Kisain Majboor Samjhain

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Hi Friends Kia Haal Hain…Main Yehan 1 Aisi Post Karrahi Hoon Jo K Meri………"In Se Milya"....Post Se Related Hai Kyun K Jab Main Nay Wo Post Ki To Meray Zahan Main Kuch Sawalaat Aai…

1 Tarf To Wo Category Hai Jo Longo Se Lipat Kar Maangtay Phirtay Hain Lakin Doosri Taraf Wo Hain Jo Longo Se Lipat Kar Maangatay Nahi Phirtay….Lakin Preshaani In K Faces Se Nazar Aati Hai Bhook In Ki Shaklon Se Zahir Hoti Hai Ye Kon Log Hain???

Ji Haan Ye Wo Log Hain Jo Aksar Aap Ko Bus Stop Par Newpaper ,,,,Phool….& ….Doosaray Item Sale Kertay Huay Nazar Aatay Hain…Yani Mehnat Kertay Hain Lakin Longo Se Nahi Maangtay…

Hum Main Se Aksiriat In Maangnay Waalon Se Jaan Churanay Liya In Ko Paisay Day Deti Hai Khair Ye Alg Baat Hai…

Lakin Doosri Janib Bhi Dekhye …Aap Ko Raastay Main Kitnay Aisay Log Nazar Aai Gay…Abhi Pichlay Dino…Ramzaano Se Pehlay Main Shopping Par Gai…Wahan 1 Buzurg Raastay Main Pain Sale Kertay Huay Millay Un Se Hum Nay Muazrat Ker Li…Lakin Un Ho Nay Kaha Beti 1 Pen Hi Lay Lo Aaj Jumma Hai….Un K Chehray Par Afsurdgi…Preshaani…Dukh Ayaan Tha,,,Unhain Dekh Kar Ye Pehchaah Nay Main Dair Nahi Lagi K Ye Waqi Majboor Hain ..Aur Ramzan Eid 1 Booraha Shaks Kis Tarha Afoord Karraha Hai…Main Nay Un Se Pen Lay Liya Us 15 Rupees K Pen Ki Khatir Unhon Nay Mujhay Bohat Duyen Di…

Agay Chal Ker Kuch Bechaini Si Hui K Eid Qareeb Hai Kitnay Majboor Thay Kia Main In Ki Madad Nahi Kersakti Jo K Hazaaron Rupees Shoping K Liya Lay Ker Aai Hoon…

Lakin Friends Waqt Guzar Gaya Tha Wahan Wo Nahi Thay………

Sirf Wo Hi Nahi Aisay Hazaaro Log Hamain Qadam Qadam Par Miltay Hai Aur Hum Parwa Nahi Kartay……

Kiya Aisa Nahi Hosakta Hum In Longo Ki Bhi Parwa Karain Agar Raastay Main Koi Aisa Shaks Milay To Us Se Us K Halaat Pooch Lain…Kiya Pata Wo Waqai Mustahiq Ho…Aur Aisa Karnay Se Jo Roohani Khushi Hogi Us Ka Andaaza Lagana Mushkil Hai….To Kiya Khyaal Hai,,,,Faisla Aap K Haath Main Hai
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
ss Mashallah buhat acha topic lagaya hai ap nay
ap k topic ki taraf atay hain
mein ap ko aik bat bataon k logon may aik dosray ki parwa nahe rahi theik hai..log aj kal sirf khud ko dekhtey hein k hum achay lagain..zahir hai ye bhi thik bat hai k khud ko acha dikhaya jay but is k sath sath Islam humay hukm deta hai k ghareebon ka khayal rakho..coz un k seenay may bhi dil hota hai..jaisi khushian hum manaatay hein waisi he woh bhi chahtay hein..but fark sirf thori c museebaton ka hota hai...ap ney ye jo kaha k meiney aik buzurg ko dkeha k wo pen baich rahay thay mughe really buhat khushi hoi or dukh bhi k kash waqai un ki koi madad kerta..kamazkam aisa to hai na k wo khud sy kama rahay hain..or halal ki kamai may barkat dalnay wala to ALLAH he hai phir
to bas in sari baton k kehnay ka maqsad yehi batana tha k logon ney dosron ki khas ker gharebon ki perwa kerna chor de hai..un may hasad or gharoor paida ker dia hai maal-o-dolat nay..or ALLAH farmata hai k tum jitna dosron ki madad kero gay mein utna he tumharay maal may barkat dalonga..so madad kerney walay to ab bhi buhat hain..but afsoos sirf is bat ka hai k aisay log ab sirf ginti k reh gay hain means chund he log aisay reh gay hein...
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
welll first of all good topic :)

kushi hoi perh kar in baton ka khayal rakhnay walay log bhi hain yahan par....

wayse mujhe bhi kafi dukh hota hai un logo ko kar dekh kar jo dhop ho ya serdi per apni mehnaat say kama rahay hote hain .... Allah un ko har kushi naseeb karay .... per agar wo log sahi hian to duniya mein nahi to Allah akhrat mein un ko zaroor is baat ka ajar de ga .... wayse bhi duniya temperory hai .....

kheer mein to sirf itna hi kahonga k ayse log ki madad kar deni chaiye .... aaaj aap Allah k ek banday ki helo karingay kaal ko Allah aap ki 10 jagah par help kare ga

per us specific burhay admi ( pen walay ) k lie mien sirf yahi kahonga k .. Allah us ko har khushi naseeb karay ... or us ki ghorbat bhi kar day ....
 
Top