Jis Ghari‏

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Jis ghari chaand namoodar hoa kerta hai...

kiya tu bhi ae dil bekarar hoa kerta hai...

log waisay hi nahin baatein banaya kerte...

kuchh na kuchh to pas-e-deewar hoa kerta hai...

haath apnon ka hoa kerta hai aksar shamil...

pusht se jab kabhi waar hoa kerta hai...

umar ka aakhri hissa ho kisi manzil per...

maut se barsar-e-pekaar hoa kerta hai...

jis ko mein hijar se tashbee diya kerta hoon...

jaan leva wohi azaar hoa kerta hai...

har cheez ki qeemat hai yaqeenan koi...

har zaroorat ka khareedar hoa kerta hai...

faisla qat-e-taaluq karo ya na karo...

pyaar to bas aik baar hoa kerta hai...
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top