Jo Bhi dunya kahay ....

  • Work-from-home

anmol

Newbie
May 19, 2008
472
154
0
37
Haan,Suno Dosto!!!

Jo bhi dunya kahay
Us ko parkhay bina maan lena nahin
Sari dunya ye kehtee hai
Parbat pe charhnay ki nisbat uterna bohat sehal hai
Kis tarha maan lein
Tum ne dekha nahin!


Sarfarazi ki dhunn mein koi aadmi
Jab bulandi k raastay per chalta hai to
saans tak theek karnay ko rukta nahin
Aur usee shakhs ka
Umr ki seerhiyon se utertay huey
Paaon uthta nahin
Is lieey dosto jo bhi dunya kahay
Us ko parkhay bina, maan lena nahin

Sari dunya ye kehty hai
Asal safar to musaafir ki aankhon mein phela huaa khaab hai
Kis tarha maan lein
Tum nay dekha nahin
Umr k is sarab-e-ajal khaiz mein
Khaab to khaab hain
Hum khuli aankhon se jo bhi kuch dekhtay hain hain
Wo hota nahin
Raastay k lieey(raastay ki tarha)
Aadmi apnay khaabon ko bhi kaat detay hain lekin!!!

Sulagta huaa raasta
Phir bhi kat-ta nahin
Is lieey dosto!
Jo bhi dunya kahay
Us ko parkhay bina, maan laina nahin
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top