Jealousy

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
salamz friends
aj main yahan aik bohat common chez lay k aye hon jo k ap ko her jagha dikhaygi..yeh main personal poblems may is liyay thread laga rahi hoon coz yeh na sirf mairi personal prob hai balkay ap sab ki bhi problem hai..or her insaan may yeh chez ab paye jati hai..or us ka naam hai JEALOUSY KA VIRUS...mughe nahi smajh ataa k log kion jealous hotay hain..ab yahan sab shuru ho jayein gay k hum kisi say jealous nahi hotay to main manti hoon ap logon ki raye sab say agay hai..lakin still kabhi ap apnay ird gird nazar ghumao to aisay hazaar log hon gay jo ap say jealous hon gay kisi bhi baat pay...so main just yahan sab say yeh pochna chahongi k yeh VIRUS kion phelta ja raha hai..or khatum honay k bajayya yh barhta he ja raha hai.
plz apnay views dijayay yahan..!
 

Sakina

Newbie
Oct 12, 2007
652
44
0
jealousy ka virus lack of pyar mohabbat ki waja say ata hai.. character jitna strong hota hai utni jealousy kam hotii hai.. but still kahi na kahi rah hey jati hai har insan mai...normal baat hai yah to kiya keh sakty hian
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
jealousy ka virus lack of pyar mohabbat ki waja say ata hai.. character jitna strong hota hai utni jealousy kam hotii hai.. but still kahi na kahi rah hey jati hai har insan mai...normal baat hai yah to kiya keh sakty hian
sakina nay bilkul theek kaha hai...nice reply

aur jelousy har insaan main hoti hi hai..chahay wo kitna hi strong ho acha ho kyun k kuch batain aisi hoti na jo hum bardasht nahi karsaktay wo hum sub ki nature main shamil hai aur jelous hona bhi normal honay ki hi nishani hai lakin itna bhi nahi ho k had se bahar hojyen...phir to wo hasad main aye ga
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
well m agree wid both..

jealousy i guess iz a big part ov our humans' life.. hum kuch cheezoon ko dore nahi karsakte.. jin main se yeh ek hai..
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
yah sahi kaha pari
per humain is germs ko apnay say nikalnaa chiayy..isi may humari bahali hai or baki sab ki
 

phool225

Newbie
Aug 5, 2008
47
19
0
31
I live in Mianwali(Pakistan)
Jealousy har admi main hpoti he magar un main jin ko Allah se umeed nahi hoti,aap ko jis sey jealsouy feel ho aap samjhain keh Allah ki marzi he so usey mujh se ziadah mil gaya.aap sab ki baat theek keh jealsouy har admi main hoti he lekin isey apney aap main se khatam karna chahiey Allah par aur ziadah Yaqeen barha kar.agar aap aik admi se jealsouy ho rahey hain to sochiey ke us admi main yeh khoobi he jis sey aap jealsouy ho rahey hain to kia pata aap main koi aur aisy khoobi ho jo us admi main na ho.Har insaan main khobian aur khamian mojood hoteen hain.agar aap kisi se jealous hain to aap ko sochna chahiey keh aap ke pas bhi kuch aur lkhoobian hain jo us main nahi.So don't be jealous.It is not a right thing in Islam.main ney aap ko yeh tareeka to bata dia apney aap main se jealsou ke virous khatam karney ka,aur doosrey log jo aap se jealous hain un ke sath aap husn-e-salook kar keh un key dilon se apney lie mojood jealous ke virous khatam kar saktey hain.
are you agree?
Waleed
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
balkaal hote hai jalaan naam ki cheaz ... aur yeh cheaz zada taar ann logon main hote hai

jin ko ahsaas kamtari hote hai ... ya phir ann logon main zada hote hai joo kasey ko kabhi

zada aghai jatai nahi dheek saktai .... aur normally ann logon main bhi hoti hai joo kasey

say apnay say zada pyar karahai too asay halat main jalan pidaa hoo jatee hai
 

atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
jealousy means how the other person is more competent,more beautiful,more capable,more rich etc ...than me...how i can be less than anyone...
self ego is the cause behind jealousy....and ego gets strength when somebody goes away from existence harmony...sorrow and pain...selfish way of life...
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
salamz friends


aj main yahan aik bohat common chez lay k aye hon jo k ap ko her jagha dikhaygi..yeh main personal poblems may is liyay thread laga rahi hoon coz yeh na sirf mairi personal prob hai balkay ap sab ki bhi problem hai..or her insaan may yeh chez ab paye jati hai..or us ka naam hai JEALOUSY KA VIRUS...mughe nahi smajh ataa k log kion jealous hotay hain..ab yahan sab shuru ho jayein gay k hum kisi say jealous nahi hotay to main manti hoon ap logon ki raye sab say agay hai..lakin still kabhi ap apnay ird gird nazar ghumao to aisay hazaar log hon gay jo ap say jealous hon gay kisi bhi baat pay...so main just yahan sab say yeh pochna chahongi k yeh VIRUS kion phelta ja raha hai..or khatum honay k bajayya yh barhta he ja raha hai.


plz apnay views dijayay yahan..!

Thanks for asking zabardast question.

Bayshak mujhay bilkul kisi say zara bhi jelousy naheen hoti kisi waqt siwway aik to aisay person ki tareef sun kar aag lug jati hai jub wo bohat hi ghatia hotay hain aur koi unkii tareef karta hai jhooti to. mujhay thori thori si jealousy honay lugti hai laikin main forun rokti hoon khud ko kay kisi say jealous hona buri baat hai. Haan ghussa bhi bohat ata hai us par jo sub kuch jaannay kay bawajood mujhay jalanay kay liaay jhooti tareef kar raha hota hai.

Mujhay to jealous loag intehai jahil aur quraan say qatun baybahra lugtay hain. Agar kisi ko maloom ho kay jealousy aik bemari hai aur Islam main is say mana farmaya hai phir bhi karta hai to apna bura karta hai.

Jealousy say us ka apna nuqsaan hai kay her waqt kisi kay khilaaf jalta kurhta hai aur tareeqay sochta hai usko nuqsan ponhchanay ka to doosray ka kuch bura naheen hota aap ka apna hi nuqsaan hota hai per logon ko samajh naheen ati wo samajhtain hain wo doosron ko nuqsan kar rahain hain.

Qiyamat ki nishanion main say aik nishani jealousy hai jo din badin barhti jaay gi.

Jealous logon ka dilm dimagh aur taleem sub ya to hota hi naheen ya jealousy say dub jata hai.

Kiai kay jealous honay say agalay bunday ka koi nuqsaan naheen hota.

Why people are so stupid i don't understand too. Koi aap say achcha hai to aap bhi to bohat son say achchay hon gay.

Jealous kisi say insaan jub hota hai jub wo khud ko us say kamtar samajhta hai ya hota hai aur wo us ka muqabla kisi soorat naheen kar sakta.
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
jealousy means how the other person is more competent,more beautiful,more capable,more rich etc ...than me...how i can be less than anyone...
self ego is the cause behind jealousy....and ego gets strength when somebody goes away from existence harmony...sorrow and pain...selfish way of life...
Exactly in red.

Thats what I noticed myself when ppl know very well that the other person is way more better then them then they become jealous of. No matter in home, relative, outside anywhere or in job.

I don't understand why ppl don't look any good things in them.

Like some short ppl become jealous of Tall ppl even when they are too good to them. Why don't they undersatand they didn't make themselves.

Some black or brown ppl become jealous of white or fair ppl Why don't they understand they didn't make themselves.

What is the reason behind this if Allah made them like this.

Why ppl become jealous of others talent why don't they try hard to achieve something Allah gave brain to everyone they just has to find their interest and use their talents.
 
Top