mere khwaabon ke jharonko ko sajaanewaali

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
mere khwaabon ke jharonko ko sajaanewaali
tere khwaabon mein kaheen mera guzar hai ke nahi
poochkar apni nigaahon se bata de mujhko
meri raaaton ke muqaddar mein sehar hai ke nahi

chaar din ki ye rafaaqat jo rafaaqat bhi nahi
umr bhar ke liye aazar huee jaati hai
zindagi yoon to hamesha pareshaan si thi
ab to har saans girran-baar huee jaati hai

meri ujdi huee neendo ke sahbistaanon mein
tu kisi khwaab ke paikr ki tarah aayee hai
kabhi apni si kabhi gair nazar aati hai
kabhi ikhlaas ki moorat kabhi harjaayee hai

pyaar par bas to nahi hai mera,lekin phir bhi
tu bata de ke tujhe pyaar karoon ya na karoon
toone khud apne tabassum se jagaaya hai jinhe
un tamannao ka izhaar karoon ya na karoon

tu kisi aur ke daamn ki kali hai lekin
meri raatein teri khushboo mein basi rehti hai
tu kaheen bhi ho tere phool se aariz ki kasam
teri palkein meri aankhon pe jhuki rehati hain

tere haaton ki haraat,tere saanso ki mehak
tairati rehtee hai ehsaas ki pehnaai mein
dhondti rehti hai takheel ki baahein tujhko
sard raaton ki sulagti huee tanhaai mein

tere altaafo karam ek haqeeqat hai magar
ye haqeeqat bhi haqeeqat mein fasaana na ho
teri manoos nigaahon ka ye mohtaat payaam
dil ke khoon karne ka ek aur bahaana na ho

kaun jaane mere imroz ka farda kya hai
qurbatein badhke pashemaan bhi hi jaati hain
dil ke daaman se lipti huee rangeen nazarein
dekhte-dekhte anjaan bhi ho jaati hai

meri darmaanda jawaani ki tamannao ke
muzmahil khwaab ki tabeer bata de mujhko
tere daaman mein gulistaan bhi hain veeraane bhi
mere haasil meri taqdeer bata de mujhko.​
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top