Meri tehreer ki zad main ......

  • Work-from-home

pink-rose

Newbie
Jul 19, 2008
325
120
0
Mujhe jo kuch bhi kehna tha abhi main keh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

Abhi wo karb likhna hai jisse mehsoos kerta hoon
Abhi wo khwaab likhne hain jo in aankhon main palte hain
Mujhe un ko bhi likhna hai jinhein main dhond na paya
Abhi wo loog likhne hain jo kho ker haath malte hain
Abhi wo ashq likhne hain kabhi jo keh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

Abhi to mausamoon ki shokhiyaan tehreer kerni hain
Uthane hain abhi darya se mujh ko pyaas k pehre
Abhi to khush paeroon per mujhe rim jhim bhi likhni hai
Kahin pe dhoop likhni hai kahin pe tergi chaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

Abhi to mujh ko likhni hain kisi ki reshmi zulfein
Kisi ki surmageen palkein kisi ki aankh ka kajal
kisi ki unkahi baatein macha dein dil main jo halchal
Abhi wo sab bhi likhna hai jo mera ishq kehlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

Abhi to wo safar likhna hai jo darpesh hai mujh ko
Abhi to tum ko apni pyaas ka sehra dikhana hai
Abhi to hijr ki likhni hain saari matami raatein
Abhi to aise lamhe bhi tumhein aaker sunane hain
K jin se ashk aankhon main magar iss dil ko behlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

Abhi se saath chore ja rahe ho kis liye jana
Abhi to khul k dil ka haal bhi tum ko na batlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top