Mohabbatoon main har aik lamha wissal hoga..

  • Work-from-home

Ar!yaN

Banned
Jan 19, 2009
1,673
456
0
Pakistan
Mohabbatoon main har aik lamha wissal hoga.. Ye tay hoa tha
Bichhar k bhi aik doosray ka khayal hoga... Ye tay hoa tha

Ye kia k saansain ukhar gai hain... safar k aaghaz main he yaron
koi bhi thak kar na raastay main nidhal hoga... Ye tay hoa tha

Wohi hua na badaltay mausam main..tujh nay ham ko bhula diya hai
Koi bhi rut ho na chahaton ko zawal hoga... Ye tay hoa tha

Bichar gaye hain to kia hoa..Ye he to dastoor e zindagi hai
Judaion main na qurbaton ka..malal hoga...Ye tay hoa tha

Chalo k faizan kashteon ko..jala dain gumnam saheloon per
K ab yahan se na waapsi ka sawal hoga... Ye tay hoa tha​
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top