Loate Parinde

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
March k mahine ki ek or sham ..mosam badalne k sath garmi b bhar rahi thi..is liye khuli hawakhane k shok me hum ne chat ka rukh kia tha,neele aasam pe ek dosre k peche bhagte safeed badal..or aasam par ja'baja bikhri rang ba'rangi patangen..maghrib ki tarf soraj garoob hone ko tha ..is waja se soraj ki surkhi b aasman pe bikhar gyi thi..wah kitna khoobsorat manzr hai..
mere muh se be'sakhta nikla tha
han woh dekho..us ne meri baat pe han kehte huve chat k dosri tarf ishara kia,kheeton se kisan farig ho kar gharon ko loat rahe the gaon k chote se medan me chand bache khel rahe the..
zindgi ka ek or din apne ikhtimam par hai..us ne kaha tha..
sb parinde shamal ki tarf ja rahe hain,kyun? us ne meri tarf dekhte huve kaha tha..
han na yahan gaon ki shamal ki tarf ek chota sa jungal hai wahan hi jate hain sb prinde..jahan sb k ghonsale hain
subho k waqat b ye mukhalif simat me ja rahe hote hain..
tumhe ine dekh kar kya khayal aata hai..ek sawal phr meri tarf aaya tha..
yahi k subho sadiq se rizaq ki talash me nikalne wale parinde sham gehri hone par apne gharon ko loat aate hain..isi harkat me hi zindgi hai..warna zindgi munjamid ho jaye..kisi manzil ki chah me apne gharon ko chod kar safr ikhtiyar karna hota hai lekin yaad rahe jb andheere phelne lge to apne aashiyane me hi loat aana chaheye..
thek kaha..hume manzilon ki doar me apne mosamon,apne gharon or apne asal ko nhi bholna chaheye..manzilon ki chah me hume b inhi parindon ki tarha hona chaheye..
ye to mera nazriya tha na..tumhe kya khayal aata hai in parindon ko dekh kar..ab ki bar wohi sawal main ne pocha tha..
han..jb b main ne sar'sham in parindon ko gharon ko loat'te dekha yahi socha dost humesha humare sath nhi rehte jitni dair b hum sath rahen akhir'kar ek din hume wapis loatna hai,purane dost bichar jate hain..yon hizindgi k mukhtaif raston pe naye dost milte hain..woh b yon apne raston pe nikal jate hain inhi parindon ki tarha apni manzilon ki tarf loat jate hain or hum phr se akele ho jate hain..yahi zindgi hai..hum sb ko bicharna hai..
ahh..us ne aasam ki tarf dekhte huve kaha tha.
MAIN NE HAR SHAM DEKHE HAIN LOATE PARINDE
TUM THEHRO KISI SHAM YAHAN KYA ESA NHI MUMKIN?
usi shair ko main ne phr se duhraya tha
MAIN NE HAR SHAM DEKHE HAIN LOATE PARINDE...
TUM THEHRO KISI SHAM YAHAN MAIN TERE SATH KA HASIL
wahhh..(us ne be'sakhta kaha tha)
zindgi ki haqiqaton se kise farar zindgi k roshan or khoobsoart pehlo ko hi humesha samne rakhna chaheye..or khoobsorat cheezon ko hi sochna chaheye..jana to sb ko hi hai..phr udas hone se kya hasil..
hume yahan khare khare itni dair ho gayi thi soarj doob gya tha or chand badalon ki ot me ankh macholi khel raha tha.
aasam pe har tarf sitare timtima rahethe..

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

ahan MASHAALLAH

pretty sweet n positive thinking

bayan karne ka andaaz bhi bohat khoobsurat hay :)

keep writing annu GUD LUCK :-bd
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

(åйĵΰ)

Newbie
Aug 10, 2011
88
62
0
piYa GheR
Bht khoob annu dear>:D<

mashAllaH bht umdaa lkhti ho..:x

jumly ap k bht gehri manviyut liye hoty hain..=D>

bht gehraa mutalia nazer aata hai ap ki tehreer perh k..
aap ki manzer nigari bht khoobsort hoti hai {(mashallah)}

WiSH u a full bright future n writings{(ameen)}
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
MashAllah...kya baat ahi jiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii..
Kuri agar likhte likhte kabhi kaghaz ya sihaayi khatm hojaye to mujhe yaad kijiyooooo{(wacko)}
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
bahot khoob mashaAllah anaaya.acchi haqeeqat bayan ki aapne. aaj k daur me wo janglaat nahi rahe aur wo parindaon ka aasman par urna ab ziada dikhaayi nahi deta bada afsoss hota hai kyun wo pahle din laut kar nahi aate.
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Bht khoob annu dear>:D<

mashAllaH bht umdaa lkhti ho..:x

jumly ap k bht gehri manviyut liye hoty hain..=D>

bht gehraa mutalia nazer aata hai ap ki tehreer perh k..
aap ki manzer nigari bht khoobsort hoti hai {(mashallah)}

WiSH u a full bright future n writings{(ameen)}
boht shukaria anju sis:)

wese ye likh kar to mujhe smjh nhi aaya,pata nhi kia likh diya hai
{(haha})

manzr nigari krna muje sb se zyda pasnd hai...acha lgta is tarha tehreer dilchasp c lati hai..
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
MashAllah...kya baat ahi jiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii..
Kuri agar likhte likhte kabhi kaghaz ya sihaayi khatm hojaye to mujhe yaad kijiyooooo{(wacko)}
kyun ap ne dukan dali huvi hai miss ji:p
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
bahot khoob mashaAllah anaaya.acchi haqeeqat bayan ki aapne. aaj k daur me wo janglaat nahi rahe aur wo parindaon ka aasman par urna ab ziada dikhaayi nahi deta bada afsoss hota hai kyun wo pahle din laut kar nahi aate.
han ji..kafi had tak janglat khatam ho gaye hain..aabadi me izafe k sath..
lekin esa b nhi k bilkul khatam ho gaye hain..dehaton me is tarha parinde janglon ki tarh jate huve dikhai dete hain..
humare ghr ki chatt pe ese hi aksr main ne prinde guzrte dekhe hain..
han shehron me esa nhi hota
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah :)
bohot khoob annu
apki har tehreer me sabak hota hai aur hame mutassir karta hai
isme ek aur baat ki taraf ham ishara karna chahte hain ke

insaan ki asal manzil uski akhirat hai aur akhir hame wahin lautna hai sab ko chorke to agar ham ye bhi apne zahen me rakhen to phir khud ache raste hamwar hote hain aur asanian paida hoti hain

jazakallah khair behna
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
subhan Allah :)
bohot khoob annu
apki har tehreer me sabak hota hai aur hame mutassir karta hai
isme ek aur baat ki taraf ham ishara karna chahte hain ke

insaan ki asal manzil uski akhirat hai aur akhir hame wahin lautna hai sab ko chorke to agar ham ye bhi apne zahen me rakhen to phir khud ache raste hamwar hote hain aur asanian paida hoti hain

jazakallah khair behna
han g..
bilkul thek kaha ap ne..
jazakAllah.
 
Top