Kahiin bhi rakhna khayal rakhna
Watan ki Izzat sambhaal rakhna
Zubaan pe shikwah na aaye koi
Wafa ki azmat bahaal rakhna
Chura k daman se na Umeedi
Umeed-e-subah Jamaal rakhna
Chupa k aankhon main apne aansoo
Kisi k rukh pe romaal rakhna
Usi main jeevan ki hai sufalta
Bahaal zabt-e-kamaal rakhna
Waqaar insaan ka hai taqaaza
K husn-e-Seerat ujaal rakhna
Usi main khushnodi e Khuda hai
Jabeen sajdon main daal rakhna
Yeh hi hai maqsad sifi humara
Dilon se nafrat nikaal rakhna
Watan ki Izzat sambhaal rakhna
Zubaan pe shikwah na aaye koi
Wafa ki azmat bahaal rakhna
Chura k daman se na Umeedi
Umeed-e-subah Jamaal rakhna
Chupa k aankhon main apne aansoo
Kisi k rukh pe romaal rakhna
Usi main jeevan ki hai sufalta
Bahaal zabt-e-kamaal rakhna
Waqaar insaan ka hai taqaaza
K husn-e-Seerat ujaal rakhna
Usi main khushnodi e Khuda hai
Jabeen sajdon main daal rakhna
Yeh hi hai maqsad sifi humara
Dilon se nafrat nikaal rakhna