Jo Meri Ankhon Say Khuwab Dekho

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Jo mairy aankhon se khuab dekho

to aik shab bhi na so sako **

k lakh chaho na ro sako **

hazar chaho na hans sako **

k khuab kiya hain azab hain ye

mairay dukhon ki kitab hain ye

rafaqatain in main phot ti hain

mohabbatain in main roothti hain

panapti hain in main vehshatain si

aziyatain in main phot ti hain

inhin k dar se khizan hain jazbay

inhain se shakhain se toot ti hain

ghamon ki bandish hain khuab mairay

dukhon ki barish hain khuab mairay

ubal raha hai dukhon ka lava

raheene aatish hain khuab hain mairay

khayal saray jhulas gaya hain

sulagti khuahish hain khuab mairay

ukharti sansain hain zindagi ki

lahoo ki sazish hain khuab mairay

jo mairay aankhon se khuab dekho

to aik shab bhi na so sako **
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top