Ghar se nikle the to ik dasht e fana ki soorat
rah main sirf safar, sirf safar rakha tha
dil thy matroka makanat ki soorat khali
aur asbab main bichra hua ghar rakha tha
jism ajdad ki qabron se nikltay he na thy
nasl dr nasl isi khak main sar rakha tha
rooh pr nqsh thy wo nqsh abhi tk jin main
rang e bachpan ki kisi yaad ne bhar rakha tha
dil main sursbz thy us pairh k patay jis pr
dast e Qudrat ne abhi pehla samar rakha tha
kattay dekhay thy wo burgad bhi, jinho ne khud ko
mudaton dhoop ki basti main shajarrakha tha
jaltay dekhay thy wo khud soz muhallay jin main
janay kb se koi khawbida sharar rakha tha
choorian toot k bikhri thin hr ik angan main
ik kuan tha k tamanaon se bhar rakha tha
rah the surkh gulabon k lahu se roshan
paon rakha nahi jata tha, magar rakha tha
qaflay aik he sarhadki taraf jatay thy
khawab k par koi khawb e dagar rakha tha
teergi cheer k atay hue raston k liye
aik mahtab sar- rahguzar rakha tha
ik haseen chand tha ik sbz zameen pr roshan
ik sitaray ko b aghosh main bhar rakha tha
Harf e izhar main hail thin faseelain lekin
rakhne walay ne khamoshi main asar rakha tha
lab tk atay he na thy wo harf manajaton k
hichkiyon ne kisi dewarmain dar rakha tha
chashm e beena main wo manzar abhi taza hai saud
meray aabane jb is khak p sar rakha tha