Mohabbat tark kii main ne garebaa.N sii liyaa mai.n ne

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Mohabbat tark kii main ne garebaa.N sii liyaa mai.n ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa main ne

abhii zi.ndaa huu.N lekin sochataa rahataa huu.N Khalvat mein
ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jii liyaa main ne

unhen apnaa nahiin saktaa magar itnaa bhii kyaa kam hai
k kuchh muddat hasiin Khvaabon mein kho kar jii liyaa main ne

bas ab to daaman-e-dil chhoD do bekaar ummiido
bahut dukh sah liye main ne bahut din jii liyaa mai.n ne
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Aala............
 
Top