Muskara

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,878
12,573
1,313
Muskara Kar Naza'a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya
Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya

Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar
Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya

Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba'ad Marg
Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor-e-Gharibaan Kardiya

Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka
Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya

Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!
Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya

Rakh Diya Zer-e-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka
Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya
 
Top