kisi ka naam likhta hoon to mitana bhool jata hoon kisi ko yaad karta hoon to bhulana

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
34
kisi ka naam likhta hoon to mitana bhool jata hoon
kisi ko yaad karta hoon to bhulana bhool jata hoon

buhat si aisi baatein hain jo mere dil mein rehti hain
lekin jab uss se milta hoon sunana bhool jata hoon

uss k baad har ek pal bari mushkil se katta hai
mein aksar ye uss ko khwabon mein batana bhool jata hoon

mein har shaam kehta hoon k uss ko bhool jaoon ga
magar jab subha hoti hai to irada bhool jata hoon...
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top