Kaun Kehta Hoga

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Koun kehta hai woh meray baghair tanha ho ga
Woh aik chiragh hai kahein aur jalta hoga

Yeh tu hum hain aik saakin si jheel
Woh tu bikhra howa aik dariya ho ga

Woh tu rehta hai mohabbatoon kay des main
Ussay kiya khaber koi uss ko soochta ho ga

Woh meray dard say be-khabar nahin tha magar
Ussay dukh baantney ka na saleeqa ho ga

Itna naadan nahin kay samjh bhi na sakay hum ko
Usi ka tazkara meri har ghazal main huwa ho ga

Banaya gaya tha humein KHULOOS ki mitti say
humein khabar na thi woh badgumaan hoga

Main nay ussay chaha tu chahti hi gayie
Meri shiddaton say ghabra kar woh chal diya ho ga
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
really hard to understand....tashreeh karke dei doo..pher samjh mei aajaye gi...
first of all hawala:p..
nywayz nice sharing..:p
 
Top