Mohobbat

  • Work-from-home

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
MOHOBBAT


Mohobbat oas ki surat!
piyasi pankhari ke hont ko sairab kerti hai
gulon ki aastinon main anokhay rung bharti hai
seher ke jhutputay main, gungunati, muskurati, jagmagati hai
mohobbat ke dinon main dasht bhi mehsoos hota hai
kisi firdous ki surat
mohobbt oas ki surat
Mohobbat abr ki surat!
dilon ki sar-zameen per ghir ke aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhoomta hai, muskurata hai
azal ki be-namu matti main sabza sar uthata hai
mohobbat un ko bhi aabad aur shadaab kerti hai
jo dil hain qabr ki surat
mohobbat abr ki surat
Mohobbat aag ki surat!
bujhay sinon main jalti hai tou dil baidaar hotay hain
mohobbat ki tapish main kuch ajab israar hotay hain
ke jitna bharakti hai, uroos-e jaan mehekti hai
dilon ke sahilon pe jama hoti aur bikharti hai
mohobbat jhaag ki surat
mohobbat aag ki surat
Mohobbat khuab ki surat!
nigahon main uterti hai kisi mahtaab ki surat
sitaray aarzu ke is tarah se jagmagatay hain
ke pehchani nahi jati, dil-e be-taab ki surat
mohobbat ke shajar pe khuab ke panchi utertay hain
tou shakhain jaag uthti hain
thakay haary sitaray jab zameen se baat kertay hain
tou kab ki muntazir aankhon main
shammein jaag uthti hain
mohobbat un main jalti hai, chiraagh-e aab ki surat
mohobbat khuab ki surat
Mohobbat dard ki surat!
guzishta mousamon ka ista'aara ban ke rehti hai
shaban-e hijr main roshan sitara ban ke rehti hai
mundairon per sitaron ki loain jab thartharati hain
nagar main na-umeedi ki hawaein sansanati hain
gali main jab koi aahat, koi saaya nahi rehta
dukhay dil ke liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamon ke bojh se jab tootnay lagtay hain shanay tou
yeh un pe haath rakhti hai
kisi hamdard ki surat
guzer jatay hain jab saray qaaflay jab dil ki basti se
fiza main tairti hai dair tak
yeh gard ki surat
mohobbat dard ki surat.
 
Top