Kaha uss ne ke tum ta’beer ho, aur khuwab sa hu'n main Ho tum bekhuwab muddat say , a

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
Kaha uss ne ke tum ta’beer ho, aur khuwab sa hu'n main
Ho tum bekhuwab muddat say , azal say jagta hu'n main

Jo pocha dill ka soda kab kiya, kesay kiya tum ne?
Wo bola ek pal thehro, yahi to sochta hu'n main


Jo main ne dasht me'n ja kar pukara, hay khuda koi ?
Tu har zarra pukar utha, kay uss ko jaanta hu'n main


Bhala uss dar pay ja kar, kiss liye khali palat aye ?
Kaha ‘ manzil ko choo kar be, laga ik raasta hu'n main

Abhi socha hi tha dhondhoo'n, ufaq kay par ka rusta
To dil bola ‘ mera socho ‘ kabhi ka laa pata hu'n main


Hawa bolo samandar say ‘ tera be koi bichra hay ?
Kaha ‘ ja ja kay sahal par usi ko dhondhta hu'n main
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top