper Haram Ker rakha hai.

10ISHA Aur tarawee k Baad 21 Martba Al QAWI" parhein

11.Raat Ko Sotay Waqt Seenay Per hath Rakh ker 100 Martba Al BAISO "Parhein Aur 21 Martba Darood Sharif Parhein Aur Aaram se So Jayein

Ramdan Shareef k Guzarne k baad Eid k roz aap apnay aap ko naya insaan mehsoos karein gay,Khud aitmai Aap k andar zahir ho gi,Quwat e Faisla barh jaye ga Aap apnay masial k mutaliq puray itmenaan se soch smajh ker sahi faisla karein gay aur is baat k qail ho jayein gay k Jo ahkamat hain un mein Allah tala ne hamaray liye hazaron bhalayi Rakhi hai.

Hadrat Umar {R.A.U.}Se Ruwaiyat hai K rasool Allah {S.A.W.}Ne Farmaya K RozayDaar Ki Aik Bhi Dua Iftaar k waqt Mustard Nahi Hoti

Hadrat Ans {R.A.U.} Se Ruwaiyat Hai K Rasool Allah {S.A.W.} Magrib ki Nimaz se pehle chand tar khajuron s eroza iftaar farmatay thay agar tar khajurein ba waqt majood na hotin to khushk khajuron s eiftaar farmataywoh bhi na hotin to chand ghunt pani pee lete thay

Roza chorne ka nuqsan k baray mein abu hareerah se ruwayat ai k Rasool Allah {S.A.W.} ne irshad farmaya jo aadmi safar wagairtah ki sharayi rukhsat k bagair aur bemari jaise azar k bagair Ramdan ka Roza bhi chore ga woh agar is k bjaye ume rbhar bhi rozay rakhe to jo chioz faut ho gayi woh puri wa nahi ho sakti Aur Aap {S.A.W.} ne farmaya jis ne ramdan k rozay rakhe aur us k baad 6 shawal k rozay {nafli} Yani Eid k maheenya meinr kahe To puray saal k rozay rkahne ka sawab mile ga hamesha aise kiya to goya sari umer k rozay rakhe

Ahista aahista sab kuch biyan keroon gi aur yeh ham bata dein k yeh infi wagairah aik book se mill rhai hai sum books ko dekhne k bad mags se milne wlai info woh share ekr rahay hain baqi baad mein pehle wazaif ab aik biyan keroon jo k pehli shab Ramdan mein kaam aaye gi

Wazaif


Mah e ramdan Ki Pehli Shab baad nimaz e Isha Aik martba surah Fateh Parhna Bohat afzal hai

Aizan Mah-e-Rama ki pehli Shab Baad nimaz e Tahajad AAsman ki traf munh ker k 12 martba yeh dua parhni bhi bohat afzal hai

LAILAHA ILLAL'LAHU-HULHAYIULQAYUM MULQAAAAASIMU,ALLAKULENAFSIN BIMA KASABAT"

in wazaif k parhne walay ko beshumar naimatein Allah paak ki traf se ata ki jayein gin

ayzan mah e ramdan ul mubarak mein rozana her nimaz k baad duye magfirat ko teen martba parhna bohat afzal hai

Ramdan shareef mein her nimaz isha k baad rozana teen martba kalma tayiba parhne ki bohat fazeelat hai awal martba parhne se gunahon s emagfirat ho gi,dusri dafa parne se dozakh se aazad ho ga,tisri martba parhne se janat ka mustahiz ho ga
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top