is shehar kharabi main gham e ishq kay maray zinda hain yehi baat badi baat hai pyara

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
is shehar kharabi main gham e ishq kay maray
zinda hain yehi baat badi baat hai pyaray

yeh hansta hua chand yeh pur'noor sitaray
tabinda o painda hain zar'oon kay saharay

hasrat hai koi ghincha humain pyar say dekhay
armaan hai koi phool humain dil se pukaray

har subah meri subah pay rooti rahi shabnam
har raat meri raat pay hanstay rahay taray

kuch aur bhi hain kaam humain aye gham e jaa'naa
kab tak koi uljhi hui zulfoon ko sanwaray
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top