Khuwab Khuab Kis k Samnay Btanay Chaheya??

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Asalamo aliekum

is post main aap ko bataya jye ga k khuab kis k samnay batyen...

yehan 1 ye bara important masla hai..khuab har kisi k samnay nahi batanay chaheya..kuch log har kisi ko khuab batatay hain aur jis ko batatay hain wo un k us khuab ka aksar mazak bhi bana raha hota hai..
ya koi ulti seedhi tabeer de deta hai ..aur us ko ye pata hi nahi hota k khuabo ki ghalat tabeer denay se khuab waisa hi poora hojata hai..

for exaple...aap nay khuab main k aap ro rahay hain..aur kisi nay is ki tabeer di yun hi hansi hansi main k ab tum rotay hi raho gay..to ye intihai ghalat baat hai aur is khuab ki ghalat tabeer bhi..

is liya khuab batanay se pehlay ye zahan main zuroor rakhain k aap jis ko khuab bata rahay hain wo aisa na ho k baat hansi main uranay wala,,aur us ko khuab ki koi knowledge hi nahi..hargiz na batyen.

hamesha us ko khuab batyen jis par aap ko aitbaar ho aur us ko is baray main ilm bhi ho k ye theek bata sakta hai..

1 aur important baat ye k agar aap ko koi khuab sunyen aur aap ko tabeer na pata ho..to hargiz aisi waisi tabeer na dain..

2nd agar khuab main koi buri baat nazar bhi arahi hai to us ko hargiz bura na kahain aur koi achi khabar nazar aye lakin aap ko andaza na ho k is ki kiya tabeer doon kyun k sunanay walay nay to suna hi dia ..is liya usay sirf itna keh dain k is main tumhar liya InshAllah achi khabar hogi ya khushi hogi..etc.

khuabo ki ghalat tabeer denay ka andaza is hadees-e-paak(S.A.W.W) se lagaya jasakta hai k

aap(SAWW) fagar ki namaz k baad har kisi se kaha kartay thay k agar kisi nay khuab dekha ho to batye aur saray sahaba-e-karaam bataya kartay thay 1 baar 1 sahaabi nay aap(SAWW) se apna khuab biyaan kia k ya Rasool Allah main nay khuab main dekha k mera ghar jal gaya..

app (SAWW) nay farmaya nahi jala..isi tarha doosray din bhi us nay ye hi kaha to app(SAWW) nay farmaya nahi jala...next day yani teesray din aap wahan nahi thay aur us nay shaks nay ye hi khuab bataya to kisi sahaabi nay keh dia ab to tumhara ghar jal hi gaya..

aur us ka ghar waqai jal jab aap (SAWW) ko pata chala to bohat naraz huay"""

frnds aap ko is post se andaza hogaya hoga k khuab kis k samnay batyen..aur aam tor par khuab ki tabee 3 din k baad poori hoti hai...kuch ki bohat arsay k baad jis main saalon bhi lag saktay kuch ki kuch months k baad any way ye khuabon k dekhnay k upar hai k wo khuab aap nay kis time,,,kis din,,kis halaat main dekh ye agay bataya jye ga..thanx

wait 4 next post..
 
  • Like
Reactions: nrbhayo and rashdah

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
gr8 info ss..well mein apnay khuwab nahe bataty ksi ko or ager aa bhi jayain aisay wiasy khuwab to ignore ker dety hon..well w8ing 4 ur next post
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
haan

lakin khuabo ki tabeer laini zuroori bhi hoti hai...3 days k baad pooray hotay hain baaz khuab..lakin us k baad agar khuab ki taber na li jye aur tumharay liya us main achi khabar hai to delay bhi hojaatay hain..
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
han per koi sahi tabeer dene wala bhi hona chahiyay na
haan bilkul

lakin agar kisi ko samajh na b aye to wo aisay waisay lafz use na karay

sirf itna keh day k Allah behtar karay ga
ya acha khuab hai
ya agar koi buri baat nazar aye to ye kahay k apna sadqa do

lakin main har post main one by one 1 hi cheez ki detail doongi k kisi 1 cheez ko diff tareekay se dekhnay ka kiya matlab hai...is se aam shaks ko b knowledge hosakti hai
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Yeah kheriat ki duwa to mein hamesha ker he lety hon..well ap post kero next phir or questions chaltay rahain gay sath sath :)
 

yasiranjam

Newbie
Mar 2, 2008
6
1
0
38
1st to pehlay kisi ko khuab kisi ko batana hi nahin chahiye ....tabeer ki baat hai to aksar khuabon ki tabeer na hi li jaay to acha hai ..bcoz ho sakta hai k wo tabeer jo aap samjh rahay hun us k ult niklay to iss se us ko takleef ho gee aur wo ye samjhay ga k iss ne sach jantay huay bhi mujh se chupaya hai ...so plz kisi ko bhi tabeer nahin batani chahiye ...bcoz jo bhi Allah kartay hian sab ki bhallai k liye kartay hain

Reagards
yasir Anjam
 

candy

TM Star
Jun 5, 2007
1,274
360
1,183
Canada
nice post mari dream to koy make scenes bih nai kar tiy hai

well mai to bata tai di ty hoi

n some people say wo tum mari soch hai
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
1st to pehlay kisi ko khuab kisi ko batana hi nahin chahiye ....tabeer ki baat hai to aksar khuabon ki tabeer na hi li jaay to acha hai ..bcoz ho sakta hai k wo tabeer jo aap samjh rahay hun us k ult niklay to iss se us ko takleef ho gee aur wo ye samjhay ga k iss ne sach jantay huay bhi mujh se chupaya hai ...so plz kisi ko bhi tabeer nahin batani chahiye ...bcoz jo bhi Allah kartay hian sab ki bhallai k liye kartay hain

Reagards
yasir Anjam
actually baat ye hai..khuabo ki tabeer dena to bohat bari baat hai..2nd ye k khuab bhi har kisi ko nahi bataye jaatay..kyun k khuab sunnay waalay ko kuch to maaloom ho k main keh kiya raha hoon..is liya na batyen jab tak koi tabeer denay wala na milay..2ndly yasir bhai aap nay kaha k khuab kisi ko na bataya jye kyun k kisi ko takleef hogi
..pehli baat to aap ye sunain k upar wali baton ko follow karnay k ilawa agar khuab main kisi k khuab ya aap k khuab main aisi koi baat ho to khuab indicat kartay hain us cheez ko jo anay waali hai..aur hamain khabar daar kartay hain..is liya pehlay hi sadqa waghaira dena chaheya..aur Allah se dua karni chaheya k ye musibat ko taal de..

lakin ye k kabhi khuabo ki tabeer hi na batye jye ghalut hai..yehan par jo post ki jarahi hain wo isi liya ki jarahi hain k har cheez ko diff tarha se dekhnay ka kiya matlab hosakta hai ta k sub main itna to shaoor ho k wo apnay khuabo ko pehchaan sakain...aur kisi k samnay na batatay phirain lakin jab un ko shaoor ajye ga to wo simple baat ko to samajh hi lain gayis liya khuamakhua kisi ko ghalat baat nahi kahan gay...ja k aam longo ki adat hai...

thanx
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
hmm gr8 info..lakin aksar aisa hota hai ke ap kisi ko khuwab batao or woh bolte hai jhoot bol rahe hoo..aisa hoo hi nhi jaye..tu yeh bezatti hoti hai kia?
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
dekhai mere behan main khowaboo ki duniyaa main rahna passand nahi kartaa yeh sach hai k baz time asay hota hai k dream k zariyaa batayaa jata hai k yeh kaam teek hai aur yeh kaam galat ... per aksar logon ko main nay dekhaa hai joo dream ko lekar pagaloo jasey batain kartai hai aur sachi kahoo too yeh saab karna mere nazar main ALLAH ka kamoo main dakal deyna howa kyue k aksar logon khowaboo ki tameer janay ki try kartai hai to woh mere nazar main galat hai
 

emo-girl

Newbie
Jul 22, 2008
93
10
0
34
dekhai mere behan main khowaboo ki duniyaa main rahna passand nahi kartaa yeh sach hai k baz time asay hota hai k dream k zariyaa batayaa jata hai k yeh kaam teek hai aur yeh kaam galat ... per aksar logon ko main nay dekhaa hai joo dream ko lekar pagaloo jasey batain kartai hai aur sachi kahoo too yeh saab karna mere nazar main ALLAH ka kamoo main dakal deyna howa kyue k aksar logon khowaboo ki tameer janay ki try kartai hai to woh mere nazar main galat hai

vickey bhai ap bhooooooooot behas kartay ho khamakuslap1)}
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
vickey bhai ap bhooooooooot behas kartay ho khamakuslap1)}

i know mere behan k main bhass kartaa hoo ... per dear galat too galat hee hota hai ... jin cheazoo say hum ko gaib ka illm hoo woh kaam ALLAH ka kamoo main dakal deyna khaltai hai .. aur asay kamoo ka bohaat sakti say mana keyaa gayaa hai
 

paglihoon

Newbie
Aug 12, 2008
2,249
253
0
31
HUh Chand PE
{(goodpost)}right ss magar hume kaise pata chale ga ki jis pe hum bohud itebar karte hoo or wo humhra khwobo ka wrong tabeer dete hai....
 

Hamid

Newbie
Jun 13, 2008
45
5
0
Assalamualaikum agar aap main se kisi ko khabon ki tabeer poochni hai ya rohani elaj (spritual cure) ki zaroorat hai to mughe pm karen
 
Top