koyee gham teri mohabbat mai paraya hi nahii
wo bhi aaye hain jinhain mai ne bulaya hi nahii
chaand iss shehr ki janib kabhi aaya hi nahii
iss liye mai ne charago'n ko bhujhaya hi nahii
mai bhi parh sakti thii chehrey k dukho'n ko lekin
aaina bann k koi samney aaya hi nahii
jitni tayyarya'n karr rakkhi thii baikar gayee'n
jisko aana tha wo mehfil mai tau aaya hi nahii
mai bhi uski nayi dulhan ko duaai'n daitee
mujhko kambakht ne shadi mai bulaya hi nahii
ai SANA mai ne ghazal mai ye shararat ki hai
shair jo mujhko sunana tha sunaya hi nahii