Mujhe youn auron ki tarah

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Mujhe youn auron ki tarah sazish rachna nahin aata
apne dukhun per mujhe shikayat karna nahin aata

jab bhi unse milta hoon parayon ki tarah milta hoon
mujhe un se zara bhi apna pan jatana nahin aata

mein khud se khud heirat mein hoon ke mein
Pyar ka maara hoon per mujhe izhaar karna nahin aata

meri farmaishein thukrai ja rahi thi kuch is tarah ke
shayad us rab se ab mujhe mangna nahin aata

tujh se door hote hi tadapne lagat hai
bin tere mere dil ko ab behelna nahin aata

baat aisi nahin ChiragH ke main judai seh nahin sakta
bas uske baghair mere waqt ko guzarna nahin aata

***S_ChiragH***
 
  • Like
Reactions: Sara Cilli Milli
Top