LaBOun pE Harf nA kOi sawal Rakhta Tha..........

  • Work-from-home

pink-rose

Newbie
Jul 19, 2008
325
120
0
LabOun pe harf na koi sawal rakhta tha
Kabi jazbaat main itna kamaal rakhta tha

Khabar kahan thi mujay he wo bhool jayega
Ek ek cheez jo meri sambhaal rakhta tha


Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Magar! nigah main so so sawaal rakhta tha


Wo muskura k bohat dair chupp raha jaisay
Hansi ki aar main shayad malal rakhta tha


Suna hai log usay ab bohat satatay hain
Jis aik shaks ka main bohat khayal rakhta tha



 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top