kuch rang

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
kuch rang oranay partay hain kuch khwab sajanay partay hain
jub dhoop musalsal ser per ho to saay bananay partay hain
ghum khowar kisi ko banain kia iss may bhi khasara apna hay
jo sari umer chupaay hain wo raaz batanay partay hain
iss rah say tum guzra na karo hum khwab gazeeda logon ko
kuch khoon bahana parta hay kuch phool khilanay partay hain
hum hijir mitana chahtay hain, hum tum tak aana chahtay hain
par tum tak kaysay aain kaho rastay may zamanay partay hain
yay wisl nahi itna aasanik umer andhayray rastay per
taaron ko sajana parta hay,mehtab oganay partay hain
jata hay kahan maloom nahi per lot k jub bhu aata hay
uss shakhs k mathay say hum ko kuch dagh mitanay partay hain
uss husun ka haal sunain kia,wo jub bhi kahin say guzarta hay
kia hadya ay dil kia naqad jaan bazar laganay partay hain
aftaad yay akhir kum to nahin,hum dasht may rehnay walon ko
veeranay chupa ay seenay may ab shehr basanay partay hain
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top