jag main akar idhar udhar dekha tu hi aya nazar jidhar dekha

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
34
jag main akar idhar udhar dekha
tu hi aya nazar jidhar dekha​
jan se ho gaye badan khali
jis taraf tune ankh bhar k dekha​
nala fariyad ah aur zari
ap se ho saka so kar dekha​
un labon ne ki na masihai
ham ne sau -sau tarah se mar dekha​
zor ashiq mizaj hai koi
"Dard" ko qisa-e-mukhtasar dekha

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top